Pardes Mein Barbaad Hua

zainab ne kaha maa ki lehad se ye lipat kar
pardes may barbaad hua mera bhara ghar

amma ali akbar pe hua zulm kahoo kya, zakhmi tha kaleja
tha khoon may dooba hua wo mannato wala, laila ne bhi dekha
laasha raha begoro-kafan jalti zameen par
pardes may....

sab qatl huve jab hua bhai mera tanha, is zulm se maara
wo kehta raha hoo mai muhammad ka nawasa, kuch rehm na
khaaya
tha pyasa gala bhai ka aur shimr ka khanjar
pardes may....

amma mere bhai ka raha dhoop may laasha, sar tan se juda tha
koi na tha dil gham se mera doob raha tha, kya waqt pada tha
mayyat pa udhane ke liye thi nahi chaadar
pardes may....

jis waqt huwe shaam ke darbaar may daaqil, thi saqt wo manzil
yaad aagaye abbas to dil hogaya bismil, tha zapt bhi mushkil
shabbir ke aansu ne sahara diya badkar
pardes may....

nikli thi madine se to hamraah tha kunba, ab kya kahe dukhiya
dil tootgaya shak hai mera gham se kaleja, mai rehgayi tanha
jungal may loota aayi hoo mai tera bhara ghar
pardes may....

thi zulm ki ye had ke kayi baar ghash aaya, par khud ko sambhaala
khud sabr kiya maine diya sab ko dilaasa, waada hua poora
ab zapt nahi paas bulaleejiye maadar
pardes may....

Comments