Ghazi Main Tujhse Raazi
ABBAS HAYE GAZI MAULA GAZI Kehte hai bawafa se mazlum-e-karbala..(2) Gazi mai tujhse razi, razi mera khuda..(2) Hai jannatul baqi se bhi aa rahi sada..(2) gazi mai tujhse razi, razi mera khuda..(2) 1. Abbas se yeh kehkar shabbir ro pade meri behen ko tere armaan hai bade teri wajah se jiski mehfuz hai rida 2. Ummul banin maa ko mera salaam hai jiska pisar wafa ka pehla imam hai jisko ataa hui hai tasweere murtaza 3. Abbas tu hai baba mushkil kusha ka sani dono jahan me tu babe wafa ka bani tu ibteda wafa ki tu hi hai inteha 4.Maula hussain ka dil mata zada bana khaimae sayyada ka manzar badal gaya waqte alwida jo shabbir ne kaha Kehte hai bawafa se mazlum-e-karbala..(2) Gazi mai tujhse razi, razi mera khuda..(2) Hai jannatul baqi se bhi aa rahi sada..(2) gazi mai tujhse razi, razi mera khuda..(2)