Abbas Meere Kaarwaan

Kaarwaan (x6)
Yasrab se suwe karbala Ik karwaan rukhsat huwa Sar pe alam saaya fighan Ghazi ki aati hai sada Pehla safar Zainab ka hai Sunsaan kardo raasta [Kaarewaan (x2) Abbas meer-e-karwaan] (x2)

1) Kya shaan hay kya dab daba Kya log hein quraanuma Salle ala sale ala ayaat ka he qaafla Mashko alam inka nishaan Abbas meere karwaan
[Kaarewaan (x2) Abbas meer-e-karwaan] (x2)

2) Allah ke pyaare hein ye Aale nabi saare hein ye Quran ke pare hein ye Kaunain ke tare hein ye Zere qadam he asmaan Abbas meere karwaan
[Kaarewaan (x2) Abbas meer-e-karwaan] (x2)

3) Koi shabih-e-Mustafa Koi Hasan ka dilruba Hai koi aks-e-sayyeda Shabbir ka ye qaafila Thaame alam jo hai jawaan Abbas meere karwaan
[Kaarewaan (x2) Abbas meer-e-karwaan] (x2)

4) Yasrib se ta ba karbala Har din tawaafe kaafila Abbas karta hi raha Parde ka zimmedaar tha Yun mutmain thi bibiyaan Abbas meere karwaan
[Kaarewaan (x2) Abbas meer-e-karwaan] (x2)

5) Abbas woh kirdaar hay Baade Ali salaar hay Aysa alam bardaar hay Maydan mein be talwar hay Phir bhi alam ka paasbaan Abbas meere karwaan [Kaarewaan (x2) Abbas meer-e-karwaan] (x2)

6) Lo agaya uska alam Ghazi jise kehte hein hum Kehte chalo ye dambadam Abbas meer-e-lashkaram Babul hawaaij mehrabaan Abbas meere karwaan [Kaarewaan (x2) Abbas meer-e-karwaan] (x2)

7) Jab shaam pohoncha qafla Khutba ye zainab ne diya Sunle ye qaum-e-ashkiya Hum hein bina-e-lailaah Kashti he dee(n) hum baadbaa(n) Abbas meere karwaan [Kaarewaan (x2) Abbas meer-e-karwaan] (x2)

8) Tha hashr mein mola ali Ye Sarwar-o-Rehan bhi Nazre karam se aapki Rakhte hein ummeed-e-qawi Nawhon se denge ye bayaan Abbas meere karwaan
[Kaarewaan (x2) Abbas meer-e-karwaan] (x2)

Comments