Jab Yaad Sakina Ko


jab yaad sakina ko teri aati hai baba
sar zinda ki deewaron se takrati hai baba

kanon say tapakta hai laho shanon pe mere
zaalim ki aziyat mujhe tadpati hai baba
jab yaad....

marjaungi pyasi na kabhi mangungi pani
asghar ki mujhe pyas jo yaad aati hai baba
jab yaad....

jab tak tere seene pe na sojaye sakina
zinda may usay neendh kahan aati hai baba
jab yaad....

hai kaun mere paas jiyun kiske sahare
tanhayi meri maut bani jaati hai baba
jab yaad....

jaltay huwe qaimon ke nazaare hai nazar may
yeh baat khayalon se kahan jati hai baba
jab yaad....

yaad aate hain jab shimr-e-sitamgar ke mazalim
ye nanhi si dukhtar teri ghabrathi hai baba
jab yaad....

darbar-e-yazidi may bhala kaise maijayoon
hai chaak garaybaan haya aa'ti hai Baba
jab yaad....

Comments