Posts

Showing posts from 2019

Main Khaak Pe Sojaungi, Haa Kehti Hu Baba

(Akhri raat sakina ki) x2 (Haay haay hay) x3 (Me khaak pa sojaungi) x2 ha kehti hu(n) baba (Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba) x2 Kehti hu(n) ke chehra hi dikhajayiye baba Marne se mere pehle hi aajayiye baba Pehlu me chhupane ko kaha keti hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba Bache to bohot chhote huwa karte hai baba Har aik musibat pe gila karte hai baba Me naaz uthane ko kaha kehti hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba Sehlungi jo haathon ki lakiron me likha hai Zindaan ki andheron ka gila kisne kiya hai Me shamme jalane ko kaha kehti hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba Haaye baba, baba mere bachpan ka taqaza to nahi tha Khabon me khilone the janaza to nahi tha Ghodi me khilane ko kaha kehti hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulan...

Jao Ke Na Ab Deyr Karo

khafela lut gaya amma mera lashkar na raha amma nana ki nishani ali akbar na raha rehgaya dard e kamar haye baradar na raha ab khabar aapne li ghar ki ke jab ghar na raha aur ab dam e zibha ye poore mere arman karna arsh ke neeche na baalon ko pareshan karna jao ke na ab dayr karo, dekho na amma ab laal tera zeen pe hai aur na zameen par aap aayi hai amma mai salami ko na utha hai dard kaleje may jo uthne nahi deta hasrat thi tere pehlu mai dam mera nikalta mai chain se sojata tere godh may madar ab laal tera zeen pe.... kuch dayr may naize pe rakha hoga mera sar na dekhna us waqt mujhe madar-e-muztar chal jayega us waqt tere qalb pe khanjar ghode abhi daudenge meri laash ke upar ab laal tera zeen pe.... mai subh se ta asr uthata raha laashe daman may chune qasim e naushah ke tukde lipta ali akbar ka kaleja tha sina se amma mere chehre pe hai khoon e ali asghar ab laal tera zeen pe.... kis haal may amma hai teri godh ka paala m...

Jangal May Bhare Ghar Ko Luta Aayi Hai Zainab

jangal may bhare ghar ko luta aayi hai zainab ay shehre madina abid ko kisi tarha bacha laayi hai zainab na qasim o akbar rahe bhai bhi sidhare sab hi gaye maare be gor unhe dasht may chor aayi hai zainab ay shehre madina jangal may... wo shame ghariban ho ya wo sham ka bazaar abid rahe lachaar sab zakhm isi qalb may bhar laayi hai zainab ay shehre madina jangal may... kya kya na sitam raah may sadaat ne jhela mai tujhse kahoo kya baaghi ki behan sham may kehlayi hai zainab ay shehre madina jangal may... parda jo sikhati rahi wo bibi khule sar phirti rahi dar dar bazaaron may darbaron may ho aayi hai zainab ay shehre madina jangal may... aaja tu kaneezi may meri bola sitamgar aye shah ki dukhtar ye lamha wohi tha jahan ghabrayi hai zainab ay shehre madina jangal may... zindan may kahin kho gaya bhai ka nageena masoom sakina do baaliyan zindan se le aayi hai zainab ay shehre madina jangal may... zindan se reha hoke bhi baakhi hai aseeri matam kar...

Mili Rehai Toh Abid Yeh Kaam Karke

Mili Rehai Toh Abid Yeh Kaam Kar Key Chaley Sab Aanso Qabrey Sakina Ke Naam Kar Ke Chaly Ye Ahlay Shaam Se Bolay Agar Na Ho Zehmat Diya Jalaa Diya Kar Na Agar Milay Fursat Behen Ke Waaste Ye Ihtemaam Kar Ke Chalay Sab Aansoo Qabrey Sakina Ke Naam Kar Ke Chalay Dua Jo Karti Thi Ro Ro Ke Wo Bhi Din Aaye Wo Jis Ke Dil Main Ye Armaan Tha Watan Jaaye Usse Hawala E Zindan E Shaam Kar Ke Chalay Sab Aansoo Qabrey Sakina Ke Naam Kar Ke Chalay Koi Humara Mara To Kaha Hussain Hussain Aza Ka Farsh Bicha To Kaha Hussain Hussain Ye Intezaam Bhi Chauthay Imam Kar Ke Chalay Sab Aansoo Qabrey Sakina Ke Naam Kar Ke Chalay Zafar Sadaa Yehi Aati Thi Ay Meray Baba Sabhi Watan Gaye Main Qaid Main Rahi Tanha Lehed Pe Ahle Haram Jab Salaam Kar Ke Chalay Sab Aansoo Qabrey Sakina Ke Naam Kar Ke Chalay

Zindaan Se Reha Hoke Jo Ghar Jaayegi Zainab

Ghum khaayegi zainab -  2 Mar jaayegi zainab - 2 Zindaan se reha hoke jo ghar jaayegi zainab bin bhai ke jayegi to mar jayegi zainab zindan se reha hoke.... Ghar lutgaya pardes may veeran hai dinya zindan se reha hoke bhi zindan hai dunya is qaid se ghar jaake bhi kya paaegi zainab zindan se reha hoke.... Soona hai makan jisme wo shehdayi na honge ghar hoga magar ghar may mere bhai na honge ta hashr yehi bhai ka gham khayegi zainab zindan se reha hoke.... Bachpan hai jahan aun o mohamed ne guzaara ab un dar o deewar ki tanhai ne maara ab unke na saaye may khabi jayegi zainab zindan se reha hoke.... Be aas mujhe kar gaye bache mere kamsin bin beton ke kehlayi to kehlayi mai lekin bin bhai ke dunya may na kehlayegi zainab zindan se reha hoke.... Is baat pe hairat hai bahot ahle watan may abbas se bhai ki bahan aur rasan may roodad ye kis tarha se batlayegi zainab zindan se reha hoke.... Aaya na koi laut ke bhai tera sug...

