Meko Paidal Turna Aagaya

zindan se reha hokar jis dam
jab karbobala may aaye haram
naaqe se giri zainab dukhiya
aur zakhmi zakhmi rakti qadam
rokar ghazi se kehne lagi
baba ne mujhe samjhaya tha
ay beti ghar may paidal chal
chalna hai tujhe meelon tanha
o mere ghazi ghairat waale
haa meri chadar ke rakhwale
haa mujhe girke sambhalna aagaya
mujhe paidal chalna aagaya abbas
meko paidal turna aagaya abbas

mashk-o-alam wale mere
shahe wafa awaaz de
ummul baneen ke laadle
har gham se guzarna aagaya
mujhe paidal chalna....
meko paidal turna....

le shaam se mai aagayi
ghazi mai kyun zinda rahi
saaya tha na meelon koi
mujhe dhoop may chalna aagaya
mujhe paidal chalna....
meko paidal turna....

dekhe saje aada ke ghar
naizon pe thay pyaron ke sar
tukde huwa mera jigar
mujhe yaad madina aagaya
mujhe paidal chalna....
meko paidal turna....

bazaar tha darbaar tha
zanjeer thi beemar tha
jeena mera dushwar tha
har dard ko sehna aagaya
mujhe paidal chalna....
meko paidal turna....

ay sarwar o rehaan ab
socho zara kya tha ghazab
bint e ali kehti thi jab
mujhe jeena marna aagaya
mujhe paidal chalna....
meko paidal turna....

Comments