Qatl Hogaye Qasim

Qatl hogaye qasim ya ali duhayi hai
hai lahoo bhara chehra kaisi runumayi hai
dekhne ko ye manzar ab dulhan bhi aayi hai
ek din ki thi shadi hashr tak judaai hai
karbala ke dulha ki laash ghar may aayi hai
qatl hogaye qasim....

Aaj karbala wale phir hamare mehman hai
phool ho ke mehendi ho sab aza ke saaman hai
ehtemam shadi ke ek behan ke armaan hai
ghamzadon ke nazrane aansuon ke toofan hai
qatl hogaye qasim....

Bain thay ye kubra ke ab to ghut raha hai dam
bolte nahi kuch bhi aaj mere ibne am
kis tarha se dikhlaye apne dil ka ye aalam
boliye phupi amma chup rahe ke roye hum
qatl hogaye qasim....

Misle fatem kubra kaunsi dulhan hogi
sar to berida goha haath may rasan hogi
laash jiske waaris ki ran may bekafan hogi
ay rafi is gham may qaum seena zan hogi
qatl hogaye qasim....



 

Comments