Posts

Showing posts from 2017

Abele Hai Paon Mein

Haaye Sajjad (×4) Abele hai paon mein, Sajjad chal sakta nahi, Abele hai paon mein. Taaziyana maarne (×2) Waalo ne yeh soncha nahi, Abele... Touq pehnao na uska, Bediyaa daalo na tum (×2) Qaid hai Zainab toh Abid ab kahi jaata nahi. Abele... Bekafan laashon ki khaamoshi Ne jaane kya kaha (×2) Karbala ke baad Abid, shaam tak bola nahi. Abele... Kaan hai zakhmi to rukh par, Hai tamaacho ke nishaan (×2) Iske sar par ab yaqeenan baap ka saaya nahi. Abele... Zulm ki shiddat se shayad, Jam gaya saara lahu (×2) Lakh zakhmi ho sakina par lahu behta nahi Abele... Mehmilo se maao ki aagosh Se jo gir gaye (×2) Gir gaye bachhe laeen ne khafila roka nahi Abele... Loot kar laaye hai Shaami Jab se Zainab ki rida (×2) Ek pal Abbas ka, naize pe sar rukhta nahi, Abele... Har kisi se keh raha hai, Main nabi ki aal hu (×2) Haaye ghurbat koi bhi, Sajjad ki sunta nahi. Abele... Aankh me utra nahi Akbar Abhi bazaar shaam (×2) Ashk kehte hai meri, aakho se khoon behta nahi

Aye Raat Na Dhalna

ay raat na dhalna ke ujar jayegi zainab bhai se dam e subh bichar jayegi zainab ay raat na dhalna ke ujar jayegi zainab sone de sakina ko ke phir so na sakegi rona bhi jo chahegi to phir ro na sakegi asghar se mulakaat to phir ho na sakegi ay raat na dhalna.... ghabraye huye laal hai sehmi hui mayein jee bhar ke mai de lon ali akbar ko duayein lena hai abhi aun o mohamad ki balayein ay raat na dhalna.... ae raat bikhar ja tere bas may ho jahan tak mit jayenge kal aal e payamber ke nishan tak baaqi hai yeh manzar ali akbar ki azan tak ay raat na dhalna.... har chund ke bachon ki abhi pyas hai baaqi kuch aankh may hasrat hai to kuch aas hai baaqi lekin mera bhai mera abbas hai baaqi ay raat na dhalna.... baaqi hai abhi aal e muhamad ka safeena beti ke sulane ko hai shabbir ka seena jhoola ali asghar ka jhulaati hai sakina ay raat na dhalna.... kal kaun sunega ye meri aah o buka bhi hoga tahe khanjar mere bhai ka gala bhi khema to kuja sar pe na hogi ye rida bhi

Zahra Se Kia Waada

Haey Fizza, haey haey Fizza (x4) Fizza tujhe salam (x6) Zehra se kiya wada nibhati rahi Fizza (x3) Zehra se kiya wada nibhati rahi Fizza (x2) Har modh pe zainab ko bachati rahi Fizza Zehra se kiya wada nibhati rahi Fizza(x2) Jo saniye Zehra ko bachane me lage the (x2) Sajjad se wo zakhm chupati rahi Fizza Zehra se kiya wada nibhati rahi Fizza (x2) Jab pucha kaha reh gaye amma mere baba (x2) Sughra  se bohot der chupati rahi Fizza Zehra se kiya wada nibhati rahi Fizza(x2) Aaya jo mulaqaat ko abbas ka beta (x2) Bus shano ko ankho se lagati rahi Fizza Zehra se kiya wada nibhati rahi Fizza (x2) Shabbir ki beti ho ya beti ho Nabi ki (x2) Har umr ki Zehra ko bachati rahi Fizza Zehra se kiya wada nibhati rahi Fizza (x2) Darwaza e Zehra kabhi, khaimo se haram ke (x2) Uthte hue sholon ko bujhati rahi Fizza Zehra se kiya wada nibhati rahi Fizza (x2) Bacho se lipat kar kabhi Zainab se lipat kar (x2) Patthar jo baraste rahe khati rahi Fizza Zehra se kiya wada nibhati rahi Fi

Aye Shaam Ke Logo

A y shaam ke logon mai binte ali hoo mai waarise tatheer hoo namoose nabi hoo Bazaar se darbaar may le aaye ho mujhko chahoo to jala sakti hoo khutbo se mai tumko saabir ki behan hoo jo mai khamosh khadi hoo ay shaam ke logon... Afsos kaneezi may usay maang rahe ho tum jiske ghulamo ki ghulami may rahe ho ye zulm na hoga kabhi mai zinda abhi hoo ay shaam ke logon... Zindan tha to darr darr ke hamesha hi laday ho ab sar hai to honton pe chadi maar rahe ho tum kitne bahadur ho mai ye dekh rahi hoo ay shaam ke logon... Tum apne payambar ko agar dekhna chaho naize pe jo ye sar hai isay ghaur se dekho humshakle payambar hai ye mai iski phupi hoo ay shaam ke logon... Aur is se kathan waqt kya hoga mere maabood fizza ke tarafdaar hai darbar may maujood mai pusht pe fizza ke khadi dekh rahi hoo ay shaam ke logon... Zehra ko bhi darbaar may tumne tha bulaya darbar may mai bhi hoo magar farq hai itna parde may thi woh aur mai be-parda khadi hoo ay shaam ke logon... Zanj

Abbas Jo Zinda Hai (2017)

Abbas… Baawafaa Ya Abbas…. Abbas, abbas, abbas, abbas..(2) Mehfooz qaafela Hai Abbas Jo zindaa Hai Abhi door karbala Hai..(3), Abbas Jo zindaa Hai Is noori ka arwaa mey noori amaariyaa hai Noori amaariyo mey (noori sawaariyaa Hai)..(2) Sarr par Alam khulaa Hai, Abbas Jo zindaa Hai Naa mehramo ka majmaa hat-hat key Hai guzarta Pehrey mey baawafaa ke (Taiy horaha Hai rastaa)..(2) Kya shaan o dabdabaa Hai, Abbas Jo zindaa Hai Abbas jaisa Bhai saalaar kaarwaa Hai Boley Husain mujhko (phir koi ghum kahaa Hai)..(2) Har ghum ki ye dawaa Hai, Abbas Jo zindaa Hai Zainab hayaa ki malka kulsoom aur ruqayya Laila, rabaab, farwaa, (kubraa, Sakina, fizza)..(2) Har Bibi baaridaa Hai, Abbas Jo zindaa Hai Asgar se khelti Hai khush Hai bohat sakina Jab chaahti Hai Sona (Hai baba jaa ka seena)..(2) Ghum se na aashna Hai, Abbas Jo zindaa hai

