Main Paidal Chala Karbala

imam jafare sadiq (a.s) irshad farmate hai jo shaks imamhussain a.s ki taraf to allah azwajal uske liye har kadam per

1000 nekiya likh deta hai aur hazaar gunaah maaf kardetahai aur 1000 darajaat buland kardetta hai

mai ishq kay safar pe chala

har ek kadam pe karta hua shukre khuda

mai safar pe chala

jab maine sir zamine najaf per rakhe kadam dil nay mereirada kiya ya shahe umam

ye tujhse mohabbat hai meri,aau jo ziyarat ko teri,, ibneali..

ker lay kubuul mera aqidat bhara salaam,,, padal najafsay kerbobala aaega gulaam

al madad ya shahe kerbalaa ,,, al madad yaa shahe lafataa

mai paidal chala kerbala ya hussain

naaz kismat pe karta hua

mai paidal chala kerbala ya hussain

mere sine may bachpan say armaan tha

aagaya gar vaha say bulava mera

shahe mardakay dar say suve kerbala,apne pairo say chalataa hua jaungaa

shukray maula vo din aagaayaa

mai paidal chala kerbala ya hussain

zebe tan karke ehraame ghum chaldiya

khud pe naade ali karke dum chal diya

ek chota sa lekar alam chal diya

tha nigaho may sheh ka haram chaldiya

jab ye azme safar mil gaya

mai paidal chala kerbala ya hussain

us musafat ha ehwaal mujhse suno

mai najaf say chala jis ghadi momino

yaad karta raha mola sajjad ko

kya kahu hosla jo mila dosto

har kadam noha padta hua

mai paidal chala kerbala ya hussain

noha karte hue sogvaar aagae

jis taraf aankh utthi hazzar aagae

farsh per arsh say pursaadaar aagae

thak kay baitha to khidmat guzaar aagae

jiska jee chahh jaisa chal

mai paidal chala kerbala ya hussain

chalte chalte jo pairo may chaalay pade

aagae yaad sab zakhm sajjad kay

yaad aae asiro k jab hoslay

yu laga jaise chaalay pade hi naa they

un asiro ko rota hua......mai paidal chala kerbala yahussain

imam jafare sadiq (a.s) irshad farmate-jisne imam hussainki ziyarat karli goya usne rasool allah (s.a.w.s) ki ziyarat karli

sadikay aalay athaar say bhi sunna

zaero k liye keh gae mustafa

jisne dekha haram mere shabbir ka

usko meri ziyarat hui bakhudaa

is aqidat may badta hua mai paidal chala kerbala ya hussain

duniya waalo yahi ishq ka hai safar,gaam zin ambiya bhihai is raah per, is safar ki fazilat  sayho baa khabar.,,sakht sardi ho ya sakht garmi magar

sab k lab per  busek sada

yaaaaaaaaaadooo mai hai merii ab tak voh carvaan manzilko they ravaan kya tifll kya jawaan they aazimayy safar  maazooro naa tawan  parda nashin sabbb,maa behne betiya

haato may ya hussain k percham liy hue mausam ki fikr thina thakan k moaamlay

badte rahe hussain ki janib ye qafele, her chaar ghaamper they moaaqib  bane hue,, unmay thazaerin ki raahat ka  ka ehtamaanjinaaattt aur farishtay b karte ehtamaam

logo kay ajhdahaam may dekha ye mojiza ,,, na bhuk saynidhal  na pyaasaa koi milaa

sadka mere hussain kaa bat taa tha chaar suu aati thirotiyo say  mano sarwa ki khushbuu

naa kaabile bayaan hai jo ehtemaam thaa

kuzay jo they sabil pe kausar k jaam they

haa zahire hussain ki pairo ki khaak say  najaanekitne log shifaayaat ho gar

aksar ye zaerino k kaano nay bhi sunaa  aati hai hussain k rozay say ek sada

ye log mohtarram hai -3 hamaari nigaah may

abbas zaerin ko lelo panaah may

sayaa sar pe alamdaar kaaaa

mai paidal chala kerbala ya hussain

zaeron say mai suntaa tha aksr yahi

chahe kis raaste say bhi jae koi

pehli hogi ziyarat alamdaar ki baad may kabre shaahe  zaman aaegii

jaan nay ko ye sab maajraa,

aayaa jab saam nay roza shabbeer kaa

girkat be saakhtaa maine sajdaa kiyaa

apne maula saysajde may rokar kaha

maangnay kuch nahi aayaa mai baakhudaa

shauq teri ziyarat kaa thaa

mai paidal chala kerbala ya hussain

keh diye baat mazhar nay farhaan say

hajj pe jana tha pichlay baras to mujhe

maine jaanaa jo kaabay say afzal ussay

karbala k hi per maine saamaa kiya

fir najaf say hi rota hua

mai paidal chala kerbala ya hussain

 

Comments

Post a Comment