Behti Rahi Furaat (2007)

(Aay shaam-e-ghariba) x5

(Behti rehi furat) x4

Khoon ho ker beh gaya Akber kaa dil
Muskura kar ker Khatam Asger ho gaye

(Behti rahi furat) x2

Karbala ke dasht me jaisaa andhera cha gaya
Aa gaye sham-e-gharibaa surkh hai khak-e-shifaa

Jhal gaye khaim-e-sar-e-shamm-e-Alamin

Kitne manzar khaakh ho ker reh gaye

(Behti rahi furat) x2

Dhal gaya dil shaam aayi shaam phir aisi ke baad
do paher ke baad chayi aisi tanhayi ki baad

Kis terhaa zehra kaa ghar lutaa gaya

Kis terha be sar bahater ho gaye

(Behti rahi furat) x2

Aaj subhe tak ye ghar roshan bhi tha abaad bhi
sab ke waris the salamaat bhayi bhi awlaad bhi

ik hawaa asi chali perdes me

be zabaan bache bhi be sar ho gaye

(Behti rahi furat) x2

Ye hai woh sham-e-gharibaa jo kayamaat bangayi
dukhtar-e-zehra ke sar se jisne chadare chin li

ya rasulallah kayamat ho gayi

dakhile khayma sitamgar hogaye

(Behti rahi furat) x2

Aik ik katre ko tarse ban me ab faal-e-hussain
mashk zakhmi khali quze laash pamaal-e-hussain

reh gayaa maidaan me be kas kaa tan

jashan me masroof lashkar hogaye

(Behti rahi furat) x2

Marte dam pani pisar mange padar majboor hai
tu bataa sham-e-ghariba al qamaa kiya door hai

waye nehre al qamaa behti rahi

aur pyaase qatl akber hogaye

(Behti rahi furat) x2

Hai wohi manzar wohi khaimay wohi tishna labi
aaye hai sham-e-gharibaa khu(n) rulaane aaj bhi

gham hame "rehan -o-sarwar" kyu na ho

mahve mataam jab payambar hogaye

(Behti rahi furat) x2

Khoon ho ker beh gaya Akber kaa dil
Muskura kar ker Khatam Asger ho gaye

(Behti rahi furat) x2

Comments