Hamare Hai Ya Hussain

mai karbala may khada hoo libase sog may hoo
hai arbaeen hussain aur hussaini lashkar ka
karoro log hia sare libase sog may hai
har ek nasl har ek rang har zaban ke log
nigahe rauzae shabbir ki tawaf may hai
labon pe haye hussaina ghareeb haye hussain
khayal aata hai ek-sat sane hijri ka aur us moharam ka
yehi maqam tha ek bandaye khuda jiska hussain naam tha
rahe khuda may hatheli pe sar uthaye hue
har ek daur ke insan ki aabroo ke liye
wo apne dil pe bahattar ke zakhm utha-ta raha
wo apne jism pe zakhmo pe zakhm khata rah
khadam badhata raha, khadam badhata raha

bas ek azhm tha insan surkh roo hojaye
bas ek dhun thi ke insaniyat na marjaye

insaniyat pe hai ehsan hussain ka
ehsan hi to hai ehsan ka sila
har dil may ya hussain har dil may karbala
be-daar kardiya jo zamana hussain ne
be-saakhta tamam zamana ye keh utha
ke hamare hai ya hussain

insaniyat ki shan badhayi hussain ne
insaniyat bashar ko sikhayi hussain ne
insaniyat ki pyas bujhayi hussain ne
insan jab hussain ke paykar may dhal gaya
insaniyat pukari wato izzo mantasha
ke hamare hai ya hussain

dunya ke har adab may hai hissa hussain ka
dunya ki har zaban pe hai khabza hussain ka
insan samajh raha hai ye rutba hussain ka
tareeq ko hussain ne hairan kardiya
saare jahan ke ahle qalam ne ye likhdiya
ke hamare hai ya hussain

soore may maoti ke allah ne sunaya
taqleeqe kul may insan ashraf tujhe banaya
insan ka dard dil may insan ke utara
insaniyat ka maktab ghar panjatan ka rakha
us ghar may panjatan ke ek shehr ko basaya
phir apna khoon deke us shehr ko sawara
ye shehr nainawa hai ye shehr maaariya hai
ye shehr karbala hai ye shehr karbala hai
dil hai to karbala dil hai to ya hussain
hamare hai ya hussain

insaniyat samajhne chalo karbala chalo
haa thaam lo hussain ke daman ko thaam lo
hurr john aur habib ki saf may khade raho
dil hai to ab hussain ki awaaz ko suno
farmate thay hussain wo insan nahi hai
loote jo dil ka chain wo insan nahi hai
roye na jisko nain wo insan nahi hai
hasde jo sunke bain wo insan nahi hai
insaniyat bachaye wo insan hai insan
insan ka dukh uthaye wo insan hai insan
dar se wafa sikhaye wo insan hai insan
jo sab pe rehm khaye ilmo amal badhaye
insaniyat bachaye wo insan hai insan
insan ko hussain ne insan bana diya
insaniyat ke lab pe musalsal thi ye sada
ke hamare hai ye hussain

do tarha ke hua karte hai jahan may insan
hai juda raaste dono ke ba-khaule quran
aadmi ek yazeede azali may ubhra
ek insan hussain ibne ali may ubhra
us taraf aam khayali naya islam bane
is taraf azme jalali ke shariyat na mitay
us taraf saltanato daulato taaqat ka ghuroor
is taraf chota sa ghar faaqo may hai munbaeye noor
ek taaqat ke takabbur may jo itrake chala
doosra nana ke markhad se dua paake chala
ek nau laak ke lashkar ko liye saath chala
doosra godh may asghar ko liye saath chala
us taraf naize thi talware thi aur bhale thay
is taraf shauqe shahadat liye dil wale thay
us taraf jashn manate thay zamane walay
is taraf bekaso be-aas madine walay
ek taraf tashnadahan sab ke sab kushte zaban
unka maqtal tha jahan rayt saari thi tapan
door thi nehre rawan al hafeezo al aman
kya dil tha dil hussain aliahis salam ka
jisme koi khayal na tha inteqam ka
dil tha to dil pe kaare risalat utha liya
dil tha to dil pe noore shahadat utha liya
dil tha to dil pe baare qayamat utha liya
dil tha khuda ke ishq may sab ghar luta diya
dil tha to dil pe daaghe bahattar utha liya
dil tha sambhal ke laashaye akbar utha liya
hadh hai janazaye ali asghar utha liya
hussain dil hai tera

karbal kya thi layeeno ki shakawat kya thi
soch insan ke sadaat ki ghurbat kya thi
eid guzri hai abhi yani ke eide qurban
aap ne poora kiya hoga ye rukne emaan
chand sharte hai zabeeha ki baraye insan
sharte awaal hai ke kamsin na ho bemaar na ho
aur bhooka na ho pani ka talabgaar na ho
roo baroo saamne haiwan ke haiwan na ho
waqte zibha wo ghari bhar ko pareshan na ho
shart ye bhi churi bhi ha dikhao usko
zibha se pehle khaza se na darao usko
ho churi tayz magar haath ho narmi se rawan
ek hi waar may hojaye zabiha qurban
al-hafeezo al-amaan

ab jigar thaam ke ay momino ye haal suno
lo zara maqtale shabbir ka ehwaal suno
haye haiwan ki dame zibha sharayat itni
aur jis ghar se ye mansoob hui qurbani
uski aulaad ki maqtal may ye tauqeer hui
koi bhi shart zabihe ki nibhayi na gayi
al-hafeezo al-amaan

sharte awwal thi ke kamsin na ho tanwan bhi ho
doodh peeta na ho marjane ke imkan na ho
tumko ab madare asghar ki qasam ahle aza
qatl asghar jo huye sochiye wo kya sin tha
teesra ma-pa tha cheh maah ka sin wawaila
ek bhi daant na nikla tha ali asghar ka
ek baalisht ka kurta tha ali asghar ka
doodh peena bhi na choota tha ali asghar ka
pehla kasmin hai ke jo zibha nahi nehr hua
teere seh pehlu se bhi masoom ko maar liya
al-hafeezo al-amaan

sharte doyam thi ke haiwan na ho bhuka pyasa
aur haftum se thay sadaat bina aabo ghiza
halq tar karte hai khassab bhi qurbani ka
aur bahattar ko dame zibha bhi pani na mila
jalti reti pe kahin akbaro abbas giray
aur kahin aun-o-mohamad kahin qasim thay paday
zibhe haiwan ka nahi hukm hai haiwan ke huzoor
yan na shabbir se zainab na sakina thi door
shah unko wo suye shahe umam dekhte thay
zibha hote thay hussain ahle haram dekhte thay
mana churi ka hai dikhlana paye qurbani
yan tha nau laak ke lashkar may ali ka jaani
ek jaan laakh khareedar thay aazam billah
har taraf zaalimo khoonkhar thay aazam billah
apne rutbay ka kisi ko na shanasa dekha
dekha pyase ne jise khoon ka pyasa dekha

aakhri shart churi tayz ho narmi se rawan
taake tadpe na aziyat se zara bhi haiwan
aakhri sajda udhar karne lagay shahe huda
kundh karta hua khanjar ko idhar shimr chala
tera zarbo se sare sayyede wala kaata
aur mazloom har ek zarb pe deta tha sada
zarb pe zarb lagi kehte thay amma amma
zarbe aakhir pe kaha ho mere abbas kahan


https://www.youtube.com/watch?v=x4YmSKAJzzo 

Comments