Ya Rabbe Haq-e-Zehra

Ya Rabbul Mashraqain, Ya Rabbul Maghrebain

Ya Rab Behhaqe Zehra, Taufiq Yeh Ata Ho
Marney Sey Pehley Ya Rab Deedar-e-Karbala Ho

Jo Arz-e-Karbala Hai, Har Arz Sey Siva Hai
Iss Khaak-e-Karbala Pei, Sheh Ka Lahu Mila Hai
Har Ladawa Mariz Ki, Yeh Khaak Hi Dava Ho
Marney Sey Pehley Ya Rab Deedar-e-Karbala Ho

Mein Bhi To Matami Hoon, Zakir Hun Seyyada Ka
Nauha Parha Hai Mainey, Humshakley Mustafa Ka
Iss Zakeri Ka Meri, Kismat Mei Yeh Siva Ho
Marney Sey Pehley Ya Rab Deedar-e-Karbala Ho

Ya Rab Namaz-e-Shab Mei, Bass Yeh Dua Karun Mein
Kuch Deyr Uss Zameen Par, Majliss Bapa Karun Mein
Har Matami Key Lab Par, Har Dam Yehi Dua Ho
Marney Sey Pehley Ya Rab Deedar-e-Karbala Ho

Mazloomiyat Pei Jiski, Rota Hai Yeh Zamana
Uss Beykhata Key Dar Par, Ek Baar To hai Jana
Jo Qarz Hai Lahu Par, Ho Iss Tarha Ada Ho
Marney Sey Pehley Ya Rab Deedar-e-Karbala Ho

Wo Sar-Zameen Jahan Par, Gunji Azaan-e-Akbar
Tasbeeh Aansu'on Ki, Parhni hai Uss Zameen Par
Ik Sajda-e-Aqeedat, Uss Khaak Par Ada Hao
Marney Sey Pehley Ya Rab Deedar-e-Karbala Ho

Qurbaan Ho Gaya Jo, Kulsoom Ki Dua Par
Ro'zaa Mei-Uska Deykhun, Jo Margaya Wafa Par
Ghardey Sharaf Bhi Meri, Taqdeer Mei Likha Ho
Marney Sey Pehley Ya Rab Deedar-e-Karbala Ho

http://www.youtube.com/watch?v=xYisxddDKF8

Comments

Post a Comment