Utho Sakina Chalein Karbala

Sakina aye Sakina  Zindann se jab riha hue sadate karbala  Maa ne lipat k qabre sakina pe di yeh sada  Utho sakina chale karbala  Choti si turbat pe maa ne kaha  Zindan se jata hai ab qafla Mujhe shahzadi tumhari qasam  Na rakhun gi zindan se bahir qadam  Safar ki ab hoti hai tayarian  Amari mei bethe hai ahl e aza  Ghurbat ka mere tumhe wasta  Woh pehle k jese to ghurbat nahi  Aye bibi hamari woh halat nahi  Tumhe shamiyon se ab aye meri jaan  Kafan mangne ki zaroorat nahi  Lo mil gai hai tumhari rida  Mujhe yaad asghar ki hai babasi  Lahad se woh mayat nikali gai  Akele mei rehne na dun gi tumhe  Bharosa nahi shamio ka koi  Rehte hai charo taraf ashqian  Yeh shami kahan tumko behlai gay  Tumhari lahad per nahi ai gay  Rahay ga andhera hi zindan mei  Haram jab yahan se chale jai gay  Kon ai ga phir jalan...

Sakina Utho Meri Jaan Utho

Sakina uttho. meri jaan uttho, rehaayi milee Chalo ghar chaley Yeh karti thi maa, lahad par bukaa. meri laadli,  Chalo ghar chaley Yahaan sey chalo, chalein Karbala Waheen par tumhey milengay chacha. Sitham jo huvey, bathaana unhey Dikhaana unhey, yeh kurtaa jalaa Chacha jaan ko, dikhaana zaraa, ridaa khoon bhari, Chalo ghar chaley Bathaana unhey, kabhi saqthiyaan Milee kis qadar, tujhey ghurkiyaan Hamaari ridaa, luti kis tarhaa. Chinee kis tarhaa, teri baaliyaan Bathaana unhey, bujhi kis tarha, teri tashnagi, Chalo ghar chaley Padar sey milo, toh dil joee ho Bathaana unhey, bahot royi ho Qasam lo agar, tumhaarey bina Sakina kabhi, kahin soyi ho Lahad baap ki, miley jab tujhey, tu kehna yehi Chalo ghar chaley Lahad jab miley, tujhey bhaayi ki Tu kehna usay, meri laadli Rehaayi milee, hameh qaid sey Hameih ab nahi, azeeyath koyi Meray bey zubaan, uttho ghar chaley, Shabi-he-Nabi, Chalo ghar chaley Labb-e-al-qamaa, tu karna fughaan Teri mauj hai, abhi takh rawaan Meri pyaas par, huve...

Asghar Mai Teri Maa Hu

Aaja asghar, aaja asghar..(4) Asghar mai teri maa hu..(2) Aajao chand mere, teri pyaas mai bujhao Asghar mai teri maa hu.. Aajao chand mere, teri pyaas mai bujhao Asghar mai teri maa hu.. Mere laadle kaha'n ho.. mere laadle kaha'n ho.. seene tumhe lagaau Asghar mai teri maa hu.. Aajao chand mere, teri pyaas mai bujhao Asghar mai teri maa hu.. Beta tumhara qatil mere saamne khada hai jaane kyu has raha hai chadar bhi lut chuki hai mu kis tarah chupau Asghar mai teri maa hu.. Aajao chand mere, teri pyaas mai bujhao Asghar mai teri maa hu.. Tere jhule ko sakina ro ro ke chumti hai tujhe ghar mein dhundhti hai, teri maut ki khabar mai kaise use sunau Asghar mai teri maa hu.. Aajao chand mere, teri pyaas mai bujhao Asghar mai teri maa hu.. Meri jaan jaa rahi hai ye soch soch asghar is phool se gale par, ye teer kaise jhela behno ko kya batau Asghar mai teri maa hu.. Aajao chand mere, teri pyaas mai bujhao Asghar ...

Abbas Jaldi Aao Marjaegi Sakina

Abbas jaldi aao marjaegi sakina..(4) Kab tak tamache khaye ab ghumzada sakina dooba hai behre ghum me ab sang ka safina kehti hai aisa jeena amma hai koi jeena Abbas jaldi aao marjaegi sakina..(2) Ek shamma bhi nahi hai zainab jise jalae zinda me meri bachi khamosh ho na jae sahil pa sone wale aaja ke chain aaye Abbas jaldi aao marjaegi sakina..(2) Masoom ka gala bhi bandha gaya rasan se Masoom ka gala bhi bandha gaya rasan se takleef aise dekhi jae teri behen se Abbas jaldi aao marjaegi sakina..(2) Kis tarha mai batau kya haal hai hamara deta hai shimr eeza roti hai besahara masoom ke labo par bus naam hai tumhara Abbas jaldi aao marjaegi sakina..(2) Ek shamma bhi nahi hai zainab jise jalae zinda me meri bachi khamosh ho na jae sahil pa sone wale aaja ke chain aaye Abbas jaldi aao marjaegi sakina..(2) Sahil pa kese guzri abbas kya hua hai bachi tadap rahi hai bus dum ruka hua hai bachi tadap rahi hai bus dum ruka hua hai Abb...

