Karo Matam Hussain Ka Azadaro

Paro Kalma Nabi ka Ka Musalmano
(Haa(n) Karo Matam Husain ka azadaro) x5

1. Deen Ne Maula Shabbir Ko di sada
Amma Zehra Ke Markaz se Rukhsat Huwa
Lab Pe Naame Khuda Dil me Thi Karbala
Din Bhi Gharmi Ke The Saath Bachcho(n) Ka Tha
(Phir Bhi Marne Wo Chala Masalmano) x2
(Haa(n) Karo Matam Husain ka azadaro) x3

2. Shaih Ke Hamraah Thi Bibiya Betiya(n)
Nawjawaa(n) Saath the saath tha Bezuba(n)
Haaye kis Shaan se wo huwe the rawaa(n)
Ek bimar leti rahi hichkiyaa(n)
(Shor mataam utha tha musalmano) x2
(Haa(n) Karo Matam Husain ka azadaro) x3

3. Do Muharram ko karbobala Aa Gaye
Alqama ke kanare jo khaime lage
Ashkiya ne kaha Aakar shabbir se
Apne Khaime yaha se utha lijiye
(Waqt kya Aa gaya tha musalmano) x2
(Haa(n) Karo Matam Husain ka azadaro) x3

4. Khatm qarbobala Me larayi Hui
Saari fauje khuda khak par soo gai
Aai Shaame Gariba Raha Na Koi
Itrate Mustafa Sue Zindan Chali
(Nange sar bibiyaa(n) hai musalmano) x2
(Haa(n) Karo Matam Husain ka azadaro) x3

5. Haaye Bazare Kufa Ka who marhala
Betiyaa(n) thi mohammad ki jab be rida
Gir ke naako se Bacho ki thi ye sada
Alwida Madare Gamzada Alwida
(Aasman Ro Raha tha Musalmano) x2
(Haa(n) Karo Matam Husain ka azadaro) x3

6. Mere sajjad boli ye binte ali
Jaanti hai mujhe shaam ki har gali
Khaak urhawo ke mujh ko na dekho koi
(Yeh tha zainab ka nawha Masalmano) x2
(Haa(n) Karo Matam Husain ka azadaro) x3

7. Bole Sajjad hatho(n) me zanjir hai
Be ridai phuphi Ab to taqdir hai
Sabr aale Mohammed ki Jagir hai
Hum hai Aale Nabi bas Yeh Teksir Hai
(Keh ke Ye Ro Diya tha Masalmano) x2
(Haa(n) Karo Matam Husain ka azadaro) x3

   

Comments