Aye Mere Baba Jaan

us waqt jab ke zainab darbar may gayi thi khaari namaziyon se mehfil saji hui thi zaalim ye poochta tha ghazi tera kahan hai balon se moo chupaye zainab ye keh rahi thi ay mere baba jaan ho rahi hai azan sar chupaon kahan majmaye aam may bewatan be-ama aagaya kaarwan ay mere baba jaan.... mai bhi hoon marziya binte khairun nissa mere lehje may hai baba teri aada naam zainab mera tune jo rakh diya dede apni zubaan ay mere baba jaan.... baba jaan mai rida maangti rehgayi bamo-dar sajgaye jeete ji margayi halqae shaam may naam sunkar mera margaya natawaan ay mere baba jaan.... haath kaanon pe hai neel gaalon pe hai aur nishaan jo sakina ke shano pe hai har nishaan se yahi aa rahi hai sada baba jaan baba jaan ay mere baba jaan.... shame ashoor se shaam o kufa talak maine maanga nahi hai khiraaje fadak meri chadar se hai meri maa ka sukaoon sunle zalim jahan ay mere baba jaan.... baba jaan ye tera aakhri tha bayaan teri chadar bachayega ghazi jawan margaya bawafa c

Aseer Ho Ke Chali Hu

Aseer hoke chali hoo salaam lo baba Yeh ibtheda hai musibat ki inteha bhi nahi guzar gayi hai qayamat magar gila bhi nahi phupi ke sar pa kafan ke liye rida bhi nahi aur aaj hosh may beemare karbala bhi nahi aseer hoke chali.... Hamara karbobala my qayam ho na saka tumhare dafn ka bhi inthezaam ho na saka pade ho khaak pe kuch ehtemam ho na saka ye zoaf hai ke ada bhi salam ho na saka aseer hoke chali.... Suna hai shaam ka darbaar jab bhara hoga yazeed ka sare darbaar saamna hoga mera to bhai bhi zanjeer may bandha hoga phupi jo pahunchegi darbaar may to kya hoga aseer hoke chali.... Hai sar pe khaak bhi gham bhi hai aur buka bhi hai hai kamsani bhi musibath bhi aur jafa bhi hai phupi ke saaath rasan me mera gila bhi hai in aafato se guzarne ka hausla bhi hai aseer hoke chali.... H ai ab bhi peshe nazar waqiyate karbobala wahin hai shimr ka khanjar wahin hai sheh ka gala wahi hai shaam ka bazaar aur wohi koofa urooj ab bhi sakina ki aa rahi hai sada aseer hoke

Meri Sakina Is Tarha Na Rona

(Aakhri Salaam) x4 (Meri Sakina is terhaa naa rona) x2. (Tum jawo kaha(n) Allah Jane maqtal me rahe kis haal mei hum) x2  (Aab khwab mei baba aayenge) x2 chahe shaam ka ho zindan howe (Meri Sakina is terhaa naa rona) x2 Naa meri bachi naa is naa (is terhaa naa ronaa) x2 Hum jaate hay milne baba se ab lot ke hum ko aanaa nahi  Kuch der lipat jaa sine se phir baap ka sinaa milnaa nahi  (sojanaa jahaan phuphiyaa(n) kehde) x2  chahe shaam kaa wo zindan howe  Meri Sakina is terhaa naa rona Jaane de muje maidaa(n) ki taraf denaa ye tuje kurbani hai  rahwaar ke mere pawo(n) na per meri bachi tu sayyedani hai (Jinaa hai tuje Zehra ki terhaa) x2  chahe shaam kaa wo zindan howe  Meri Sakina is terhaa naa rona (Aa ponch le ansoo ankho se tu dekle chehraa baba ka) x2  kal ho saktaa hai aa naa sake pehchan me chehraa baba kaa  (hum saath teraa naa chorenge) x2 chahe shaam kaa wo zindan howe  Meri Sakina is terhaa naa rona Abbas kaa dil Akber ki behan jis waqt bandhe gardan me r

Ibn e Muljim Ne

Ibne muljim ne hyder ko maara rozedaro qayamat ke din hai tumse chut-ta hai maula tumhara rozedaro qayamat.... Sooni qabre rasoole khuda hai ghar may zehra ke matam buka hai khaak udaata hai hyder ka kunba rozedaro qayamat.... Aale ahmed pe aafat hai aayi bekason par yateemi hai chaayi uthgaya sar se hyder ka saaya rozedaro qayamat.... Ghar may khaaliq ke hyder ko maara janasheen e payambar ko maara haye sajde may sarwar ko maara rozedaro qayamat.... Kyun na roye ye wo gham nahi hai shab ye ashoor se kam nahi hai khuld may bhi ye matam hai barpa rozedaro qayamat.... Dil hilaate hai zainab ke naale khaak udaate hai sab kunbe waale uth raha hai ali ka janaza rozedaro qayamat....

Koi Nahi Hussain Ka (2017)

Hungam-e-Asr Ka (Manzar Hai) 2 Na Ghazi Na Koi (Lashkar Hai) 2 Wa Ghurbataa (Ayi Wa Ghurbata) 2 (Koi Nahi Hussain Ka Beganey Dais Main) 2 (Hal Min ki Hai Sada) 2x Koi Nahi Hussain Ka (Koi Nahi Hussain Ka Beygane Dais Main) 2 Hai Asr Ka Samaa, Rota Hai Aasmaan Hai Aakhri Azaan, Gham Sey Hai Neem Jaan Hussain Ya Hussain a.s Hussain Badshah Akela Reh Gaya Wo Ghar Luta Chuka Bacha Key Deen Tera Khuda Ay Khuda Ay Khuda Ay Khuda (Kunba Ujar Gaya) 2 Beygane Dais Main Koi Nahi Hussain Ka Beygane Dais Main (Halmin Ki Hai Sada) 2 Koi Nahi Hussain Ka (Koi Nahi Hussain Ka Beygane Dais Main) 2 Laashey Uthha Chuka, Ghar Bhi Luta Chuka Har Aik Laash Per, Aansu Baha Chuka Hussain Ya Hussain Hussain Badshah Akela Reh Gaya Wo Ghar Luta Chuka Bacha Key Deen Tera Khuda Ay Khuda Ay Khuda Ay Khuda (Rota Hai Zuljanah) 2 Beygane Dais Main Koi Nahi Hussain Ka Beygane Dais Main (Halmin Ki Hai Sada) 2 Koi Nahi Hussain Ka (Koi Nahi Hussain Ka Beygane Dais Main) 2 Laakho'n Main Gh

