Aja Mere Hussain

aja mere Hsain
aja mere Husain
aja mere Husain

jab se tu ho gaya hay be watan
sahti rahi hun mayn ranjo mahan
marqad ko chod kar mayn tere sath hun 
ay mere nure ayn 

dukhiyari ma ko ye ehsas hay 
khushk honthon pe tere pyas hay 
dashte gurbat me mayn 
is tarha chod kar 
kayse pawungi chayn 

chakkiyan pis ke pala tujhe 
tapti reti pe teri lash hay 
jannat ko chod kar 
haidar bhi aa gaye 
sun ke zahra ke bayn 

haye abbas ran me so gaya 
kaysa taraj kunba ho gaya 
padh ke nawha tera 
khak udawungi mayn 
ab kahan mujh ko chayn 

kayse is hal me dekhun tujhe 
aja agosh me lelun tujhe 
pani na mil saka 
pyasa tu rah gaya 
haye mera husain 

haye majbur zainab kya kare 
kayse dekhe gala kattte huve 
khanjar hay halq par 
tiro par jism hay 
barpa hay shoro shayn 

mangi rab se dua padh ke namaz
nawha padhta rahe tera ayaz
hasrat raza ki hay 
chume rawza tera 
malike mashreqayn 



Comments

Post a Comment