Ghazi Main Tujhse Raazi

ABBAS
HAYE GAZI MAULA GAZI

Kehte hai bawafa se mazlum-e-karbala..(2)
Gazi mai tujhse razi, razi mera khuda..(2)
Hai jannatul baqi se bhi aa rahi sada..(2)
gazi mai tujhse razi, razi mera khuda..(2)

1. Abbas se yeh kehkar shabbir ro pade
meri behen ko tere armaan hai bade
teri wajah se jiski mehfuz hai rida

2. Ummul banin maa ko mera salaam hai
jiska pisar wafa ka pehla imam hai
jisko ataa hui hai tasweere murtaza

3. Abbas tu hai baba mushkil kusha ka sani
dono jahan me tu babe wafa ka bani
tu ibteda wafa ki tu hi hai inteha

4.Maula hussain ka dil mata zada bana
khaimae sayyada ka manzar badal gaya
waqte alwida jo shabbir ne kaha

Kehte hai bawafa se mazlum-e-karbala..(2)
Gazi mai tujhse razi, razi mera khuda..(2)
Hai jannatul baqi se bhi aa rahi sada..(2)
gazi mai tujhse razi, razi mera khuda..(2)

Comments