Acha Hua Sughra (2016)

jab ahle haram aaye madine may palay kar sughra se kaha saniye zehra ne lipat kar acha hua sughra tu mere saath nahi thi zainab ka tha noha hum lut gaye sughra acha hua sughra.... is baat pe karti hoo ada shukr ka sajda hum may se kisi ka to salamat raha parda kis tarha bataun tujhe dil phat ta hai mera sadaat ki ghairat ka taqaza nahi sughra bas itna hi kehti hoo rida jab ke chini thi acha hua sughra.... tu poochti hai surkh hai kyun aap ki chadar aa tujhko bataun mere mazloom ki dukhktar jab qaime may sheh laaye laashe ali akbar mai aise giri laash ke pehlu may tadap kar akbar ke lahoo se ye rida surkh hui thi acha hua sughra.... kis tarha rahi hogi tu is ghar may akeli ehsaas mujhe hai tere is dard ka beti lekin tu zaeefa hui furqat may padar ki tujhko to khabar sirf shahadat ki hai pahunchi mai sheh ka gala kat-te hue dekh rahi thi acha hua sughra.... kya bughz hai baba se musalmano ko jaane phir aaye thay ghar fathema zehra ka jalane sab aake khade hogaye

Haye Hum Yateem Ho Gaye

Haye hum yateem ho gaye (x2)  Thi kisi ki dasht mei sadaa Hay hum yateem hoghaye Janey kaisi shaam aayi thi apney saath sab ko ley chalii Ab rahey na baba aur chachaa Haye hum yateem ho gaye Chey mahiney walah sheer khawaar jisey merey dil ko tha karar Arey woh bhi teer khakey sowghaya Haye hum yateem ho gaye Kya kahun key kis tarha kiye zalimon baap ko shaheed Aik din mei kya sey kya huwa Haye hum yateem ho gaye Kis ki raah dekhey hum gharib banghayi hun thokharey nasib Baba hain na ab mera chachaa Haye hum yateem ho gaye Dukhtare hussain ki duaa gham na day kisi ko ae khuda Beti how naa baap sey judha Haye hum yateem ho gaye….

Dil Ka Kaaba (2012)

Ya hussain ya hussain Makke me kaaba meri jabeen ka hai dil ka kaaba karbala me Ai aabe zam zam ke peene walo, koi hai pyasa karbala me Kyu hai baqiyya me yeh udasi, rauza muhammad ka kyu hai khali Bete ko rone baba ko lekar, aayi hai zahra karbala me Makke me kaaba meri jabeen ka hai dil ka kaaba karbala me Baccho ko maae jhula jhulakar, batlaa rai hai lori sunakar Dusvi muharram ko jal gaya tha, nanha sa jhula karbala me Makke me kaaba meri jabeen ka hai dil ka kaaba karbala me Jab mai madine se karbala ki, janib chala toh aawaaz aayi Pani pilaana kyu ke hai pyasa, mera nawaasa karbala me Makke me kaaba meri jabeen ka hai dil ka kaaba karbala me Shayad yaha ho shayad waha ho, auu kidhar mai baba kaha ho Pucho khuda se kitna chali hai, bali sakina karbala me Makke me kaaba meri jabeen ka hai dil ka kaaba karbala me Yaad aa rahi hai woh dosti bhi, bachpan me jisne humko milaya Ibne mazahir ko sheh ne likhka, mai hu akela karbala me Makke me kaaba meri jabeen ka hai dil

Baghdad Ke Pul Par (2017)

Haye Musa E KAZIM …..4 Shaheed E Baghdaad Ka Janaza……2…… Mazdoor Utha Kar Late Hai…..2 Baghdad Ke Pul Par KAZIM Ka Kis Ne Yeh Janaza Rakha Hai…..2 Afsos Ke MAULA  Ka Lasha …..2…… Zanjeer E Sitam Mein Jakda Hai Baghdad Ke Pul Par KAZIM Ka Kis Ne Yeh Janaza Rakha Hai…..2 1. Zindan To Tang Hote Hai Magar, Itne Bhi Tang Nahi Hote……2 MAULA the Ruku Mein Chaudha Baras……2 Ehsas Yeh Khoon Rulata Hai Baghdad Ke Pul Par KAZIM Ka Kis Ne Yeh Janaza Rakha Hai…..2 2. Pehle To Laieen Ne Zaher Diya, Phir Lash Ko Tanha Chodh Diya….2 Rone Ke Liye Is Lashe Par…..2 Bhai Na Bahen Na Beta Hai Baghdad Ke Pul Par KAZIM Ka Kis Ne Yeh Janaza Rakha Hai…..2 3. Is Kaid E Sitam Mein Bhi Maula, Rehte The Musalle Par Har Dam…..2 Be Jurm Namazi Qatl Hua…..2 Ro Ro Ke Musalla Kehta Hai Baghdad Ke Pul Par KAZIM Ka Kis Ne Yeh Janaza Rakha Hai…..2 4. Aaisi Bhi Garibii Dunia Mein,Kya Logon Kisi Par Dekhi Hai…..2 Afsoz Janaza KAZIM…..2 Mazdooron Se Uthwaya Hai Baghdad Ke Pul Par KAZIM Ka Kis Ne Yeh Jana

Pani Piyo Toh Yaad (2017)

Sadaat pyaase reh gaye..(3) paani piyo to yaad karo pyaas imam ki pyaaso sabeel hai ye shaheedo'n ke naam ki paani piyo to yaad karo pyaas imam ki pyaaso sabeel hai ye shaheedo'n ke naam ki 1. Khanjar tale hussin ko pani nahi mila pyaaso karo qubool ye tohfa hussain ka chahat hai ye hussain alaihis salam ki pyaaso sabeel hai ye shaheedo'n ke naam ki 2. Jannat mein kar chuka hai khuda jiska ehtemam kausar rakha hai aayat e kausar mein jiska naam jageer ye sabeel hai bara(12) imam ki pyaaso sabeel hai ye shaheedo'n ke naam ki 3. Aati hai is sabeel pe ujdi wo bibiya'n yaani ali o fatima zahra ki betiya'n ye baargah bhi hai shahe tishna kaam ki pyaaso sabeel hai ye shaheedo'n ke naam ki 4. Pani ka intezaar sakina se puchiye asghar ki maa, rabab e hazina se puchiye rasme sabeel jisne zamane mein aam ki pyaaso sabeel hai ye shaheedo'n ke naam ki 5. Jab karbala shanawar o salman jaaenge pyaaso ke naam par waha'n paani pilayenge zahra

Baba Raat Hogayi (2017)