Ya Sayyadi Ya Abbas Ya Abulfazlil Abbas

Ya Sayyadi Ya Abbas Ya Abulfazlil Abbas Kahte hai rokar gulam Lijiye aaka salaam Ya Sayyadi Ya Abbas Ya Abulfazlil Abbas Tashna labo tashna kaam Sabro wafa ke imam Ya Sayyadi Ya Abbas Ya Abulfazlil Abbas Behre wafa jaan diye Hogayi zinda wafa Ya Sayyadi Ya Abbas Ya Abulfazlil Abbas Kyo na ho bache udaas Toot gayi sabki aas Ya Sayyadi Ya Abbas Ya Abulfazlil Abbas Kaon hai dharas bandaye Aake Sakina ke paas Ya Sayyadi Ya Abbas Ya Abulfazlil Abbas Khoon me doobe hue Mashko Alam aa gaye Ya Sayyadi Ya Abbas Ya Abulfazlil Abbas Bacho ke dil buj gaye Phool se murjha gaye Ya Sayyadi Ya Abbas Ya Abulfazlil Abbas Pyase hi mar jaaege Pyaas bujhayega kawn Ya Sayyadi Ya Abbas Ya Abulfazlil Abbas Hatho se thame kamar Ran me khade hai Hussain Ya Sayyadi Ya Abbas Ya Abulfazlil Abbas Ro Ro kar Saidaniya Khaime me karti hai bain Ya Sayyadi Ya Abbas Ya Abulfazlil Abbas Mashko Alam ke liye Dil ka l...

Nazdik Najaf Hai Koi Haider Ko Bolale

Nazdik Najaf hai koi Haider ko bolale 1 Yu Madare Shabbir Pareshan hai banmei Roti hai tadapti hai heiran hai ban mei Kehti hai ke duniya meri viraan hai ban mei Ey laal, Ey laal Mei aaj laaino ke havale Nazdik Najaf hai koi Haider ko bolale 2 Sar ek hai lekin hai talab gar hazaro Tanha mera Shabbir sitamgar hazaro Ek jaan pe tute hai jafakar hazaro Ey laal, Ey laal Mei aaj laaino ke havale Nazdik Najaf hai koi Haider ko bolale 3 Mazloom ki bachne ki koi aas nahi hai Sab mar gaye hamdard koi paas nahi hai Kasim nahi Akbar nahi Abbas nahi hai Ey laal, Ey laal Mei aaj laaino ke havale Nazdik Najaf hai koi Haider ko bolale 4 Rota hai falak khoon se zami hoti hai larza Khaime se nikal aayi hai Zainab suey Maida Hone laga bhai ka mere katl ka sama Ey laal, Ey laal Mei aaj laaino ke havale Nazdik Najaf hai koi Haider ko bolaale  https://youtu.be/xpcs1ShRREY 

Sun Sakina Bibi, Tere Qurbaan Phoopi, Aa Meri Goad Mein Aa

Aa meri goad me aa (×4) Sun Sakina bibi, tere qurbaan phoopi, aa meri goad me aa, aa meri goad me aa (×3) Tu hai kamsin beti, gham na seh paayegi, aa meri goad me aa, aa meri goad me aa, Sun Sakina bibi, tere qurbaan phoopi, aa meri goad me aa, aa meri goad me aa. Main hu ghaazi ki behen, tera jalta daman Kis tarah se dekhu, kisko awaz main du, Tere qurbaan phoopi, aa meri goad me aa, aa meri goad mein aa, Sun Sakina bibi, tere qurbaan phoopi, aa meri goad me aa, aa meri goad me aa. Goshwaare tere, ghum na karna jo chine Poch du aa beta, khoon tere kaano ka, Tere qurbaan phoopi, aa meri goad me aa, aa meri goad mein aa, Sun Sakina bibi, tere qurbaan phoopi, aa meri goad me aa, aa meri goad me aa. Is pareshaani me, ban ki virani me Tum kaha ho beta, tum kaha ho beta, Tere qurbaan phoopi, aa meri goad me aa, aa meri goad mein aa, Sun Sakina bibi, tere qurbaan phoopi, aa meri goad me aa, aa meri goad me aa. Fir gayi yu ummat, darbadar haye itarat...

Hur Araha Hai Akbar

Hur ibn e riyahi, aaja mere bhai..(2) Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2) Mehmaan ko hamare..(2) khaime mein leke aao Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2) 1. Khud yaad hoga usko paani tha usne roka khuddar wo bohot hai sharminda humse hoga pyaase hai saare bachhe, usko na ye batao Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2) 2. Dekho woh chal raha hai maidaa'n mein ladkhada kar girne se pehle akbar, usko sambhalo jaakar aye mere shahzade, jaldi qadam badhao Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2) 3. Abbas apne dil se, har baat saaf kardo maa Fatima ke sadqe, hur ko muaaf kardo jakar alam ke usko, saaye mein leke aao Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2) 4. Beta hussain qaidi, kaise kisiko dekhe meri taraf se kholo, tum uske haaath jaake baba khafa nahi hai, jaakar use batao Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2) 5. Tum se bhi pehle marne, jaega uska beta jee bhar ke dekhle wo, apne pisar ka chehra ...

Hayo Mera Ghareeb Baba

Hayo mera ghareeb baba..(4) Aye shaam de logo'n, mai sayyed haa'n  Hayo mera ghareeb baba..(2) Na kafan mila, na dafan hua..(2) mera baba pyaasa maar diya Hayo mera ghareeb baba..(2) Na kafan mila, na dafan hua..(2) mera baba pyaasa maar diya Hayo mera ghareeb baba..(2) 1. Bazaar e sham ka majma tha sajjad ghareeb ka nauha tha kyu baghi baghi kehte ho kya jurm tha mere baba ka sajde mein namazi qatl kiya..(2) mera baba pyaasa maar diya Hayo mera ghareeb baba..(2) 2. Mera baba shaan e rasulallah mera baba jaan e madina tha 14, 12, aur 5 mein bhi beshak anmol nageena tha sadaat ke dil ko chaak kiya..(2) mera baba pyaasa maar diya Hayo mera ghareeb baba..(2) Na kafan mila, na dafan hua..(2) mera baba pyaasa maar diya Hayo mera ghareeb baba..(2) 3. Mera baba paak namazi tha Allah bhi jisse raazi tha mera baba aisa qaari tha qur'an bhi jika haami tha sajde mein uspar zulm kiya..(2) mera baba pyaasa maar diy...

