Haye Alamdar, Haye Alamdar (Anjuman e Al Abbas)

Haye Alamdar, Haye Alamdar.
Utho mere ghamkhaar, wafadar hai baradar,
Chehlum ke liye aayi hoon (x2)
Ghazi main ujadkar,

Haye Alamdar, Haye Alamdar.

Har ghaam pe bhai main, uthaati thi musibat,
Sehli kabhi kode kabhi, durro ki aziyat, 
Aur uspe qayamat,
(Bazaar mein thi bibiya) x2 Be maqna o chadar,
Haye Alamdar, Haye Alamdar.

Kis tarha kahu kitni sataayi gayi Zainab,
Bazaro mein shehro mein, phiraayi gayi Zainab,
Bhai gayi Zainab,
(Rone bhi nahi dete the) x2 Jee bhar ke sitamgar, 
Haye Alamdar, Haye Alamdar.

Aye bhai suno sham e ghareeba ki yeh rudad,
Qaime jale chadar chini, main hogayi barbaad, 
Sunlo meri faryaad,
(Aaye na madad ko meri) x2 Aye mere baradar,
Haye Alamdar, Haye Alamdar.

Zindan mein har lamha, tadapti thi Sakina,
Aaghosh chacha ki thi na baba ka tha seena,
Dushwar tha jeena, 
(Ghut ghut ke wahi mar gayi) x2 Bachi meri akhar,
Haye Alamdar, Haye Alamdar.

Be maqna o chadar sar e bazaar gayi hoon,
Shiree se kabhi Umme Habiba se mili hoon,
Main toot gayi hoon,
(Sar sharm se mera kabhi) x2 Utha na baradar,
Haye Alamdar, Haye Alamdar.

Abbas asiri ne, hume khoob rulaaya,
Ummat ne bohot aale payambar ko sataya,
Aur qaidi banaaya,
(Baazu pe nishaa rassi ke) x2 Laayi hoon baradar,
Haye Alamdar, Haye Alamdar.

Hakim ke tarafdar, har ek simt layeen the,
Aur kursiyo pe baithe howe dushman e deen the,
Hum khaak nashee the,
(Aankho mein abhi tak hai woh) x2 Darbar ka manzar,
Haye Alamdar, Haye Alamdar.

Manzar yahi kehti rahi, roro ke woh dukhiya,
Turbat pe Alamdar ki, majlis howi barpa,
Zainab ka tha noha,
(Jaun main watan kis liye) Aur kya karu jeekar,
Haye Alamdar, Haye Alamdar.

Comments

  1. Plz send me parwane shabbir noha zainab jigar figar jaha se

    ReplyDelete

Post a Comment