Baba raat hogayi..(6) Baba aye mere baba, aao dhal gaya suraj Nauha tha sakina ka, aao dhal gaya suraj Baba aye mere baba, aao dhal gaya suraj Baba raat hogayi..(4) 1. Sirf apne seene par, shab guzaar lene do Chayn se mere baba, ek dafa to sone do Subha phir chale jaana, aao dhal gaya suraj 2. Dono haath phaylaye, mai tumhe bulati hu Is andhere zindaa mein, kitna ghabrati hu Ab nahi raha jaata, aao dhal gaya suraj 3. Bus tumhare jaate hi, ghar jale chini chadar Shimr mere kaano se, cheen le gaya gauhar Zulm hogaye kya kya, aao dhal gaya suraj 4. Kya tumhe gawara hai mai yateem kehlau Dushmano ki basti mein, kaise dil ko behlau Berida hu be saaya, aao dhal gaya suraj 5. Shaam tak sabhi apne, ghar ko laut aate hai Kitna hum to ro ro kar, intezar karte hai Tum kab aaoge baba, aao dhal gaya suraj Baba aye mere baba, aao dhal gaya suraj Baba raat hogayi...Raat hogayi baba...

Em Shab Shabe Matam (2017)

Mazloom hussaina..(2) Beyaar hussain..(2) Em shab shab e matam e hussain alam hame dar fugha hussaina..(2) Mazloom hussaina..(2) Beyaar hussain..(2) Em shab shab e matam e hussain alam hame dar fugha hussaina..(2) Jo kar na saki bhai ka deedar wo behna Mazloom hussaina..(2) baba tha jiska haider e qarrar wo behna Mazloom hussaina..(2) Em shab.. 1. Har qaum mein hota hai ye mazloom ka matam zehra ke dilo jaan ka (masoom ka matam)..(2) qurbaniye shabbir ko bhula na zamana Mazloom hussaina..(2) Em shab.. 2. Har ek ko ro ro ke rulata hai moharram ashoor ka din yaad (dilata hai moharram)..(2) wajib hai yeh paigham zamane ko sunana Mazloom hussaina..(2) Em shab.. 3. Hum zikr e shaheedan e baqa karte rahenge abbas ke parcham ko sada (uncha rakhenge)..(2) ye pursa hai zehra ko safeerane azaa ka Mazloom hussaina..(2) Em shab.. Mazloom hussaina..(2) Beyaar hussain..(2) Em shab shab e matam e hussain alam hame dar fugha hussaina..(2) Jo kar na saki bhai ka deedar w

I Salute You Hussain (2017)

Oh Hussain.. Oh Hussain Oh Hussain.. Oh Hussain.. Oh Hussain..(2) Each and every nation.. Oh hussain sends you salutation.. Oh hussain Each and every nation.. Oh hussain sends you salutation.. Oh hussain you will remain in our heart I salute you Hussain..(3) Our Holy Prophet held you when you were born and he cried aloud Remember in karbala and you alone with no one around we will always love you.. Oh hussain no man is above you.. Oh hussain you will remain in our heart I salute you Hussain..(3) Hussain is my beginning, my life and he's my end This status of Imam Hussain only God can understand Savior of religion.. Oh hussain this is your station.. Oh hussain you will remain in our heart I salute you Hussain..(3) How can we ever forget that day of your sacrifice we are not able to control the tears from our eyes in the world wherever.. Oh hussain we will cry forever.. Oh hussain you will remain in our heart I salute you Hussain..(3) Whenever we are in tro

Aashur Ki Shab Zainab Ne Kaha

Ashoor ki shab Zainab ne kaha, Ay raat zara ahista guzar Ehsaan tera mujh par hoga, Ay raat zara ahista guzar Lut jayenge kal khaimay saray, Jal jaegi masnad Ahmed ki (2) Hojaega kal khaali jhoola, Ay raat zara ahista guzar Suljhane baethi hai Laila, Akber ki bikhri zulfein (2) Maloom nahi kal kia hoga, Ay raat zara ahista guzar Kal pyaase barati ayengay, Kal Qasim ki shadi hogi (2) Hojaengi kal Kubra beywa, Ay raat zara ahista guzar Abbas-e-Alamadar bhi, Talwar pa saiqal karte hai, (2) Kal unko hai johar dikhlana, Ay raat zara ahista guzar Ek baar apne bharay ghar ko, Jee bharke dekh tu ley Zainab, (2) Kal hojaega sannata, Ay raat zara ahista guzar Kis yaas se aur kis hasrat se, Zainab ye bayan karti thi Saeed, (2) Ahista guzar ay raat zara, Ay raat zara ahista guzar

Bhari Darbaar Mein Roti Rahi Kari Zahra (2017)

Haye zahar, haye zahra..(3) Roti rahi khadi zahra..(2) Bhare darbar mein roti rahi khadi Zahra..(2) Bhare darbar mein Na jane kis tarha..(2), haq mangti rahi Zahra Bhare darbar mein roti rahi khadi Zahra..(2) Bhare darbar mein 1) Sanad ke tukde hawa mein uda ke hasne laga, Rasool zaadi se gustakh, aise kehne laga, Bata wo konsi..(2), jageer hai teri Zahra. Bhare darbar mein 2) Hassan Hussain se sacche gawah bhi jhutlaye, Rula ke BIBI ko zalim zara na sharmaye, Bhula na payegi..(2), ummat ki berukhi Zahra. Bhare darbar mein 3) Ye uski beti hai Jisne do lakht chand kiya, Wo jiske noor ne har roshni ko naar kiya, Ise sataao na..(2), dukhyari hai badi Zahra. Bhare darbar mein 4) Nabi ke baad ye kya ho gaya zamane ko, Kyuvkalma go hai chale tera ghar jalane ko, Sahegi kis tarha..(2) tu ye sitamgari Zahra. Bhare darbar mein 5) Siyah baal jo maa ke safed tar dekhe, Tauqeer kaise kahu betiyo ne sar peete, Gayi thi jis tarha..(2), ghar hai thaki thaki Zahra. Bhare darb

Main Aaraha Hu Sakina (2014)

Haye Haye Haye Sakina Sakina Assalamu alaiki ya sayyidatana ruqaiyya assalamu alaiki ya binta fatimataz zahra sayyidata nisail alameen assalamu alaiki ya binta husainish shaheed sakina sakina..(2) mai aa raha hu sakina..(4) hai bus khatm hone ko har imtehaan koi ghaib se de raha hai sada mai aa raha hu sakina..(2) sakina.. nigaho me meri hai ab tak wo lamhe rihai haram ko mili jis tarah se aseero ko aabid gae jaise leke tujhe bhi chudakar mai zindaan se bohot jald lejaunga karbala mai aa raha hu sakina..(2) sakina.. azadari hoti thi ghurbat pe teri tere dil ko hoti thi kitni tasalli magar ab na matam na majlis hai koi tere paas tanhaiya rehgai raha ab na koi teraa aasra mai aa raha hu sakina..(2) sakina.. lahu bangaya kese aahkho ka pani hui qatl aabid ki kese jawani sununga mai bazar teri zabani karunga mai khud sath girya tere na ro shahzadi theher ja zara mai aa raha hu sakina..(2) sakina.. tujhe ab na pardesi koi kahega watan leke tujhko ye mehdi chaleg

