Salam Ullah

Yaa Aliyun x16
Haaye Salaamullah Ala ehbabeka Yaa Ali….
Asadullah Ali Waliullah Ali x2
Ya haidar…. x3
Jisko Allah rakhe dost woh insaan Ali
Wajullah Ali rab ki hai pehchaan Ali
Hai lesaanullah Ali Naatiqe Quraan Ali
Aye mere Murshido aaqa mere Emaan Ali
Barzako qabr mei meshaar me nighebaan Ali
Door kadmo se na rakhna mujhe k aan Ali
Tujhse judd jaaunga maula toh sa’nwar jaaunga
Main tere ishq mein dooba toh ubhar jaaunga
Salaamullah Ala ehbabeka Yaa Ali…. x2
Asadullah Ali Waliullah Ali x2
Ya haidar…. x3

Mere Sarkar hussain ibne Ali ke baba
Surkh parcham ke nighebaan jari ke baba
Gyaarah masoomo ke sardar Sabhi ke baba
Qatle mohsin ke azadar Qali ke baba
Bibi Kulsum ke Zainab ke misaali baba
Qaem e Aale muhammad ke jalaali baba
Salaamullah Ala ehbabeka e Yaa Ali…. x2
Asadullah Ali Waliullah Ali x2
Ya haidar…. x3

Dushman e Haider e karrar Khuda ka dushman
Dushman e Rab ka nabi se nahi koi bandhan
ibne marjaana ho muljim ho yaa shimre jaushan
arsh aur farsh pe dozak ka yehi hai indhan
labe quraan se inlogo’n pe laanat utri
inki naslo’n mei Ali se naa mohabbat utri
Lanatullaha ala Adaaeka yaa Ali
Salaamullah Ala ehbabeka Yaa Ali…. x2
Asadullah Ali Waliullah Ali x2
Ya haidar…. x3

Aalame ishq mein yakhta hai muhibbaane Ali
bu zaro qambaro salmaan qadaayaane Ali
dostdaarane khuda saare rafiqaane Ali
hadd toh yeh hai ke khuda khud hai sana faane Ali
Laal o Jibreel nazar aate hai darbaane Ali
Shaahiyaan baat’te firte hai faqeeraane Ali
Salaamullah Ala ehbabeka Yaa Ali…. x2
Asadullah Ali Waliullah Ali x2
Ya haidar…. x3

Chaar gham aise hai jinpar tha Ali ka girya
Pehla gham hazrate hamza ka kaleja chhidna
Doosra gham Abu Talib ka juda ho jaana
Teesra gham tha bada rehlate mehboob e Khuda
Chhauta gham tha Gham e Zehra jo lehad tak pahuncha
Dushmani Haider e karrar roke na ruki
badr ki aag thi jo karbobala tak pahunchi
Lanatullaha ala Adaaeka e yaa Ali
Salaamullah Ala ehbabeka Yaa Ali…. x2
Ali Asadullah Ali Waliullah Ali x2
Ya haidar…. x3

Karbala kya hai chiraage sar e armaan e Ali
Karbala kya hai bajooz saaya e damaane Ali
Karbala kya hai sajaaya hua maidaane Ali
Karbala kya hai Azaakhaana e Armaan e Ali
Karbala kya hai azeezaane Ali ki mehnat
Karbala ho gayi aehbaab e Ali ki jannat
Salaamullah Ala ehbabeka e Yaa Ali…. x2
Ali Asadullah Ali Waliullah Ali x2
Ya haidar…. x3

Maqsad e Ishq e Ali sarwar o rehaan tha kya
Aayi hai masjid e kufa ki fizaao’n se sada
Ishq kya ishq tha maa bayne khuda o banda
tohfa e maut jo maashook se aashiq ko mila
Kaamiyaabi ka yeh andaaz niraala dekha
badhke aashiq ne kaha fuz to be rabbil kaaba
Salaamullah Ala ehbabeka Yaa Ali…. x2
Ali Asadullah Ali Waliullah Ali x2
Ya haidar…. x3

Comments