Muljim Ne Aaj Kaise Musibat Ye Dhayi Hai

Maula ali...(4)

Masjid e koofa laraz uthi.. kohraam barpa hogaya dono jahaan mein..(2)

Muljim ne aaj kaisi musibat ye dhayi hai
deene rasool e paak ki shamma bujhai hai..(2)


Masjid me haaye tune namazi ko maar kar..(3)
duniya me kis tarah ki musibat machayi hai
deene rasool e paak ki shamma bujhai hai
Muljim ne aaj kaisi musibat ye dhayi hai
deene rasool e paak ki shamma bujhai hai

Koofe ki har gali me yehi shoro shayn hai..(3)
muljim ne aaj zarb ali pe lagayi hai
deene rasool e paak ki shamma bujhai hai
Muljim ne aaj kaisi musibat ye dhayi hai
deene rasool e paak ki shamma bujhai hai

Zakhmi padar ko dekh ke hasnain ro pade..(3)
zainab pukari aye mere nana dohayi hai
deene rasool e paak ki shamma bujhai hai
Muljim ne aaj kaisi musibat ye dhayi hai
deene rasool e paak ki shamma bujhai hai

Aayi sadaa e ghayb ke maula hue shaheed..(3)
har samt momino pe udaasi si chhayi hai
deene rasool e paak ki shamma bujhai hai
Muljim ne aaj kaisi musibat ye dhayi hai
deene rasool e paak ki shamma bujhai hai

Koofe ke sab yateem tadapte hai khaak par..(3)
baade saba ne kaisi sunani sunayi hai
deene rasool e paak ki shamma bujhai hai
Muljim ne aaj kaisi musibat ye dhayi hai
deene rasool e paak ki shamma bujhai hai

Larzi zamee'n husain ke aaho fugha'n ke baad..(3)
zaalim ye tune kaisi qayamat machayi hai
deene rasool e paak ki shamma bujhai hai
Muljim ne aaj kaisi musibat ye dhayi hai
deene rasool e paak ki shamma bujhai hai

Khoone ali ko dekhe ke roti hai kayenaat..(3)
sajde me rozedaar ne talwaar khaayi hai
deene rasool e paak ki shamma bujhai hai
Muljim ne aaj kaisi musibat ye dhayi hai
deene rasool e paak ki shamma bujhai hai

Bachho ke bayn sunke malaek bhi ro pade..(3)
roya khuda e paak to royi khudayi hai
deene rasool e paak ki shamma bujhai hai
Muljim ne aaj kaisi musibat ye dhayi hai
deene rasool e paak ki shamma bujhai hai

Rota qalam hai mera manazir mai kya likhu..(3)
saqlain ke wali pe jo zarbat lagayi hai
deene rasool e paak ki shamma bujhai hai
Maula ali...(4)

Comments

Popular posts from this blog

Rone Ke Liye Kaafi Hai Sajjad Tera Naam

Andhere Andhere Yateemo Se Chup Kar

Haye Haye Zainab, Haye Haye Shaam