Di Thi Amma Ne (2014)

Alwida alwida Ae behen alwida..alwida alwida Di thi Amma ne Jo poshaak wo laa do zainab Apne hatho se kafan mujhko pinha do zainab Aaj maqtal me faqat baat tumhari hogi Abhi Amma se mulaqat hamari hogi..(2) Koi paigham agar hai to suna do zainab Hath pabande rasan behna tumhare hoge Mujhko Reh Reh ke khayal aata hai lashe se mere..(2) Teer Kis tarha nikalogi batado zainab Mere laashe ki rahegi tumhe pehchan bahen Chaak kardo mere kurte ka girehbaan bahen..(2) Koi loote na ise aisa banado zainab Saamne Apne sakina se utarwa lo gauhar Abhi kuch der me lut jaega mazloom ka ghar..(2) Ye amanat kisi goshe me chupa lo zainab Bahar aane ko na khaime se mai kehta tumko Hote Abbas to Takleef na Deta tumko..(2) Banake Abbas Mujhe zee pe bitha do zainab Qaid khane ki sambhalo ye amanat bibi God me lo ise mazloom ho rukhsat bibi..(2) Mera damannn meri Bachi se chhuda do zainab Jab se akbar Gae beenai bhi ankho ki gai Laake dedo Ali asghar ki nishani Koi..(2) Kurta besheer k

Shaam Ki Auraton (2008)

Shaam Ki Aurton Eik Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum (Shaam Ki Aurton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum) x2 (Jab Talak Laut Kar Mai Na Aaun) x2 Aake Shamma Jalaaogi Tum (Shaam Ki Aurton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum) x2 Surate Shahe Dee(n) Bekafan Bhi, Mere Jaisi Aseer-e-Mehen Bhi Khaali Kurte Mai Madhfun-e-Ghurbat, Misl-e-Asghar Rahi Bekafan Bhi Kya Kafan Ki Tarah Roz Chadar, Iss Lahad Par Chadhaaogi Tum Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo Eik Yasrab Ki Thi Shaahzaadi, Uska Saqqa Tha Abbas Ghaazi Mashq Laikar Gaya Su-e-Dariyaa, Aur Qabze Mai Karli Taraayi Loriyon Mai Yeh Sachi Kahaani, Roz Isko Sunaaogi Tum Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo Hamne Zindaan Se Paayi Rihaai, Ab Behen Paas Hogi Na Bhai Baat Itni Si Bas Yaad Rakhna, Meri Bacchi Hai Gham Ki Sataayi Tumne Bazaar Main Toh Sataaya, Ab Na Isko Sataaogi Tum Shaam K

Shaam Vaalo Pehchano

Shaam walo pehchano, Koofe walo pehchano, Ye zainab hai, ye zainab hai Kaun hai ye bechaadar, Karbala ki paygambar. Ye zainab hai, ye zainab hai Haidari gharana hai, Fatemi viraasat hai Kaid hone waali to, Haafize imamat hai Kaid ne balae li, sabr ne duaen di Ye adaae seekhi hai, murtaza ke maqtab me Jo bhi baat Ali me thi, wo milegi Zainab me Yaad karo wo khutbe, pahaado ke dil pigle Har sitam ki mazil ko, mood ke badal degi Ek zaba se bhai ka, Inteqam le legi Darbaro ko sharmaya, baazaro ko rulwaya Jo bacha tha karbal me, kam kar diya toone Maqsade shahadat ko ,aam kar diya toone Aaj ho numaish hai, teri saari koshish hai Teri beredai to, hurmate rasool bani Baalo se chupa chehra, varise batool bani Raat ko janaza maa ka, din me beti be parda Jab teri sada goonji, khud yazid tharraya Ab to teri hurmat ka, aakhri zawal aaya Muskuraya sheh ka sar, waah ay meri khwahar Bete leke showhar se , ye watan se bikli hai, Kaise ibne jaafar ko, apna moo dikhaegi Inteha

Ay Sogwaro (Marsia)

Ay soogwaro aho buka ka mukham hai Ab rukhsathe Hussain alehis salam hai Mehman tumhara jatha hai jo tashna kam hai Sar peeto qakh orao ke matham tamam hai - twice (jawab) Ab wo sadaye haye Hussaina na ayegi Ghar mai tumhare Fatima Zehra na ayegi - twice (jawab) 2)     Ay shahe karbala teri qidmath na hosaki Ay kushthaye jafa teri qidmath na hosaki Ay jane Fatime teri qidmath na hosaki Mehmane nainawa teri qidmath na hosaki - twice (jawab) Ji bhar ke rosake na ye gardish naseeb ki Majlis ye akhri hai Hussaine qareeb ki - twice (jawab) 3)     Agle baras Hussain moharrum me ayenge Baqi rahi hayath tho ye gam manayenge Aur Fatime ke lalpe ansoo bahayenge Gar margaye tho qabar me ham qakh odayenge - twice (jawab) Tayaar qafela hai shehay mashrekain ka Lo karbala ko jatha hai kunba Hussain ka - twice (jawab) 4)     Bechain Fatima hai na ansoo bahao tum Mai jaraha heon roke na mujhko rolao tum Zehmath no ho tho meri ziyarath ko aao tum Turbath pe ake ashko ki chadar chad

Mere Hussain Ko Rote Raho (2009)

Farshe majlis pe fatema zehra Lamha lamha shumaar karti hai Ai azaadaro aao majlis me Fatema intezar karti hai Ai azaadaro suno kehrahi hai saiyada....x2 Har ek chahne wale ko bakshwa dungi Mere husain ko rote raho dua dungi.x2 Tum apne gharme azakhana jab sajaoge Jaza rasul se iski zarur paoge Khuda bhi razi rahega ali bhi aur mai bhi Gham apna bhul ke aashur jab manaoge Tumhare dil ki har ek zakhm ki dawa dungi Mere husain ko rote raho dua dungi.. Har ek chahne wale ko bakshwa dungi Mere husain ko rote raho dua dungi.. Ajeeb haal se aungi mai sar e mehshar Ke laungi maii waha goud me husain ka sar Mai laungi mere abbas ke kate hue hath To saath lasha e asghar bhi aur hasan ka jigar Khuda se baba ki ummat ko bakshwa dungi Mere husain ko rote raho dua dungi.. Har ek chahne wale ko bakshwa dungi Mere husain ko rote raho dua dungi.. Ba waqt e asr gulu e husain kat ta tha Pisar ke gird phiri ruh e fatema zehra Nida e fatema aati thi aah wawaila Ke chakki peeske m

