Aaja Mere Bache Meri Aagosh Mein Aaja

Ashur ka suraj hai kayamat ki gari hai
Bhaye ka galaa kat ta bahan dekh rahi hai
Maqtal me kisi maa ki sadaa goonj rahi hai

Aa aey mere Hussain meri goad may aa jaa
Aa ja mere bache meri aaghosh may aa jaa

1. Mere liye ay laal tu Asghar ki tarha he
   Godi meri gehwaara hay bistar ki tarha hai
   Is dhoop may daman mera chadar ki tarha hai
   Aa ja mere bache meri aaghosh may aa jaa

2. May maa hu mera dil nahi seenay may sambhalta
   Nazuk ye badan tera ye jalta huwa sehra
   Aur is may sitam ye na ke tu rehgaya pyaasa
   Aa ja mere bache meri aaghosh may aa jaa

3. May goad may layloon tujhe sinay se lagaa loon
   Sinay pe Sakina ki tarha tujko sulaa loon
   Sinay ke tere tir may palko se nikalu
   Aa ja mere bache meri aaghosh may aa jaa

4. Aakar mere zanu pe jo so jaa te thay beta
   Chakki ki mushakkat ke bhi pehlu nahi badlaa
   Ab kese tujhe chor du maqtal may akela
   Aa ja mere bache meri aaghosh may aa jaa

5. Teri bhi to awlad he tu bhi to padar hai
   Awlad ka gham kya hai yeh tujko bi khabar hai
   Gham bachche ka sehjaye ye kis maa ka jigar he
   Aa ja mere bache meri aaghosh may aa jaa

6. Tu lait gaya thak ke tu isi jalti zamin par
   Ye kiska lahu tu nay malaa ruhe hasi par
   Mat khakh pe so lal teri maa hai yaheen par
   Aa ja mere bache meri aaghosh may aa jaa

7. Jo dil pe tere guzri may sub dekh-e rahi thi
   Har lash uthane may teray sath gayi thi
   Ab baat wo kehti tujo bachpan may kahi thi
   Aa ja mere bache meri aaghosh may aa jaa

Comments

Post a Comment