Hai Karbala Ke Ban Mein

hai karbala ke ban may ghareebon ka arbaeen

shabbir ke mazaar pa zainab ki hai jabeen
aansu baha rahe hai khade abide hazeen
abaad thi husssain ke khadmo se ye zameen
ab haal ye hai sar pa koi saayeba nahi
hai karbala ke....

maajaye pehle aag lagi qaimagaah may
har daagh ek taaza qayamat thi raah may
bachi ki hichkiyon ka hai manzar nigaah may
zindane shaam may hai sakina yahan nahi
hai karbala ke....

abbase naamwar jo haram ka tha paasban
roti thi yaad karke jise saari bibiyan
beaas jiski laash pa thay shahe do jahan
laasha kahin tha haath kahin aur alam kahin
hai karbala ke....

bhaiya hamare waade ke taqweel hogayi
aisa safar huwa hai ke sar par rida na thi
darbaare shaam may thi qayamat ki bebasi
roodade gham sunane ki ab taaqat bhi ab nahi
hai karbala ke....

ehle jahaan ko hogi agar haq ki justujoo
akhtar asar dikhayega mazloom ka lahoo
hai ghamzada bahan ki yahi ek aarzoo
abaad zaayari se hojaye ye zameen
hai karbala ke....

Comments