Ali Jaan Ali Akbar

Ali jaan ali akbar..(2) Wa waila wawaila shud, wa waila wawaila shud..(2) shabihe payambar, haye haye ali akbar..(2) kaise jiyegi tere bin haaye ye madar, aye jaan ali akbar shabihe payambar, haye haye ali akbar..(2) kaise jiyegi tere bin haaye ye madar, aye jaan ali akbar 1. Beta ali akbar madar ko pukaro wa waila wawaila shud ghumzada madar ko chehra to dikhalo wa waila wawaila shud khaak se utho, mujhko bulalo..(2) maa hai pareshaan kaha ho mere dilbar aye jaan ali akbar 2. Qaid hui beta zindaan chali maa wa waila wawaila shud saare shahido'n ka Allah nigehbaa'n wa waila wawaila shud ghar hua veera'n aao meri jaa'n..(2) hogaya sajjad akela mera dilbar  aye jaan ali akbar 3. Maa ka ye armaa'n tha tujhe dulha banati wa waila wawaila shud maa teri dulhan ko naazo se sajati wa waila wawaila shud ho nahi paayi aas ye puri..(2) aise gaye, aaye na maida'n se palatkar aye jaan ali akbar 4. Maa hai rasan...

Yeh Zindan Me Kehte The Ro Ro Ke Abid

Yeh zindan me kehte, the ro ro ke Abid, Uthe tera kaise, janaza Sakina, Karu kya mere haath me hathkadi hai, Hai majboor bhai, tumhara Sakina. Kamar me hai langar, sukoo kaise paaun, Teri laash jhuk kar, main kaise uthaau (×2) Chacha mere Abbas hote joh zinda, Mujhe aake dete, sahaara Sakina. Yeh taareek zindan me mayyat teri hai, Nahi shamma mumkin, yeh ghurbat badi hai (×2) Nazar saaf aata, nahi tera laasha, Hai zindan me kitna andhera Sakina. Badi kamsine me, tujhe maut aayi, Behen teri gurbat, me rota hai bhai (×2) Ulajti thi saanse, aur dum ghutt raha tha, Gala iss tarha se, tha jakda Sakina. Tamaache jo shimre, layeen maarta tha, Tadapta kar tu kehti thi aajao baba (×2) Madad kar saka na, behen main tumhari, Na baba se karna tu shikva Sakina. Tujhe shimr ne yu, tamaache jo maare, Nishaan ungliyo ke hai rukh pe tumhare (×2) Hasiyath tamaacho ke sehna saki jab, Nahi reh saki haaye, zinda Sakina. Bandhe haath par laash khwahar ki lekar, Chale hi suwe q...

Karbala Jaane Ki Kwaish Hai Magar Hu Main Ghareeb

Ya Hussain (×2) Ya Hussain, Hussain Hussain (×4) Aye mere maula, pyaas yeh bujhaado, Kahin main mar na jaun (tum mujhe bachaalo) ×2 Main tadap raha hu, main sisak raha hu, Ab toh is ghada ko, (Karbala bulaa lo) ×2 Main ghareeb, Hussain Hussain, Ya Hussain, Hussain Hussain (×4) Karbala jaane ki kwaish hai magar hu main ghareeb, Jaane kis din mujhe hoga tera deedaar naseeb, Tere dehleez pe marjaau main rote rote, Aur dafnaa diya jaau tere roze ke kareeb, Ya Hussain, Hussain Hussain (×6) Ishq e sarwar mein tadapta hai mera dil aise, Qaid zindaan mein ho koi parinde jaise, Maula kuch zaade safar paas nahi hai mere, Main nahi jaanta jaunga main kab aur kaise, Ya Hussain, Hussain Hussain (×6) Apne darbaar faqeero ko dikhaado maula, Behte ashkon pe zara rehem toh khaao maula, Karbala jaane se pehle na qaza aajaye, Maut se pehle bas ek baar bulaalo maula, Ya Hussain, Hussain Hussain (×6) Qafela jitne soowe karbobala jaate hai, Laakh...

Bole Bete Se Sibte Payambar

Bole beti se sibte payambar baad mere na rona sakina zid na karna mujhe yaad karke maa ki godi me sona sakina Hum bahut door jaenge bibi ab na surat dikhaenge bibi hum bahut yaad aaenge bibi tum na bechain hona sakina Baad mere tu dukhyaaari hogi tujh ko eeja badi pyari hogi zindagi phir tujhe bhari hogi tujhko hai qaid hona sakina Shimr kodon se dega aziyath aur tamachon se wo bhi himayath tumko dega yateemi me zehmat yaad apni na khona sakina Meri furkhat me girya kare gar ya unhe yaad aaenge asghar maa o rone na dena tum dilbar moo pe moo rakhke sona sakina Lash par meri jab tum lipat kar roogi meri ay jaane dukhtar kode maarega shimre badakhtar hai ye sab tumko sehna sakina Bibi aaye tumhein gar meri yaad roke karna na tum zaaro faryaad warna tumpar bahut hogi edaad maar khana na rona sakina

Mera Naam Hai Sakina

Azadaron suno jab qabr-e-Sakina ki ziyaarat ko jaana Yaad rakhna ke Hussain ki beti Abbas o Zainab ki bhateeji Qaid khaanay mein aaj tak tanha hai … Kabhi Baba ko yaad karti hai (x2) Kabhi Ammu Ammu kehti hai Bus jab qabr-e-Sakina pe jaana, Tou Hussain, Hussain ki sadaaon ko buland karke, Bibi ko apne Baba ka pursa, denaa Aur hosakay tou, zari-e-Sakina se buland hoti hui, in sadaaon ko bhi sunlena Ro lena, sunlena, ro lena Aao zawwaro aao  Haan mujh par ashk bahao  Mujh pay roo sar ko peeto Main houn beti HUSSAIN ki Mera naam hai SAKINA Main ghar walon ki pyaari thee  Ammu ki raaj dulari thee Mera Bhaiyya mujh par sadqay tha meri Amman mujh par wari thee  Mera haal ye suntay jao (x2) Aur sab say ye duhrao Jab dasween aaee Muharram ki to apna bhara ghar ujar gaya  Jo hum nay masaib dekhay hain  dushman ko dikhlaey na khuda Ye noha mil kay sunao (x2) Kuch pursa detay ja Jab zaair pani peetay hain...