Teri Ummat Ne Mere

Haye baba, haye baba... subbat alayya masaeb un law annaha subbat alal ayyame sir na laya leya Haye baba, haye baba... Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(3) fir wo jalta hua darr..(2) mujhpe giraya baba Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(2) Raakh thi, shole the, sehme hue bache ya dhua'n mere aangan me tha ek shaam e ghareeba ka samaa darr hata kar mujhe, fizza ne uthaya baba Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(2) Haye laut kar aayi to chehra bhi mera zakhmi tha meri zainab ko meri peshi ka pehla nauha mere baalo ki safedi ne sunaya baba Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(2) Haye le chale qaidi banakar jo ali ko dushman maine chhoda nahi haider ki abaa ka daaman taziyano ne magar mujhse chudaya baba Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(3) Haye baithkar padhti hu mushkil se namaz e shab bhi phir bhi awaaz ki khilqat ki dua bhooli nahi jab bhi zakhmi hue haatho'n ko uthaya baba Teri ummat ne mere

Abal Fazl

Abbas.. Abal fazl, abal fazl..(4) {Abal fazl e bawafa, alamdaar e lashkaram Mahe haashmi nasab, ameer e dilawaram}..(3) 1. Khuda ke dee'n ka paasbaa'n shuja'ato ka aasmaa'n jalaal tera al amaa'n.. abal fazl..(2) Husainiyat ka tarjumaa'n ye ghum zado'n ka sayebaa'n alam ba dosh e rehnumaa.. abal fazl..(2) 2. Ye murtaza ka gul badan weqaar e haideri chaman shuja'ato ki anjuman.. abal fazl..(2) ali misaal tegh zan wohi sukhan wohi chalan ali e dashte karbala.. abal fazl..(2) 3. Ameer e sabr ka akhi qaraar e jaane zainabi amme sakina hai yahi.. abal fazl..(2) tujhko shahadat jo mili bhoolegi duniya na kabhi tera alam u'ncha raha.. abal fazl..(2) 4.  Aye noor e dil mara qamar aye roshni mara sahar ba waqt e ghum mara separ.. abal fazl..(2) tere hai sab ye behrobar tu hi duao me asar tere sabab hu bekhatar.. abal fazl..(2) 5. Ghulam e ibne murtaza rehan o sarwar e azaa hamara marqaz e wafa.. abal fazl..(2) dua e binte fat

Haye Haye Shaam (Safdar Abbas)

Haye haye Zainab, Haye haye shaam (×2) Bazaar saja hai aur Zainab, be chadar, Haye haye Zainab, Haye haye shaam Bazaar mein syed zaadi, ek chaadar mang rahi hai, Paband rasan shehzadi, ek chadaar mang rahi hai, Main bewatan, main be rida, kis jurm ki, hai yeh saza, Hoton pe buka hai Abid ke, reh rehkar, Haye haye Zainab, Haye haye shaam  (×3) Aye kaash fanaa ho jaati, us waqt yeh duniya logo, Jab malka e ghairat roke, karti thi yeh noha logo, Main bewatan, main be rida, kis jurm ki, hai yeh saza, Khud shaam ke raahe roti thi, yeh keh kar, Haye haye Zainab, Haye haye shaam (×3) Abbas jari ki khwahar, is dard se mar na jaaye, Saadat buka karte the, kehti thi Zainab haye, Main bewatan, main be rida, kis jurm ki, hai yeh saza, Fizza ko khoon rulata tha, yeh manzar, Haye haye Zainab, Haye haye shaam  (×3) Sajjad jhukhaaye sar ko, kanto pe safar karte the, Ankho se kahu bar saakar, zainab ki buka sunte the, Main bewatan, main be rida, kis jurm ki, hai yeh saza, Khamosh z

Zindan Mein Sakina Ko

Zindaan main Sakina ko yaad aya woh seena. Jis seena peh soothi thi, hy hy (x2) Masoom Sakina. 1) Kaar taarz zara zalim, baba ko nah rounghi May godh main madaar ki, araam say sounghi Bay reham layeeno nay, hy hy (x2) Fariyaad sunni nah. 2) Hain mout ki khamoshi, tareek yeh zidaan main Kya juram kiya logon, masoom si mehmaan nay Koyi aur toh Masooma, hy hy (x2) Youn kaid howi nah. 3) Haar waqt chamaak ta tah, Karbal main Medina main Tahveez khi maaneed tah, Shabbir kay seenay main Ghoom hogaya woh kaisay, hy hy (x2) Zindaan main naginah. 4) Phaat jaya nah ghairaat say, Sajaad jigaar tera Meray ghaar ki yeh ronaat hain, kehta hain pidaar tera Yeh souch kay Abid ko, hy hy (x2) Kuch honay lagay nah. 5) Ruksaar may nana ko, mehshaar may dekhugi Rudad main zindaan ki, roro kay sunaugi Pahbaandh hain ronay pay, hy hy (x2) Kehta hain kamina. 6) Hain dasht ajaal rukha, beemar ko anay day Baba kay liye koyi, pehghaam sunay deh Shahid meri turbaat pay, hy hy (x2) Woh aye

Main Zainab Hu (2013)

Ay logo suno, zara sharm karo Mei Zainab hu mujhe pehchaano 1.     Khutbe ko shuru mei karti hu(n), karke mei hamd-e-rabb-e-jali. Tum takht pe bethe ho ay yazid, aur saamne hai ham sab qaydi Kya sochte ho tum ay zalim, ke marzi-e-rab tumne paali Tum fatha-mand nahi dekho, mei Zainab hu mujhe pehchaano Ay logo suno, zara sharm karo Mei Zainab hu mujhe pehchaano 2.     Mei kon hun tumhare age, tumko batlati hun mei abhi Mei paak hun dukhtar Zahra ki, mei jaane nabi aur binte ali, Mei dono jahaan ki malka hun, lekin me hun ab pardesi Khamosh ho kyun, kuchh to bolo, Mei zainab hun mujhe pehchano Ay logo suno, zara sharm karo Mei Zainab hu mujhe pehchaano 3.     Apni aurat hai parde mai, aur ale nabi hai bechadar Binte Zahra ko istarha, darbar mei laye ho kyun kar Paband-e-rasan aur beparda, hum sabko piraye ho dar dar Kya sharm nahi ati tumko, mei Zainab hu mujhe pehchaano Ay logo suno, zara sharm karo Mei Zainab hu mujhe pehchaano 4.     Duniya ab dekhengi ay

