Meri Sakina Ko Neend Aarahi Hai

bano ye abid ko batla rahi hai
meri sakina ko neend aa rahi hai

kehdo hawaon se aahista aayein
kehdo parindo se ghul na machayein
kehdo andheron se wapas na jayein
jaagi huvi chain kuch pa rahi hai
meri sakina ko neend....

shayad rasan ki aziyat hui kam
madham karo bibiyon shor-e-matam
sajjad zanjeer bolay na is dum
shayad ghamo ki ghadi ja rahi hai
meri sakina ko neend....

zindan ka dar ab zor se na kholo
ay pehradaro ab aahista bolo
tum bhi to jaage ho kuch dayr so lo
baba ki khusboo isay aa rahi hai
meri sakina ko neend....

ke ab dhadkane dil bhi ispe [gira hai]
na bhai hai nazdeek na iske maa hai
kano se khoon [goke] ab bhi rawan hai
magar aankh bojhal ye samjha rahi hai
meri sakina ko neend....

ye sham-e-ghariban ki jaagi hui hai
tamachon ke darr se nahi so saki hai
zara ab galay se rasan jo khuli hai
sukoon se jo ab saans le pa rahi hai
meri sakina ko neend....

main khush hoo ke soyegi meri dulaari
mai qurban is ke main aab is ke waari
bohat seh chuki dukh ye ghazi ki pyari
magar nafz kuch aur batla rahi hai
meri sakina ko neend....

magar ye hua kya ke zindan roya
badan rooh ke saath bachi ka soya
nh jaagi wo abid ne shaana hilaaya
aur ab maa ye kehte bhi sharma rahi hai
meri sakina ko neend....

kahan tak likhoonga mai rehan noha
kabhi shaam jaaun to dekhun wo rauza
jahan qaidi bachi ka marqad hai tanha
jahan maa abhi bhi kahay ja rahi hai
meri sakina ko neend....

http://www.youtube.com/watch?v=nudFr8wshW0 [ listen to this nauha ]

Comments