Mujhe Abbas Kehte Hai

Abbas meer e lashkaram   x 4 Abbas kehte hain, Mujhe Abbas Kehte hain... Mujhe Abbas... 1.Main Qamr e Bani hashim hoon, sardar hoon main lashkar ka.. Shabbir mera aqa hai, Main beta hoon haider ka.. x 2 Maslak mein wafadari hai, Mansab me alamdari hai..  x 2 Abbas kehte hain... 2.Zehra ne kaha hai beta,hai saare arab me charcha, Shabbir ke dil ki taaqat, Hoon chand bani hashim ka.. x 2 Main karbobala ka haider, Jibreel bacha le Shai Par.. x 2 Abbas kehte hain.. 3.Woh Jaa ho Hasham rakhta hoon, Shaano Pe alam rakhta hoon.. Lo rok sako toh roko, Darya mein qadam rakhta hoon.. x2 Main hashr bapa kar doonga,sar tann se juda kar doonga..  x2 Abbas kehte hain.. 4.Mujhko bhi Imamat milti, Tauqeer meri badh jaati, Pee leta jo Sheer e Zehra, Kaunain me thi Sardaari... x 2 Hoon apne badan ka saani, Patthar se nichodu paani.. x2 Abbas kehte hain.. 5.Talwar hai mere baazu, Hai mujhme wafa ki khushbu, Main dekh na...

Na Ro Zainab Na Ro

Shame gariban (x2) Zainab tanha Ghore andhera Mot ka saya Badal banke sar par chaya Awaz ayi tabo ki ubri Kown jale kaymo ki janib Tayz kadam se chalta aya Poch ansoo zainab dekhi dekhete kya hai uska baba Baap ke sine par sar rakhkar bilak bilak kar tarap tarap kar aysa (rowi) x2 (Naro zainab naro, ha mere jigar ke tukre naro) x2 (Me kaise na rowu baba mai ujar gayi baba) x2 Ha mera akber Ha mera asger Ha mera gazi Ha tera dilber Ha me ujar gayi baba (Naro zainab naro, ha mere jigar ke tukre naro) x2 (Me kaise na rowu baba mai ujar gayi baba) x2 Ha ik din me Ha gar ujra Ha reh bhayi Ho na beta Ha me ujar gayi baba (Naro zainab naro, ha mere jigar ke tukre naro) x2 (Me kaise na rowu baba mai ujar gayi baba) x2 Ha me bekas Ha me muztal Ha pardesi Ha me begar Ha me ujar gayi baba (Naro zainab naro, ha mere jigar ke tukre naro) x2 (Me kaise na rowu baba mai ujar gayi baba) x2 ...

Abbas Aa Rahe Hai

(Ek shor hai, al amaan) x4 (Abbas aa rahe hai) x2 (Ek shor hai, al amaan) x4 (Abbas aa rahe hai) x2 Ek haath mein alam aur mashke sakina (Abbas aa rahe hai) x2 1. Kaandhe pe mashk mashk mein dil hai diler ka Darya ko chin lena nahi kaam der ka Ehsan tishnagi me hilega na ghair ka (Bighra hua mizaj hai) x2 Bighra hua mizaj jai hyder ke sher ka (Abbas aa rahe hai) x2 2. Chehra hai wal kamar ki ziyao se nur nur Aankho se jaakhta hua wan najal ka surur Bala kadi hai aaisi ke sharmae koheyr (Zulfe daraz aisi) x2 Zulfe daraz aisi ke wal lail ka shaur (Abbas aa rahe hai) x2  3. Pyaasa hai sher ghat ka rasta na rokna Aankhe jukawo sher ki janib na dekhna Kaise bache ye jaan ye lazim hai sochna (Abbas hai jalaal mai) x2 Abbas hai jalaal mai hargiz na tokna (Abbas aa rahe hai) x2  4. Tewar beta rahe hai kayamat uthayega Tege nazarse iski khuda hi bachayega Aaya jo samne koi who mara jayenga (Ek mashk me furat ko) x2 ...

Surah e Kahf Sunata Hai Yeh Gham Kiska Hai

Mir Hasan Mir (2014) Surae Kahf sunata hai ya husain husain ya husain husain ya husain husain ya husain..(3) surae kahf sunata hai ye sar kiska hai..(3) khoon ankho se bahata hai..(2) ye sar kiska hai... chalte chalte jo sakina kahi gir jati hai..(2) khudko naize se girata hai..(2) ye sar kiska hai... surae kahf sunata hai ye sar kiska hai..(2) jis taraf jata hai bazar me sar akbar ka..(2) us taraf dekhta jata hai..(2) ye sar kiska hai... surae kahf sunata hai ye sar kiska hai..(2) jab bhi dakhil kisi bazaar me hote hai haram..(2) pehla patthar yehi khata hai..(2) ye sar kiska hai... surae kahf sunata hai ye sar kiska hai..(2) raat hoti hai to masoom si ek bachi ko..(2) lori naize sunata hai..(2) ye sar kiska hai... surae kahf sunata hai ye sar kiska hai..(2) padhke qur'aan ki ayaat sare zainab se..(2) dhyaan logo ka hata hai..(2) ye sar kiska hai... surae kahf sunata hai ye sar kiska hai..(2) ye sama kaash na dekhe...