Abbas Ke Marne Ki Khabar Se (2016)

Ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai sakte mein abbas ki marne ki khabar se..(2) ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai pyaaso ne giraya hai yu paani ko nazar se ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai sakte mein abbas ki marne ki khabar se ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai 1. Kya jaane ke kis mod pe le aayi hai qismat ab mashk uthane ki bhi karte nahi zehmat sab kooze lagaye hue baithe hai jigar se ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai 2. Beyaaro madadgar hai ab shahe madina sar apna jhukaye hue roti hai sakina zainab hai pareshaan rida chinne ke darr se ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai 3. Fizza bhi kisi bibi ko kab tak de dilase darr hai ke na dum tod de seh roz ke pyaase abbas e dilawar ki shahadat ke asar se ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai 4. Begoro kafan laashe shohada ke pade hai shabbir sue dasht e bala dekh rahe hai zakhmi hai koi teer se aur koi tabar se ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai 5. Pal bhar ke liye chayn nahi paati hai kulsoom

Aayi Zindaano Mein Zainab (2014)

Saath bhayi ka nibhaane waali Farshe majlis ka bichaane waali, aayi zindaano me zainab (Saath bhayi ka nibhaane waali, aayi zindaano me zainab) x2 1 (Jisne sar kat te huwe bhai kaa dekha ran me) x2 Sabr shabbir dikhaane wali, aayi zindaano me zainab (Saath bhayi ka nibhaane waali, aayi zindaano me zainab) x2 2 (Bangaayi shaame ghariba me jo Abbas-e-jari) x2 Pyaas ashko se bujaane wali, aayi zindaano me zainab (Saath bhayi ka nibhaane waali, aayi zindaano me zainab) x2 3 (Dhoondh ti he Aliasger ko har ek godi mein) x2 Julaa haath-o-se julaa ne waali, aayi zindaano me zainab (Saath bhayi ka nibhaane waali, aayi zindaano me zainab) x2 4 (Be rida phirti huwi aayi bazaaron mein) x2 Wo muhammed ke ghaaaa ne wali, aayi zindaano me zainab (Saath bhayi ka nibhaane waali, aayi zindaano me zainab) x2 5 (Askiya kehte wo dekho wohi Zainab he) x2 Chera baalose chupaa ne waali, aayi zindaano me zainab (Saath bhayi ka nibhaane waali, aayi zindaano me zainab) x2 6 (Unto se ghirte huw

Ya Abul Fazlil Abbas (2014)

Abbas Abbas Abbas Ya Abulfazlil Abbas Dhundti hai tuje pyaas Yaa Abulfazlil Abbas 1 Aaj darya ki maojo me hai matam baaki x2 Tere hi dam se hai Islam ka parcham baaki Tum ho Shabbir ki Aas Ya Abulfazlil Abbas Abbas Abbas Abbas Ya Abulfazlil Abbas 2 Kat gaye baazu to tu Jaafar-e-Tayyar banaa x2 Chin gaye mashq to pyaaso ka Alamdar bana Pahan ke khoo ka libaas Ya Abulfazlil Abbas Abbas Abbas Abbas Ya Abulfazlil Abbas 3 Neher ne yaad kiya aao ey sakae haram Gaad do paani me tum sipte Mohammed ka Alam Roza ho darya ke paas Ya Abulfazlil Abbas Abbas Abbas Abbas Ya Abulfazlil Abbas 4 Ay Alamdar-e-Husain ibne Ali haq ki kasam Koi khaa sakta nahi hashra talak teri kasam Hai tera naam Abbas Ya Abulfazlil Abbas Abbas Abbas Abbas Ya Abulfazlil Abbas 5 Paani ke naam se Abbas ki yaad aayegi Ta Qayamat teri taqrir padi jaaegi Dhundti hai tuje pyaas Ya Abulfazlil Abbas Abbas Abbas Abbas Ya Abulfazlil Abbas 6 Pehle tum jaake Sakina ko to samjhao Husain Laashe Abbas k

Abbas Alam Tera (2014)

Abbas Alam Tera Maqtal Sai Aaraha Hai Shabbir ki Kamar ko hai Jukha raha hai 1 Yeh Alam Hussainiyat ki pehchan kerata Yehi Yazeediat kai her farq ko batata Koi Choomta hai aaker koi jala raha hai Abbas Alam Tera Maqtal Sai Aaraha Hai x2 2 Deti thi dilatai main aayai ga abhi pani Sab mil kai dua mangon Ghazi ki hai jawani Kyun khaali alam baba khaimai mai la raha hai Abbas Alam Tera Maqtal Sai Aaraha Hai x2 3 Mushkil kusha ka beta kerta hai yun qayazi Kuch mang ker to dekho daita hai mera Ghazi Hai hath alam per jo ghazi bula raha hai Abbas Alam Tera Maqtal Sai Aaraha Hai x2 4 Zainab ki kiyadat sai avaz yeh hai ayi chadar ka jo wada tha waapis hun lainai aayi Tatheer ka hai zaman maqtal main ja raha hai Abbas Alam Tera Maqtal Sai Aaraha Hai x2 5 Mamnun tera hun main likhna sikha diya hai Sajjad tu is qabil mola bana diya hai Teri wafa ki baatain sab ko suna raha hai Abbas Alam Tera Maqtal Sai Aaraha Hai x2

Haye Hussain, Pyaase Hussain

Haaye hussain pyaase hussain..(4) 1) Damishk me jo aseero ka khafela pahoncha Yazeede nahes ne darbar me bula bheja Bahen se sheh ki shahadat ka waqeya poocha Tadap ke binte Ali ne yazeed se ye kaha Zamee ki god me Islam ka sitara hai..(2) Mere gareeb ko lakho ne milke mara hai Haaye hussain pyaase hussain 2) Kaha yazeed se Zainab ne aye sitam aara Ghazab kiya tere lashkar ne roze ashora Mere Hussain ko jangal me gher kar maara Ali ka kardiya barbaad ghar ka ghar saara Jo bekafan hai abhi tak nabi ka pyaara hai Mere gareeb ko lakho ne milke mara hai Haaye hussain pyaase hussain 3) Suhaag ujda kisi ka kisiki kook jali Kisi ka jalgaya daman rida kisi ki chini Kisi ki maang me karbobala ki qakh mili Nabi ki aal hai zinda me ya Ali madadi Laee ne sibte payember ka ghar ujada hai hai Mere gareeb ko lakho ne milke mara hai Haaye hussain pyaase hussain 4) Wo mere aaono Mohammed wo mere noore nazar Mai tujhko doondho kahan bezaban Ali Asghar Batao bibiyo roun mai aaj ki

