Zehra Ki Luti Jageer
Kat-ta hai sarre shabbir, Abbas nahi aaye, Zehra ki luti jageer, Abbas nahi aaye (×4) Dharas thi Sakina ko, umeed thi sarwar ki, Zainab ka sahara tha, aur aas bhare ghar ki, Ab kaun karey tatbeer, Abbas nahi aaye, Zehra ki luti jageer, (Abbas nahi aaye ×2) Bachon ko bharosa tha, pani ab bhi aayega, Tayaar rakho kooze, bhar bhar ke pilaayega, Par pyaas bani tafdeel, abbas nahi aaye, Zehra ki luti jageer, (Abbas nahi aaye ×2) Kya khoon bahaata tha, sarwar ke paseene par, Ek saans na leta tha, bhai se judah ho kar, Ghode se girey Shabbir, abbas nahi aaye Zehra ki luti jageer, (Abbas nahi aaye ×2) Yasrab me tha kya Manzar, Zainab ki sawaari ka, Kya shaan thi parde ki, kya rob amaari ka, Sar nange hai woh dilgeer, abbas nahi aaye, Zehra ki luti jageer, (Abbas nahi aaye ×2) Hai waqt sakina par, Ghazi ko toh aana tha, Zaalim ke tamaacho se, bachhi ko bachaana tha, Joh itni howi taakheel, abbas nahi aaye Zehra ki luti jageer, (Abbas nahi aaye ×2) Jab sani e zehra s...