Posts

Showing posts from April, 2013

Maa Dekh Maine

Haaye, Ghore se jab zameen par Aye shahe zaman Dekha ke ban me fatema zehra he mojizan Are balon se jharti he zamee(n) qatlagah ki Madar ko dekha aur ye maula ne aah ki (Maa) x2 dekh meine (sab luta diya) x3 Maa dekh meine sab luta diya Maa dekh meine (sab luta diya) x2 Sehra ko apne khun se meine basa diya Jo karsaka na koi woh karke dikha diya Lashon se meine dashte bayabaa(n) sajadiya Bachpan mein who jo wada kiya tha nibhadiya Maa dekh meine sab luta diya Maa dekh meine (sab luta diya) x2 Khaak aur khoo(n) mein jalta badan dekhle mera Barbaad ho chuka he chaman dekhle mera Kaante pare huwe hein dahan dekhle mera Dil muztarib he aisa ke jaise bhujadiya Maa dekh meine sab luta diya Maa dekh meine (sab luta diya) x2 Who dekho hum shabihe payambar ki laash ko Tukre pare hein qasime muztar ke dekhlo Asghar ki qabr dashte bayabaa(n) mein dekhlo Zainab ke laadlo(n) ko bhi ban me suladiya Maa dekh meine sab luta diya Maa dekh meine (sab luta diya) x2 Gh...

Dil-e-Dukhtar

Haye Hussaina, vaye Hussaina, Ay haaye Sakina, aie vaaye Sakina. Yeh rukhsat e aakhir hai pukaray shah e wala, Aie Zainab o Kulsum Rabab aur Ruqaya, Tum sab pay salaam akhri Allah ko sonpa, Lipti huyi qadmoon say yeh kehti thi Sakina. Aie kul ke madadgar madad karne ko aao, Ya Fatima Zahra mere baba ko bachao. Baba na kaho baba, tum saath raho baba, Kuch hum say suno baba,  aagay na barho baba, Aaram karo baba, baray e dil e dukhtar, Baraye dil e in dukhtar, khaime mein chalo baba. Aie kul ke madadgar madad karne ko aao, Ya Fatima Zahra mere baba ko bachao. Mein jan gayi baba, pehchan gayi baba, Qurbaan gayi baba, talwaroon mein jao gay, Phir tum bhi na aao gay, baraye dil e dukhtar, Baraye dil e dukhtar, tum hum ko na tarpana. Aie kul ke madadgar madad karne ko aao, Ya Fatima Zahra mere baba ko bachao. Baba aie mere baba, lazim hai agar jana, Yeh hum say karo wada, jab shab ka ho san’nata, Aur meri sada suna, baraye dil e dukh...