Kufey Aur Shaam Ka Manzar (2016)

Kufe ka aur shaam ka manzar

1. Yaad jab aajata hai baba, dil mera phat jaata hai baba,
Kufe ka aur shaam ka manzar

2. Kabr pe shabbir ki karte the abid bhuka,
Hogayi kya kya jafa, suniye shahe karbela,
Sar pe kisi ke na thi chadar
Yaad jab aajata hai baba, dil mera phat jaata hai baba,
Kufe ka aur shaam ka manzar

3. Ek rasan me bandhe chote baro ke gale,
Barsare darbar sab is tarha laaye gaye,
Kothe se barsaat the pathar,
dil mera phat jaata hai baba,
Yaad jab aajata hai baba, dil mera phat jaata hai baba,
Kufe ka aur shaam ka manzar

4. Kufe ke baazar me majma-e kafar me,
Ek tamasha sa tha, aale sitam gaar me,
Ayse me maa behne khule sar,
Yaad jab aajata hai baba, dil mera phat jaata hai baba,
Kufe ka aur shaam ka manzar

5. Tok se hargis na tha baba mera sar juka,
Hath kari aur beri ka koi muje gham na tha,
Arey dekha nahi jata tha manzar,
Yaad jab aajata hai baba, dil mera phat jaata hai baba,
Kufe ka aur shaam ka manzar

6. Arey bali sakina ka gham dil ye nahi bhul ta,
Sab ke the shaane bandhe uska bandha tha galaa,
Arey dard se wo roti thi mustar,
Yaad jab aajata hai baba, dil mera phat jaata hai baba,
Kufe ka aur shaam ka manzar

7. Maktalo tarikh ki kar na sake hak ada,
Likha ani se hazi girya-e abid kiya,
Arey kahte the ye abide muztar,
Yaad jab aajata hai baba, dil mera phat jaata hai baba,
Kufe ka aur shaam ka manzar


Comments