Posts

Showing posts from August, 2024

Waqt Sajjad Ne Kaisey Woh Guzaara Hoga

Waqt Sajjad ne kaisey woh guzaara hoga Naam Zainab ka jo ghairoun ne pukaara hoga Lo Hussain Ibne Ali pyaase zibhaa hone lage Kitna sharminda woh darya ka kanaara hoga Woh giraa zeen se Zainab ki ridaa ka zaamin Kaun ab Fatema jaayi ka sahaara hoga Sar-e-maidaan toh, jaane toh, laga hai Asghar Kis tarah tere bina maa ka guzaara hoga Nok-e-naiza pey bahaaney lage ansoo maula Phir Sakina ko kisi shaqs ne maaraa hoga Roz-e-Mehshar ka humein darr nahin koi Shaukat Haath Shabbir ke qadhmoun pe hamaara hoga

Bulaakar Sab Ko Hazrath Ney

Bulaakar sab ko Hazrath ney kahaa aye Karbala waalo Hamein darkaar hai thodi si jaa aye Karbala waalo Iraada hai isi jungle main apna ghar basaaengay Na ho taa hashr ab tumsey judaa aye Karbala waalo Khudaara marney waaloun ki na roko raaha rehnay doh Mujhey laayi hai yahaan meri qazaa aye Karbala waalo Raheygi taaba chehlum laash bey ghusl-o-kafan sabki Meray naamoos hongay bey ridaa aye Karbala waalo Main chupp jaaoonga gar ek ek mutthi khaak daalogay Yoonhi banjaayega marqadh mera aye Karbala waalo Muhibb aayein jo baad-e-margg beykas ki ziyarath ko Bathaa deina unhein mera pathaa aye Karbala waalo Hamaari qabr par aana toh doh aansoo bahaa jaana Miley fursath toh padhna faateha aye Karbala waalo Mileiga chaen baad-e-margg bhi mujhko na turbath main Milega hashr takh madhfan mera aye Karbala waalo

Dil Hai Beychaen Shaahey Huda Ka

Dil hai beychaen shaahey huda ka Ho raha hai safar karbala ka Qasdh hai waanh sey mulk-e-baqaa ka Ho raha hai safar karbala ka Bhaayi Abbas woh mashkoun waaley Aur paani tumharey hawaaley Saath maasoom bachchoun ka hoga Ho raha hai safar karbala ka Sab sey ro-ro kay kehthay hain Hazrath  Ab yehi hai khuda ki mashiyath Mujh sey chut-tha hai Naana ka Rauza Ho raha hai safar karbala ka Jaakay Soghra ko samjhaao bhaayi kardoh beemaar-e-gham ki rihaayi Saath chalnaa hai dushwaar uska Ho raha hai safar karbala ka Kahiyoh beti tujhey kya khabar hai  Raastha har qadam pur qatar hai Saamna ab hai dasht-e-bala ka Ho raha hai safar karbala ka Saath hai meri baali Sakina Behray ismath ka hai yeh nagina Marqadh zindaan may iska baneigaa Ho raha hai safar karbala ka Saath meray mera mehlaqaa hai  Humshabi-e-Rasool-e-Khuda hai Su-e-Maqtal chala hai yeh fidya Ho raha hai safar karbala ka Aaj hai Bibiyoun ko amaari  Shaan sey jaarahi hai sawaari Kal kahaan hoga inkaa yeh pardaa Ho ra...

Tujhe Jhula Jhulaoon (Hasan Sadiq)

Ya Hussain..(4) Mai jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon Tujhe jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon Mai khwaab me asghar tujhe..(2) Lori bhi sunaoo, Tujhe jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon..(2) 1) Laut aao safar se ke badi der hui hai..(2) betaab hu kabse tujhe..(2) seene se lagaoo Tujhe jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon..(2) 2) Koi mujhe batlata nahi teri nishani..(2) Barsaat me teero ki..(2) Kaha dhundhne jaoo Tujhe jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon..(2) 3) Socha tha teri saalgira ghar me karungi..(2) Taqdeer ye kehti hai..(2) Tera sog manaoo Tujhe jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon..(2) 4) Baba se tere tera janaza na uthega..(2) Rukja zara abbas ko..(2) Darya se bulaoo Tujhe jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon..(2) 5) Ye khoon bhara kurta ye matti me bhare baal..(2) Seene me chupau ke..(2) Mai aankho se lagaoo Tujhe jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon..(2) 6) Is tarha koi rooth ke maa se nahi jaata..(2) Tu khud hi bata de mai..(2) tujhe k...

Zulm Hai Andera Hai Qaid Me Sakina Hai

Zulm Hai Andera Hai Qaid Me Sakina Hai Gham Ka Ab Savera Hai Qaid Me Sakina Hai Bad-e-Shah-e-Deen Uspar, Har Sitam Huwa Khul-Kar. Margayi Hai Wo Pyasi Dekthi Rahi Madar. Kaisa Uss-Ka Marna Hai, Qaid Me Sakina Hai. Shimr Ke Tamache The, Ranj-o-Gham Ke Saye The, Raha Me Sakina Ke, Aafato Ke Kante The, Haye Kya Andhera Hai, Qaid Me Sakina Hai. Be-Kajawa Ountoun Par, Le-Gaye Laien Dar-Dar, Dekhti Rahi Bibi, Baap Ka Sina Par Sar, Nazroun Me Madina Hai, Qaid Me Sakina Hai. Bekasi Ka Aalam Hai, Sab Ki Aankh Purnam Hai, Teergi Me Zindan Ki, Binte Sheh Ka Matam Hai, Haal Hai Wo Zinda Ka, Qaid Mai Sakina Hai. Lake Sar Wo Baba Ka Sheh Se Guftagu Ki Jo, Dekho Tho Zara Abid Sogayi Hai Kya Dekho, Kya Gazab Ka Sona Hai Qaid Me Sakina Hai. Marte Waqt Bhai Se Ye Kaha Sakina Ne, Ho Muqam Ek Thanda Dafan Mujhko Wa Kije, Qush Mera Sina Hai,  Qaid Me Sakina Hai. Nouha Likthe Hai Hyder Aur Sunate Hai Jaffer, Majlis-e-aza Me Hai Sab Ki Ab Zubano Par, Dekhle Zara Dunya,  Qaid Me Sakina Hai.