Posts

Showing posts from August, 2015

Aaj Koofe Mein Shabbir O Shabbar

aaj koofe may shabbir-o-shabbar ro rahe hai baap ko apne zehra ke dilbar ro rahe hai behrobar may hai ghul aaj barpa wa ali ka aaj jibraeel arshe bari par ro rahe hai aaj koofe may.... aaj shehzadiyan hai pareshan shahe zeeshan uthke taskeen do behre daawar ro rahe hai aaj koofe may.... chor kar humko baba sidhare be-sahare betiyan fathima ki ye keh kar ro rahe hai aaj koofe may.... hai yateemo ke bewaon ke waali shahe aali ab na waaris raha koi sar par ro rahe hai aaj koofe may.... hai janaze pe ek shor barpa bekaso ka baap se lipte shabbir-o-shabbar ro rahe hai aaj koofe may.... khaak udate hai sar par nawase mustufa ke ghar se jaata hai taboote hyder ro rahe hai aaj koofe may.... ay himayat azadare hyder peet kar sar aaj is tarhe nohay ko sunkar ro rahe hai aaj koofe may....

Moula Utho Ke Masjide

Moula Utho Ke Masjid-e- Kufa Udaas Hai Kaisa Yeh Din hai Aaj Ke Duniya Udaas Hai Hasanian Beqarar Hai Zainab Hai Muztarib Rooh-e-Janab-e-Fatema Zehra Udaas Hai Mohataj-o-benava-o-Yateemo Ke Daardras Dekho Ke Har Yateem ka Chehra Udaas Hai Lillah Karbala Ka Tasvoor Na Ki Jiye Dariya-e-Alqama Ka Nazara Udaas Hai Aayi Hai Sehar Khun Ki Surkhi Liya Huve Qaak Ud Rahi hai Khan-e-Kaaba Udaas Hai Jibreel Ko Fughaan Hai Ali Qatl Ho gaye Larzaan Zameen Hai Arsh-e-Moula Udaas Hai Bekal Hai Kainat Hawa’en Hai Muntashir Larzaan Zameen Jangal-o-Sehra Udaas Hai Har Simit Chha Gaye Hai Qamar Yeh Udaas Lyaan Toota Hai Baab-e-ilm Madina Udaas Hai 

Ya Zahra

Ya fatema, ya sayyada ,khairunnisa , maahruma (2) Ya zehra zehra zehra (4) Rafte dilo ki ye hai sadaa (3) Kyu zulm tujpe itne hua …. Ya zehra zehra zehra (4) Umme abhia ye to bataa                                                     Kyu zulm tujpe itne hua …. Ya zehra zehra zehra (4) Mar ke bhi ab tak tu hai bechain ,tera sabrar hai sabre hussain (2) Tera sisaknaa zainab ko bain Teri  tarah chup rehna rainul abaa Ya zehra zehra zehra (4) Milti nahi koi aisi misaal ,tu hai rulaayi aamad ki aal(2) Hai ehtetaaj mera sawaal Kyu tere ghar ko jalaa dia Ya zehra zehra zehra (4) Ro roke guzri teri haalat ,kaise bayaa ho tere haalaat (2) Mar ke bhi pehlu pe tha ikra Dekhe ali ne to ro diya Ya zehra zehra ze...

Al Ajal Ya Imam

(Al Ajal ya imam, ya imame zamaan) x2 Maula labon pe hai dua, dekhe zahuur nuur ka, ai meere asre karbala, keeje zahuur karbala (Al Ajal ya imam, ya imame zamaan) x2 Giryaa kunaa hai ghamzada, nauha kunaa sitam zada, misle kamaale bandagi, qatle yazido hurmala (Al Ajal ya imam, ya imame zamaan) x2 Zulmo sitam jahaan mei, aala shiyaar hogaye, kitne jawaano peer yun, haq par nisaar hogaye Roroke bandagi yehi, kehti hai sarko peet kar, joro jafaa jihaad mei, kaise shumaar hogaye Giryaa kunaa hai ghamzada, nauha kunaa sitam zada, misle kamaale bandagi, qatle yazido hurmala (Al Ajal ya imam, ya imame zamaan) x2 Maula labon pe hai dua, dekhe zahuur nuur ka, ai meere asre karbala, keeje zahuur karbala (Al Ajal ya imam, ya imame zamaan) x2 Azme zahuur nuur ka, izhaar kijiye zaraa, maula sipaahe karbala, tayyaar kijiye zaraa Naagaah hai jiske dour par, ehle yazid-e-karbala, is khaibare yazid ko, mismaar kijiye zaraa Giryaa kunaa hai ghamzada, nauha kunaa sitam zada, misle kamaale b...