Ay Shehr-E-Madina

Kya Tujhse Kahe Haal E Safar Zainabe Muztar
Ay Shehr-E-Madina
Laut Aayi Hoo Mai Apne Bhare Ghar Ko Luta Kar
Ay Shehr-E-Madina

Athara Baras Naazon Se Maine Jise Paala
Wo Gaysuon Wala
Dunya Se Gaya Seene Pa Phal Barchi Ka Khakar
Ay Shehr-E-Madina
Kya Tujhse Kahe ...

Darwaze Pe Qaime Ke Mai Majboor Khadi Thi
Aur Dekh Rahi Thi
Jab Sibte Payambar Ke Galay Par Chala Khanjar
Ay Shehr-E-Madina
Kya Tujhse Kahe ...

Thay Shah Jise Pyar Se Seene Pa Sulaate
Aur Naaz Uthaate
Zindan Ke Andhere May Usay Aayi Hoo Khokar
Ay Shehr-E-Madina
Kya Tujhse Kahe ...

Bache Hi Nahi Saath Mai Kis Tarha Se Jaaun
Ye Soch Rahi Hoo
Ghar Dekhungi Jab Khaali To Sabr Aayega Kyunkar
Ay Shehr-E-Madina
Kya Tujhse Kahe ...

Dil Tham Ke Rote Thay Saeed Ahle Madina
Jab Kehti Thi Dukhya
Mai Aayi Hoo Amma Ke Bhare Ghar Ko Lutakar
Ay Shehr-E-Madina
Kya Tujhse Kahe ...

Comments

Popular posts from this blog

Rone Ke Liye Kaafi Hai Sajjad Tera Naam

Andhere Andhere Yateemo Se Chup Kar

Haye Haye Zainab, Haye Haye Shaam