Shabbir Hai Tanha

shabbir hai tanha mera abbas kahan hai

do laakh ke narghay may mohammad ka nashan hai
hamdard kahan koi har ek dushmane jaan hai
ab maut hi hyder ke dulaaare ki ama hai
maqtal ki qaza may ye zehra ki fughaan hai
shabbir hai....

badte hai layeen haton may tayghon ko sambhale
pathar hai baraste hue chalte hue bhaale
mazloom ka ab koi nahi hai jo bachale
jis simt uthti hai nazar khanjar hai sina hai
shabbir hai....

narghay may sitamgaro ke gash hai mera dilbar
khanjar liye aata hai udhar shimre sitamgar
ran may nikal aayi hai idhar zainabe muztar
qaimo may nabi-zaadio ki aaho fughaan hai
shabbir hai....

andaz tasavvur may jaga pa gaya kiska
ye dard mere laal ko tadpa gaya kiska
khanjar ke tale bhi ye khayaal aagaya kiska
mazloom suye nehr ba hasrat ki nigah hai
shabbir hai....

Comments