Ya Fatima Rida Me Chuppa Lo Hussain Ko

Mir Hasan Mir (2018) Ya fatima rida mein chupa lo hussain ko Ya ghareeb ya hussain haye ghareeb, haye hussain haaye.. arey maqtal mein gir raha hai..(2) sambhalo hussain ko ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(3) maqtal mein gir raha hai..(2) sambhalo hussain ko ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(3) 1. Paiwast hai ghareeb ke pehlu mein barchiya'n tumko bhi uthne deti nahi tooti pasliya'n lekar ali ka naam..(2) utha lo hussain ko ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(2) 2. Deewar o darr ke  beech jo armaan reh gaye rakhi hui thi dil mein jo mohsin ke waaste wo loriya'n bhi aaj..(2) suna lo hussain ko ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(2) 3. Sola pehere ki pyaas hai aur hai labo pe dumm dekar ghareeb bete ko abbas ki qasam paani agar mile to..(2) pila lo hussain ko ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(2) 4. Sheh ki ghareeb beti ke armaan ki tarha godi mein leke teesri shabaan ki tarha...

Kya Dhoond Rahi Hai

Kya dhoond rahi hai jangal may sakina abbas ke baazu ya baba ka seena kano se chine gowhar aur aag thi daman may ghabrayi hui bachi ye kehti rahi ran may hai koi jo mujhko pahunchade madina kya dhoond rahi.... ran se ali asghar ko le aao mere baba soona nazar aata hai bhai ka mere jhoola asghar ke baghair ab mujhko nahi jeena kya dhoond rahi.... ye shaam ke zindan may deewaron ko takti hai kya soch ke ye jaane din raat sisakti hai bichdi hai chacha se jab se ye hazeena kya dhoond rahi.... dunya se sidhare hai bhai jo mere pyase jab tak nahi lautenge ammu mere darya se maine ay phupi jaan pani nahi peena kya dhoond rahi.... pahunche jo shahe wala bete ki sada sunkar dekha ke ragadte hai aydi ko jawan akbar naize ki ani hai aur bete ka seena kya dhoond rahi.... ahmed ke nawase ko maara hai moharram may chalees baras roye sajjad isi gham may tareekh pukari hai gham ka mahina kya dhoond rahi.... honge sare mehshar bhi uncha...

Maula Koi Ghum Na De

Maulaayiyo husainiyo Rabb ka hai ye Karam Tum ho dua e fatema Shabbir ki qasam Apney ghumo ko bhoolkey kartey ho sheh ka ghum Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain aaye ho tum jahaa mey baraaye ghum e Husain Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain 1) kartey ho tum azaa e shahinshaa e karbala Milti hai tumko fatema zehra se ye dua Tum par huwi hai ye bhi ataa e ghum e Husain Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain 2) sab ko Husaini maao ney hairaan kardiya Sheh ki azaa pey Beto ko qurbaan lardiya Jin maao ney bachaayi sadaa e ghum e Husain Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain 3) baithey na apney Ghar mey shahadat ke qauf se sarr pey kafan pehenkey julooso mey Jo chaley Jo apni jaan dekey bachaaye ghum e Husain Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain 4) qaayam rakhey qudaa Meri behno ka hausla Maatam ridaa e Zainab o kulsoom ka kiyaa Odhey rahii saro pey ridaa e ghum e Husain Maula koi ghum naa dey siwaa e g...

Sher e Fizza

Ya ayyuhal asad..(4) ya ayyuhal asad..ayyuhal asad chale aao, chale aao... chale aao, chale aao... Chale aao, sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza Sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza 1. Jis ghadi sham e ghariba'n aayi Fizza maida'n mein khadi chillayi abu haris ho kaha' aajao be saharo'n  ki madad farmao rann mein hai laashe hussain ibne ali karne aajaye na pamaal shaqi Apne waade ko nibhao aao pehra shabbir ke laashe ka karo Chale aao, sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza Sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza 2. Ek sada tumko safeena ne jo di tumne aakar waha'n imdaad hai ki wo sahabi e rasool e do sara aur mai to hu'n kaniz e Zahra mera rutba hai juda de rahi hu mai sada aayi shabbir pe ghurbat ki ghadi baaqi bhai hai na beta koi Apne waade ko nibhao aao pehra shabbir ke laashe ka karo Chale aao, sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza Sher e fizza, sh...

Hussain-o-Minni Wa Ana Minal Hussain.

Utra Jo Aasman Se Mehzar Ba Shoor-o-Shain. Bait-ul-Sharaf Mein Goonj Uthe Syeda Ke Bain. Farmate The Habib-e-Khuda Khuda Se Shah-e-Mashreqain. Hussain-o-Minni Wa Ana Minal Hussain. Karb-o-Bala Mein Mera Pisar Mara Jayega. Pyasa Rahega Boond Na Pani Ki Payega. Ansar-o-Aqarba Ki Yeh Lashein Uthayega. Islam Ko Bachayega Mera Yeh Noor-e-Ain. Hussain-o-Minni Wa Ana Minal Hussain. Asgar Sahega Yeh Har Ik Ranj-o-Malal Ko. Jhole Se Le Ke Jayega Bano Ke Lal Ko. Pani Magar Na Dega Koi Nonehal Ko. Pyasa Hi Mara Jayega Asghar Sa Noor-e-Ain. Hussain-o-Minni Wa Ana Minal Hussain. Sar Sab Se Aagay Naize Pe Ho Ga Hussain Ka. Gar Bhai Be-Kafan Tu Behen Hogi Be-Rida. Darbar Mein Yazid Ke Jayega Qafila. Zainab Darbar-e-Sham Mein Ban Jayegi Hussain, Hussain-o-Minni Wa Ana Minal Hussain. Yeh Sun Ke Bolein Fatima Zahra Dohai Hai. Fart-e-Alam Se Aankhon Mein Tareeki Chaayi Hai. Baba Khabar Yeh Aap Ne Kaisi Sunai Hai. Pata Nahi Hai Mera Dil-e-Dard Mand Chai...

