Haye Haye Zainab, Haye Haye Shaam

(Bazaar-e-shaam, Darbaar-e-shaam, Bazaar-e-shaam, Darbaar-e-shaam) x4
(Haey Haey Zainab Haey Haey Shaam) x2
Bazaar Saja hai aur Zainab bechadar
(Haey Haey Zainab Haey Haey Shaam) x2
 
1. Rahon mein log sharabi aur bint-e-Ali faryadi
Ik chadar mangarahi hai ummat say syed zaadi
Aur log tamashi aaey hain bankar
(Haey Haey Zainab Haey Haey Shaam) x2
Bazaar Saja hai aur Zainab bechadar
Haey Haey Zainab Haey Haey Shaam
 
2. Har soo napaak nigahein aur aal-e-nabi ki aahein
Sang baari karnay aaey sab log sajakar rahein
Is ghum say haram hain cina zan Noha gar
(Haey Haey Zainab Haey Haey Shaam) x2
Bazaar Saja hai aur Zainab bechadar
Haey Haey Zainab Haey Haey Shaam
 
3. Yeh kaisi qayamat aai taqdeer kahan par laai
Har zakhm saha hai dil par har chot jigar par khaai
Yeh shaam ki galiyan kehtin hain ro ro kar
(Haey Haey Zainab Haey Haey Shaam) x2
Bazaar Saja hai aur Zainab bechadar
Haey Haey Zainab Haey Haey Shaam
 
4. Abbas ki khuwahar Zainab haey binte haider Zainab
Baalon say chupakar chehra phirti hai dar dar Zainab
Hai kaisa qayamat ka logon, yeh manzar
(Haey Haey Zainab Haey Haey Shaam) x2
Bazaar Saja hai aur Zainab bechadar
Haey Haey Zainab Haey Haey Shaam
 
5. Jis ghar say pardadaari ki rasm hui thi jaari
Beparda daikhnay unko aai hai duniya saari
Zainab kay kalajay par chaltay, hain khanjar
(Haey Haey Zainab Haey Haey Shaam) x2
Bazaar Saja hai aur Zainab bechadar
Haey Haey Zainab Haey Haey Shaam
 
6. Yeh Zulm bhi kaisa dhaya darbar-e-shaam sajaya
Haathon say ishara karkay bibi ka naam bataya
Girta tha wahan bemar mera, ghash khakar
(Haey Haey Zainab Haey Haey Shaam) x2
Bazaar Saja hai aur Zainab bechadar
Haey Haey Zainab Haey Haey Shaam
 
7. Tha bojh yeh dil bhari thay askh lahoo kay jaari
Sochay tatheer ki waris kaisay ho pardadari
Tay karma hai ab bin chadar, aur safar
(Haey Haey Zainab Haey Haey Shaam) x2
Bazaar Saja hai aur Zainab bechadar
Haey Haey Zainab Haey Haey Shaam
 
8. Zainab ka dard uthana do zakhm jigar par khana
Bhai kay halq pay khanjar aur shaam say hokar jaana
Haey bhool nay paaey gi zainab, yeh manzar
(Haey Haey Zainab Haey Haey Shaam) x2
Bazaar Saja hai aur Zainab bechadar
Haey Haey Zainab Haey Haey Shaam
 
9. Safdar-o-Hashim daikho qitraas o qalam rota hai
Yeh ajr e risalat daikho ummat say jo paya hai
Zehra ki baiti roti hai, nangay sar
(Haey Haey Zainab Haey Haey Shaam) x2
Bazaar Saja hai aur Zainab bechadar
Haey Haey Zainab Haey Haey Shaam

Comments

Post a Comment