Kehti Hain Aye Hussain Ki Amma

beti ali ki turbate zehra pe aayi hai
kurta lahoo bhara hua bhai ka laayi hai
kehti hai ay hussain ki amma utho utho
zainab se karbala ka zara maajara suno

amma hamare ranjo masayab hai dard naak
amma hamare qalbo jigar ho chuke hai chaak
amma hamare nana ki ummat ne ki dagha
amma hamare khoon ko samjhe hai sab rawan
kehti hai ay hussain....

amma taras ke reh gaye pani ko ham tamaaam
amma diya na humko kisi ne bhi ek jaam
amma hamare mard tahay taygh hogaye
amma nahake khoon may bechare sogaye
kehti hai ay hussain....

amma pade hai nehr pe abbas rooth kar
amma sakina soti hai zindan may bepidar
amma kahan se akbare mehru ko laaun mai
amma kahan pe asghare nadan ko paaun mai
kehti hai ay hussain....

amma wo mere auno mohammad mere pisar
maidane karbala may pade hai kata ke sar
amma lahoo may doob ke qasim bhi chal basay
amma hassan ko moo na dikhane ke hum rahe
kehti hai ay hussain....

amma hussain karbobala hi may rehgaye
amma hussain saare masayab ko seh gaye
amma hussain margaye beyaaro bewatan
amma hussain ko na mayassar hua kafan
kehti hai ay hussain....

amma hamari chadarein bhi chin gayi tamam
amma hamare haal pe haste thay ehle shaam
amma wo shaame ghurbate shabbir aah aah
amma wo raat kaali wo sunsaan qatl gaah
kehti hai ay hussain....

amma ye haal abide bemaar hogaya
zaalim sipah ne leliya bistar ghareeb ka
amma qadam qadam pe aseeri rulagayi
gardan may taukh paon may zanjeer aagayi
kehti hai ay hussain....

amma wo bibiyo ka tadapna wo shoro shayn
amma rahegi yaad wo aaho buka wo bayn
amma rabab roti hai asghar ko suboh shaam
akbar ko yaad karti hai laila-e-tishna kaam
kehti hai ay hussain....

baazu ke neel dekhiye amma khuda gawah
maqtal ki gard bangayi absha khuda gawah
amma ye bebasi ye qayamat ki bebasi
amma hamare haal pe roti hai bekasi
kehti hai ay hussain....

amma bataiye to mai ab jee ke kya karoon
kis tarha ab hussain ki furqat ka gham sahoon
aayi nida fughaan ke sare hashr ham bhi ab
kurta lahoo bhara hua rakhdenge peshe lab
kehti hai ay hussain....

Comments

Post a Comment