Ay Mere Baba Jaan

Us waqt jabke zainab darbar me gayi thi,

qari namaaziyo se mehfil saji huwi thi,

Zalim ye puchhta tha ghazi tera kaha hai,

balo se mu chupaye zainab ye keh rahi thi

(Ay mere babajaan horahi hai azaan sar chupaou kaha) x2

Majmaye aam me bewatan be amaan agaya karvaan

(Ay mere babajaan horahi hai azaan sar chupaou kaha) x2

Mei bhi hu marziay binte kayrun nisa, mere lehje me hai baba teri ada

Naam zainab mera, tune jo rakhdiya, dey di apni zubaan

(Ay mere babajaan horahi hai azaan sar chupaou kaha) x2

Babajaan me rida mangti rehgayi,bamo dar saj gaye, jiteji margayi,halqaye shaam me, naam sunkar mera, margaya naatawa(n)

(Ay mere babajaan horahi hai azaan sar chupaou kaha) x2

Babajaan ye tera akhri tha bayan, teri chadar bachayega ghazi jawaan, margaya bawafa, chingayi hai rida, kehti hai bibiyaa

(Abbas, Abbas Abbas) x3

Ruk na paya mere bawafa ka wo sar, noke neza se aane laga khaak par, behn ko darbadar, dekhkar nange sar, sheh na paya jawaan

(Ay mere babajaan horahi hai azaan sar chupaou kaha) x2

Haath kano pe hai, neel gaalo pe hai,aur nishan jo sakina ke shaano pe hai, har nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan

(Ay mere babajaan horahi hai azaan sar chupaou kaha) x2

Aysa khutba diya mene darbar me, likhraha hai jo "yawar" tere pyaar me, lehjaye hayderi, har azaan ke liye hai sadaye azaan

(Ay mere babajaan horahi hai azaan sar chupaou kaha )x2

http://m.youtube.com/watch?v=OpqI8RBOzPw

Comments