Mai Thak Gaya Hoo

Aaye Faras Ki Zeen Se Jab Khaak Par Hussain Maadar Ka Chehra Dekh Ke Karne Lage Ye Bain Amma Mai Thak Gaya Hoo Maa Apni Aagosh May Kuch Dayr Sulalo Amma Mai Thak Gaya Hoo Ye Laashe Uthake Ay Amma Apni Aagosh May Kuch Dayr Sulalo Amma Kitne Naize Hai Mohamed Ke Nawase Ke Liye Qatl Se Pehle Zara De Dilaase Ke Liye Apne Mazloom Ko Seene Se Lagalo Amma Mai Thak Gaya Hoo... Qatl Abbas Ka Ho Jana Qaza Thi Meri Barchi Akbar Ko Nahi Mere Kaleje May Lagi Gham Ki Barchi Mere Seene Se Nikalo Amma Mai Thak Gaya Hoo... Ab Mere Khoon Ka Pyasa Ye Jangal Saara Koi Is Dasht May Nasir Bhi Nahi Mera Ho Sake To Mere Ghazi Ko Bulalo Amma Mai Thak Gaya Hoo... Halq Sookha Hai Kaleje May Dukhan Hoti Hai Rayt Zakhmo May Jo Jaati Hai Chuban Hoti Hai Apni Chadar Ko Mere Zakhmo Pe Daalo Amma Mai Thak Gaya Hoo... Dekh Ke Aun O Mohamed Ko Sare Dashte Bala Dil Yun Tukde Hua Jis Tarha Badan Ka Simka Mere Is Toote Huwe Dil Ko Sambhalo Amma Mai Thak Gaya H...

Abbas Mera Margaya

Abbas Mera Margaya Zainab Zainab Shabbir Dete Thay Sada Zainab Zainab Barpa Karo Behna Aza, Bhai Huwa Hum Se Juda Hum Hogaye Be-Aasra, Kohe Musibat Gir Pada, Zainab Abbas Mera Margaya.... Bazoo Huwe Uske Qalam, Kaisa Huwa Hai Ye Sitam Tanha Howe Ghurbath May Hum, Matam Karo Zere Alam, Zainab Abbas Mera Margaya.... Aata Alam Ko Dekh Kar, Poocha Chacha Ko Tha Magar Dar Par Hai Unki Munthazer, Usko Na Ho Iski Khabar, Zainab Abbas Mera Margaya.... Maare Gaye Uske Chacha, Maloom Usko Gar Huwa Bali Sakina Bebaha, Peetegi Sar Karke Buka, Zainab Abbas Mera Margaya.... Akbar Se Ay Behna Kaho, Jaakar Chachi Ko Pursa Do Poochay Hame Ghamkhar Jo, Kehde Hai Matam May Wo, Zainab Abbas Mera Margaya.... Tanha Hame Ab Jaankar, Kya Kuch Karangay Ahle Shar Barbaad Hoga Ghar Ka Ghar, Kat Jayega Ab Mera Sar, Zainab Abbas Mera Margaya.... Karlo Anees Is Dam Buka, Aajaye Jaane Kab Khaza Kya Waqt Aisa Aagaya, Rone Pa Ho Zulmo Jafa, Zainab Abbas Mera M...

Amma Ghareeb Hoo

Noke Sina Ke Upar Kehta Tha Farqe Sarwar Ghar Lutgaya Hai Mera Maara Gaya Baradar Amma Ghareeb Hoo Mai Asghar Ke Khoon Se Maine Dekho Wazoo Kiya Hai Is Imtehan May Usne Bhi Surkh Roo Kiya Hai Iski Lehad Banakar Amma Ghareeb Hoo.... Mai Kis Khadar Hoo Pyasa Amma Batun Kyun Kar Sookha Gala Tha Itna Chalta Nahi Tha Khanjar Qabze May Rakhke Kausar Amma Ghareeb Hoo.... Mai Kaisa Baap Tha Jo Ay Daure Imtehani Roti Rahi Sakina Mai De Saka Na Pani Aaye Yaqeen Na Kyun Kar Amma Ghareeb Hoo.... Barchi Jawan Pisar Ke Seene Se Mai Ne Khaynchi Ansar O Aqraba Ki Qasim Ki Laash Dekhi Ibne Ameer Hokar Amma Ghareeb Hoo.... Ghodon Ke Daudne Se Pamaal Ho Chuka Hoo Kya Ab Bhi Mai Wohi Hoo Hairan Hoo Sochta Hoo Naaqa Bane Payambar Amma Ghareeb Hoo.... Aap Aagayi Hai Amma Yaad Aa Raha Hai Bachpan Wo Saath Saath Chalna Aur Apne Ghar Ka Aangan Ab Khaak Ka Hai Bistar Amma Ghareeb Hoo.... Dil Gham Se Chaak Bhi Hai Zakhmo May Khaak Bhi Hai Udt...

Aaja Mere Hussain

Aaja mere Hussain Tu chand hai mere ghar ka tu phool hai is aangan ka Tu is dil ki hai dhadkan tu noor hai in aankhon ka Teri yaad may tadpoo din bhar jaagun mai saari rayn Aaja mere Hussain (X4) Kya chakki pees ke beta is din ke liye tha paala Khanjar hai galay pe pyase manzar ye dehun kaise Ahmed ka nawasa hai ye beta hai mera hussain Aaja mere Hussain (X4) Ghar baar luta kar dekhun ye haal bhi dilbar dekhun Tu tanha khada hai ban may ujdi kook is ban may Chaale hai mere is dil par ashkon se tar hai nayn Aaja mere Hussain (X4) Khoon roti hai ye dukhiya bebas hai kitni mamta Mehshar ka hai ye manzar sajde may sar aur khanjar Lillaah rehm tu karna kaunain huwe bechain Aaja mere Hussain (X4) Be-aab na zibha kar tu allah se kuch to darr tu Kya soch ke tu badta hai zehra ka ye pidya hai Kyun arsh ko tu dhaata hai khudrat ke hai ye bain Aaja mere Hussain (X4) Dil par hai udaasi chaayi balon se maqtal jhaadi Beenayi gayi hai maa ki tooti hai kamar bhi meri Ye din bhi kaisa aaya ...

