Zainabam Zainabam

Zainabam (x3)
Zainabam zainabam khawahare gham par waram (x2)
1. Jaaunga me jahaan jahaan sehne parenge hame gham
Zainabam zainabam khawahare gham par waram (x2)
2. Koi baqi na raha baandh li humne bhi kamar
He chamakte huwe neze mere marne ie khabar
Mere hawale he behan (x2)
tifl mere mere haram
Zainabam zainabam khawahare gham par waram (x2)
3. Shaam dhal jaye to ye wada nibhana bibi
Apne sine pe Sakina ko sulana bibi
Kon sambhalega use (x2)
Jab na rahenge yahaan hum
Zainabam zainabam khawahare gham par waram (x2)
4. Jab mere halq pe shamsheere sitam chalne lage
Zulm ki foj mein naqqara agar bajne lage
Dekhna abid na uthe (x2)
Kheche huw teghe to dam
Zainabam zainabam khawahare gham par waram (x2)
5. Jab tumhe sham ke darbar mein lejaye shaqi
Yaad karlena jo amma pe uftaad huwi
Log wohi zulm wohi (x2)
Baat wohi aur wohi hum
Zainabam zainabam khawahare gham par waram (x2)
6. Sab ke shaane huwe rasan basta Sakina ka gala
Aisa aalam mein bhi karna nahin ummat se gila
Sanie zahra ho behan (x2)
Sehna usi tarha sitam
Zainabam zainabam khawahare gham par waram (x2)
7. Berida dekh na paye tujhe dunya ki nazar
Isliye neze se girjayega abbas ka sar
Qariye quran wahan (x2)
Honge isi dard se hum
Zainabam zainabam khawahare gham par waram (x2)
8. Yaad rakhna ye sitam hovega dorane safar
Tez naaqe se jo girjayegi meri dukhtar
Dhund ke tum lana use (x2)
Kaafile ko rokenge hum
Zainabam zainabam khawahare gham par waram (x2)
9. Kon ham dard yahan baqi he pyaase ke liye
Ek naseehat kiye jaata hun dilase ke liye
Haya ala khairil amal (x2)
Tum ye kaho aur kahe hum
Zainabam zainabam khawahare gham par waram (x2)
10. Dame rukhsat thi ye “farhan” shahe deen ki fughan
Baad mere jo sitam honge karu kaise bayaan
Saath nahin deti zabaan (x2)
Ban gaya khud Mazhare gham
Zainabam zainabam khawahare gham par waram (x2)
Zainabam (x3)

Comments