Amma Achi Amma
Dakhil jo madine me huwe ahl-e-madina Jaate huwe kuch aur the ab kya hai karina Na Akbaro Abbas na Hamrah Sakina Aur gham se har ik bibi ka labrez tha sina Jab ghar ke karib aagayi kunbe ki sawaari Sughra ne jo dekha to ye, roro ke pukaari Amma, amma Haey (Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai) x3 Sughra, kya puch liya Sughra tune, sab kuch to ayaa hai chehre se, le dekh safed yeh baal mere, mat puch kaha hai ab kunba (Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai) x2 Sughra, jis jaan se pyaara kehti thi, din jis ke liye tu ginti thi, be goro kafan hai baba tera, mat puch kaha hai ab kunba (Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai) x2 Sughra, jis kunbe ko tu puchti hai, wo karbobala ki khaak huwa, sab chand chupe karbal me tere, mat puch kaha hai ab kunba...