Aye Mere Baba Jaan
us waqt jab ke zainab darbar may gayi thi khaari namaziyon se mehfil saji hui thi zaalim ye poochta tha ghazi tera kahan hai balon se moo chupaye zainab ye keh rahi thi ay mere baba jaan ho rahi hai azan sar chupaon kahan majmaye aam may bewatan be-ama aagaya kaarwan ay mere baba jaan.... mai bhi hoon marziya binte khairun nissa mere lehje may hai baba teri aada naam zainab mera tune jo rakh diya dede apni zubaan ay mere baba jaan.... baba jaan mai rida maangti rehgayi bamo-dar sajgaye jeete ji margayi halqae shaam may naam sunkar mera margaya natawaan ay mere baba jaan.... haath kaanon pe hai neel gaalon pe hai aur nishaan jo sakina ke shano pe hai har nishaan se yahi aa rahi hai sada baba jaan baba jaan ay mere baba jaan.... shame ashoor se shaam o kufa talak maine maanga nahi hai khiraaje fadak meri chadar se hai meri maa ka sukaoon sunle zalim jahan ay mere baba jaan.... baba jaan ye tera aakhri tha bayaan teri chadar bachayega ghazi jawan margaya bawafa c...