Posts

Showing posts from August, 2021

Ya Sayyedi Ya Abbas (Anjuman e Hyderia)

Abbas Ki Jo Sheh Ko Dariya Se Sada Aayi, Sheh Rote Huwe Doude Abbas Mere Bhai, Abbas Ka Pehla Jo Sarwar Ko Mila Shaana, Mazloom Ke Pyaase ke Ek Dil Pe Laga Bhaala, Sarwar Ne Juhi Dekha Us Dusre Shaane ko, Sheh bole Nahi Mera Ab Koi Bachaane Ko, Reti Pe Gire Pyaase Paani Jo Nahi Aaya. Seh Roz Ke Pyaason Ki Yoon Toot Gayi Aas. Ya Sayyedi Ya Abbas, Ya Abul Fazlil Abbas. Tum Baabe Hawaij Ho, Hyder ka Qamar Tum Ho, Armaane Dile Hyder, Sarwar Ke Sipar Tum Ho, Zehra Ki duwaon Ka Sarmaaya Tere paas, Ya Sayyedi Ya Abbas, Ya Abul Fazlil Abbas. Karbal Ko Sajaaya hai, Ghaazi ne Wafaon Se, 9 Lakh Ke Lashkar Ko, Roka Hai Nigahon Se, Nazron Ka Jalaali Hai, Hathyaar Tere Paas. Ya Sayyedi Ya Abbas, Ya Abul Fazlil Abbas. Abbas ke Shaano Ko, Ab Kaise Uthaaun Main, Abbas Mere Bhai, Ab Kisko Pukaaru Main, Kistarha Jiye Sawar, Ghaazi Hai Nahi Paas. Ya Sayyedi Ya Abbas, Ya Abul Fazlil Abbas. Jab Shimr Ne Sarwar Ka, Sar Tan Se Utara Hai, Bhai Ne Tahe Khanjar, Bhai Ko Pukara Hai, Aur Toot ti Saanson Me, Abbas ...

Qaasidh Mera Qath Leijaa

Qaasidh mera qath leijaa, ehsaan badaa hoga, Baba mera koofay mein, mehmaan huvaa hoga  Qaasidh meray Baba ki pehchaan badi yeh, hai abbas alam leikar baazu mein khadaa hoga  Qaasidh meray bhaayi ki shaadi kay yehi din hain, hum shakl-e-Payambar hai sehra bhi bandhaa hoga  Qaimon mein khabar deina, qaasidh hoon main soghra ka  Meray gham-e-furqath mein, ek shor machaa hoga Deinay ko rakhaa kya hai, ley-lijiyo tu jaakar, Akbar ney meraa tohfaa eedi ka rakhaa hoga

Aayi Haatif Ki Awaaz Sheh Ko

Aayi haatif ki awaaz sheh ko  Uthro Shabbir yeh karbala hai  Bas qadam ab naa aagay baddhaao (×2) Uthro Shabbir yeh karbala hai  Ab safar khatm hai ibne Zehra  Labay darya karo Qaima barpaa  Hashr takh hai yaheen tumko rehnaa  Uthro Shabbir yeh karbala hai  Yaheen nauroz mehmaan rahogay  Khaaney peenay ki ezzaa sahougay  Bhookay pyaasey yaheen qatl hongay  Uthro Shabbir yeh karbala hai  Marthay dum takh na paani milegaa  Pyaasi gardhan pa khanjar chaleigaa  Sar chadheigaa sinaan par tumhaara  Uthro Shabbir yeh karbala hai  Laash chaalees din takh tumhaari  Isi jungle may ooriyaan rahegi  Ronay waala bhi hoga na koyi  Uthro Shabbir yeh karbala hai Khaayegi jab sakina tamaachey  Yaheen Tadpeygaa laasha tumhaara  Shimr deigaa yaheen usko ezza  Uthro Shabbir yeh karbala hai 

Run Mein Aakar Sakina Pukari

Run mein aakar  Sakina pukari  Ghar  chalo  bhai  mehndi  lagaoon  Bane  Qasim  bahen  tum  pah  vaari  Ghar  chalo  bhai  mehndi  lagaoon  Kaisi  shaadi  qayamat  yeh  aayi  Huvi  dulha  dulhan  mein  judaai  Nekh  apna  mein  lene  na  paayi  Ghar  chalo  bhai  mehndi  lagaoon  Bhai  kya  jald  ghar  se  sidhaare  Rasm  poore  huve  na  hamare Muntezar  hai  baraati  tumhare  Ghar  chalo  bhai  mehndi  lagaoon  Joda  shaadi  ka  tunh  mein  naya  hai So  woh  zaqmon  se  purze  hua  hai  Khoon  sab  dasto  pa  mein  laga  hai  Ghar  chalo  bhai  mehndi  lagaoon  Barr  mein...