Zainab Ko Ghazi Yaad Aaya

haay zainab haay haay sham ×2
jhoon jhoon baazaar qarib aaya, (zainab ko ghazi yaad aaaya) x2
 
haathon se ya phir baalon se, chehre  ko chupaale  shehzaadi,
Ye shaam shaher ki galiyaan hain, dil thaamle ay aaqa zaadi,
fizza ne jab ye batlaaya, Zainab ko ghazi yaad aaya,
jhoon jhoon baazaar qarib aaya, (zainab ko ghazi yaad aaaya) x2
 
maahol sharaabi jab dekha, baba ki vasiyat yaad aayi,
koyi to mujhe chaadar laade, hothon pe yehi fariyaad aayi,
jab koyi nahin tchaadar laaya, Zainab ko ghazi yaad aaya,
jhoon jhoon baazaar qarib aaya, (zainab ko ghazi yaad aaaya) x2
 
phir shaam ke logon ne badla, ajdaad ka yun zainab se liya,
tchaadar tchhini patthar maare, or garm kabhi paani phaika,
durra jo sakina ne khaaya, zainab ko ghazi yaad aaya,
jhoon jhoon baazaar qarib aaya, (zainab ko ghazi yaad aaaya) x2
 
abbas kahaan hai ay zainab, jab shimr hiqaarat se bola
gash khaane lage sab ehle haram, kulsum pukaari wa waila,
sajjad ko yasrab yaad aaya, Zainab ko ghazi yaad aaya,
 jhoon jhoon baazaar qarib aaya, (zainab ko ghazi yaad aaaya) x2
 
khaamosh rahi aulaade nabi,  karbal se yahaan tak zulm saha,
khuli ye manaadi karne laga, ye kunba hai ek baaghi kal
mazlum jo baghi kehlaaya, Zainab ko Ghazi yaad aaya,
jhoon jhoon baazaar qarib aaya, (zainab ko ghazi yaad aaaya) x2
 
har gaam naya ek zulm huwa, laatchaar musaafir zainab par,
zainab ko rulaaya zaalim ne, naaqon ke qarib neza laa kar,
shabbir ka sar jo dikhlaaya, Zainab ko Ghazi Yaad Aaya,
jhoon jhoon baazaar qarib aaya, (zainab ko ghazi yaad aaaya) x2
 
farhan qayaamat ka gham hai, mazhar ne likha hai kya nauha,
shabbir bina abbas bina, ye pehla safar tha zainab ka,
jhoon jhoon baazaar qarib aaya
zainab ko ghazi yaad aaaya
 

Comments