Yeh Sada Deti Hai Zainab

Ye sada deti hai Zainab mere jaani Abbas (×2) Ho kahan tum mere baba ki nishaani Abbas Ye sada deti hai Zainab mere jaani Abbas (×2) Tum jo Darya pe gaye aaye na wapas Abbas (x2) Kaun ab lega khabar aao na wapas Abbas Tumse kehti hai yeh Zehra (x2) ki nishaani Abbas Muntazir darr pe tumhari hai sakina Abbas Aur baccho ko bhi deti hai dilaasa Abbas Ab chacha aaenge ab (x2) aaega paani Abbas Saath chhuta hai toh roti hai sakina Abbas Har qadam par yehi kehti hai sakina Abbas Laut aao nahi ab (x2) khwaaishe paani Abbas Kaise kaise hai sitam aur sakina Abbas Ghamzada jaaegi duniya se sakina Abbas Ab palat aao mere (x2) haider-e-sani Abbas Ab na Qasim hai na akbar na mere dono pisar Hum pe khaaye jo rehem koi nahi aisa bashar Koi hamdam nahi yaawar (x2) nahi jaani Abbas Qatl sab ho gaye ab koi mere saath nahi  Sab toh sab asghar-e-naadan bhi mere saath nahi Gham hai pyaaron ka toh ab (x2) Tashnadahaani Abbas Lut gayi lut gayi ka...

Abbas, Hyder e Karbala (Anjuman e Al Abbas)

Abbas, Hyder e Karbala, saaqiye bawafa, afzalo shohada (×3) Abbas, Abbas (×3) Abbas, Hyder e Karbala, saaqiye bawafa, afzalo shohada. Tum jaa rahe ho bhai, Bhai ko chorkar (×2) Kya hoga bibiyo ka, tujh ko nahi khabar, Katt jaayega mera sar, lut jaayega yeh Ghar, Lut jaayega yeh ghar Abbas, Hyder e Karbala, saaqiye bawafa, afzalo shohada (×3) Abbas shuja'at hai, Abbas wafa hai (×2) Saqaaey Sakina hai, Zainab ki Rida hai, Abbas Fatema, Haider ki Dua hai, Haider ki Dua hai Abbas, Hyder e Karbala, saaqiye bawafa, afzalo shohada (×2) Baba ne jo khuda se, maanga woh milgaya (×2) Meri madad ki aye, tum aaj e Karbala, Abbas tumne mujhse, waada wafaa Kiya  Waada wafaa Kiya Abbas, Hyder e Karbala, saaqiye bawafa, afzalo shohada (×2) Aye khaak e Karbala Tu, khaaro ko hataa de (×2) Abbas gir Raha hai, kaanto ko hata de, So jaaye wah sukoon se, teero ko hata de, Teero ko hata de, Abbas, Hyder e Karbala, saaqiye bawafa, afzalo shohada (×2) ...

Alwida Jaa Rahi Hai Behen Alwida

Alwida jaa rahi hai behen, alwida. Lo chali shaam ko, aake rukhsat karo, lo chali shaam ko. Aake rukhsat karo, haatho me hai rasan, alwida, alwida. Alwida haaye Hussain, alwida jaa rahi hai behen, alwida. Tere laashe pe aansu, bahaa naa saki. Aur tujhko gale se lagaa na saki (x2) Shaam ki qaid se, aaungi laut kar (x2) Khud karungi dafan alwida, alwida. Alwida haaye Hussain, alwida jaa rahi hai behen, alwida. Kaise tanha tujhe ban me chore behen, Sar se naake hai aur, haath khoon me badan (x2)  Bas isi baat ka, aagaya gham mujhe (x2) Aye gharibul watan alwida, alwida. Alwida haaye Hussain, alwida jaa rahi hai behen, alwida. Naa hai Abbas ab aur na Akbar jawaan, Saath Sajjad beemaar hai naatawan (x2) Bas khuda jaane kaise katega safar (x2) Marhala hai katar alwida, alwida. Alwida haaye Hussain, alwida jaa rahi hai behen, alwida. Ab mera kya raha, ghar ko jaaun agar, Mere Akbar o Khasim, sabhi hai idhar (x2) Aur Sughra ko rokar bata...

Nikla Hai Janaza Koi

Nikla Hai Janaza Koi Allah Ke Ghar Se. Aflak Mein ik Shoor Hai Matam Ke Asar Se. Nikla Hai Janaza Koi Allah Ke Ghar Se. Afoos Keh Masjid Mein Namazi Giya Mara. Kuch Kam Nahi Yeh Mehshar Qayamat Ke Asar Se. Nikla Hai Janaza Koi Allah Ke Ghar Se. Zainab(SA) Se Yeh Keh Do Keh Woh Dil Khol Ke Roye. Shabir(AS) Ki Hamsheer Hai Rone Ko Na Tarse. Nikla Hai Janaza Koi Allah Ke Ghar Se. Abbas(AS) Zara Zainab-e-Muztar(AS) Se Khabardar. Faryad Mein Hat Jaye Na Chadar Kahin Sar Se. Nikla Hai Janaza Koi Allah Ke Ghar Se. Han Bhol Na Jana Inhein Kofe Ke Makeeno. Guzrein  Gein Yeh Shehzadiyaan Iss Rah Guzar Se. Nikla Hai Janaza Koi Allah Ke Ghar Se. Ashab Bhi Sun Paye Na Jis Bibi Ki Ahat. Sar Nangay Wohi Guzre Gi Iss Rah Guzar Se. Nikla Hai Janaza Koi Allah Ke Ghar Se. Shabir(AS) Ko Yaad Aa Gayi Khud Apni Sakina(SA). Zainab(SA) Ko Hataya Giya Jab Lash Padar Se. Nikla Hai Janaza Koi Allah Ke Ghar Se. Yaad Aa Giya Zainab(SA) Ko Woh Pehlu-e-Shakista...