Mawla Haq Imam

Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain (x2) Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain 1 Woh Abid-e-Beemar tha (x2) Chalnay se jo, laachaar tha, Aur shaam ka bazaar tha... Aur Mustafa ki betiyaa.. (Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain) x2 2 Shabbir ki woh laadli, (X2) Seenay pe jo, Shah ke pali Jis ki abaa, bann mein jali... Mu par tamaachon ke nishaan... (Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain) x2 3 Pyase gale, khanjar chale (x2) Chaadar chini durre lagay Abbas ke parcham talay... Ro kar kahen, yeh bibiyan.. (Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain) x2 4 Ro kar kahe Qasim ki maa (x2) Maara gaya, Qasim jawaan Aye laal mein, dhundoon kahaan... Mehndi teri, sehra tera... (Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain) x2 5 Woh Asghar-e-Besheer tha (x2) Aur Hurmala ka teer tha Pyaasa gala, kyu kar kataa... larzi zameen aur aasmaan .

Main Noke Sina (2014)

Jab Khatima ba qaid huwa foje shah ka Kausar pe qaafila gaya pyaasi sipaah ka Ghar luta gaya janaab-e-risaalat panaah ka Khaak urh rahi thi haal ka ye baargaah ka Haaye maqtal mein aayi Fatima Zehra barehna sar Chillayi Zere tegh hai baba mera jigar Areh unnis saw hein zakhm tan-e-Chak chak par Areh Zainab nikal Hussain tarapta hai khaak par Haayi Pohonchi behan jo bhai ke maqtal mein nawhaghar Dekha sar-e-hussain he neze ki nok par Are Sadqe gayi luta gaye ghar wadagah mein Haaye junbish labon ko he abhi zikre Ilaah mein (Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura) x2 Mein noke sina par hun Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura (Nana dekho nawaasa kahaan aagaya) x2 Meine karbobala ko mu'allah kiya Khoon mera aaj khaak-e-shifa ban gaya Meine bachpan ka waada wafa kardiya Mera waada huwa pura Mein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura Mera ghar mere bachhe meri zindagi aap ke deen pe sab meine qurbaan ki Mere maathe p

Behti Rahi Furaat (2007)

(Aay shaam-e-ghariba) x5 (Behti rehi furat) x4 Khoon ho ker beh gaya Akber kaa dil Muskura kar ker Khatam Asger ho gaye (Behti rahi furat) x2 Karbala ke dasht me jaisaa andhera cha gaya Aa gaye sham-e-gharibaa surkh hai khak-e-shifaa Jhal gaye khaim-e-sar-e-shamm-e-Alamin Kitne manzar khaakh ho ker reh gaye (Behti rahi furat) x2 Dhal gaya dil shaam aayi shaam phir aisi ke baad do paher ke baad chayi aisi tanhayi ki baad Kis terhaa zehra kaa ghar lutaa gaya Kis terha be sar bahater ho gaye (Behti rahi furat) x2 Aaj subhe tak ye ghar roshan bhi tha abaad bhi sab ke waris the salamaat bhayi bhi awlaad bhi ik hawaa asi chali perdes me be zabaan bache bhi be sar ho gaye (Behti rahi furat) x2 Ye hai woh sham-e-gharibaa jo kayamaat bangayi dukhtar-e-zehra ke sar se jisne chadare chin li ya rasulallah kayamat ho gayi dakhile khayma sitamgar hogaye (Behti rahi furat) x2 Aik ik katre ko tarse ban me ab faal-e-hussain mashk zakhmi khali quze laash pamaal-e-hussain reh g

Neend Aayegi (2004)

Jab Khaime Me Rukhsat Ko Shahe Bayro Baraye, Chilaee Sakina Mere bekas padar ayee Sheh keh te the bibi hame ro ker na rulawo Phir pyar kare ham tumhe mu aage ko lawo Woh kehti thi hamrah muje leke to jawo mai kya karu maidan me ghar ja ke na awo (Neend ayengi jab aap ki bu pawungi baba) x2 Me raat ko maktal me (chali awungi baba) x2 (Neend ayengi jab aap ki bu pawungi baba, chali awungi baba) x2 Farmaya nikalti nahi sayyedaniya bahar sine pe sulayengi tumhe raat mai madar kyu kehti ho maktal me chali awungi baba, Mai raat ko maktal mai (chali awungi baba) x2 Neend ayengi jab aap ki bu pawungi baba, chali awungi baba Nanhe se Kaleje pe mere chalti hai talwar, khulta nahi kyu aap ne bandhe hai ye hathyar, mai aap ko kho ker na kabhi pawoungi baba mai raat ko maktal mai (chali awoungi baba) x2 Neend ayengi jab aap ki bu pawungi baba, chali awungi baba Aa ti hai bala sarpe to pehle muje waro, mar jawongi baba na sidharo na sidharo, jawonge jahan mai bhi wahin jawoungi baba mai

Ae Mere Bhai Raza (2016)

Ae mere Bhai RAZA-2 Assalamo alaika ya ghareebal ghuraba ya moinaz zoafaye wal fuqara As sultan Arab E wal ajam Mola ALI ibna MUSA RAZA. Ay mere Bhai RAZA-3 AY GHAREEBUL GHURABA AY MERE BHAI RAZA-2 Roke MAASOOMA E QUM-2 qum SE deti hain sada Ay mere Bhai RAZA 1) Tera deedar nahi Bhai qismat me meri, De hawaon ko Zara hukm ay mere ALI Sun lun awaaz teri-2 dil behel jaye mera Ay mere Bhai RAZA.. Ay GHA 2) Dekhne aayi hun mai qum me Surat teri, Ay ghareebul ghuraba dekh ghurbat meri, Koyi batlata nahi-2 mujhko mashhad ka pata. Ay mere Bhai RAZA. 3) Mujhpe Jo beet gaye wo alam kuch bhi nahi, Samne ZAINAB k mere gham kuch bhi nahi, Maina bazaaar gayi-2 na chini meri rida. 4) Jabse pahonchi hun mai qum dil hai qabu me kahan, Gham zada aaye nazar shehr k peer O jawan, Dekh kar kaale alam-2 dil dehelta hai mera. Ay mere.. Ay ghareebul 5) Hun yateema lekin wo yateema to nahi, Qaidi Baba KI qasam mai SAKINA to nahi, Jiske gohar bhi chine-2 haye jiska daaman bhi jala.