Roze Pe Mustafa Ke (2016)


Roze pe mustafa ke udaasi si chayi hai
kunbe ko khoke zainab e nashaad aayi hai
arey, rokar pukari nana mai, faryaad laayi hu
mai chhod kar hussain ko jungle mein aayi hu

{Roze pe mustafa ke udaasi si chayi hai
kunbe ko khoke zainab e nashaad aayi hai}..(2)

1. Nana ajeeb sanaye humpar guzar gaye
ranjo alam ne gher liya hum jidhar gaye
nana khuda ke ghar me na humko amaa'n mili
bhai ne sheher chhod ke jungle ki raah li

2. Nana hamare ghar ka sab asbaab lut gaya
nana hamare sar pe na baaqi rahi rida
nana hazaar tarha jafa ki la'eeno ne
khaimo'n me haaye aag laga di la'eeno ne

3. Nana shaheed hogaye bhai ke jaa nesar
ek ek kar ke mar gaye ashaab zee weqaar
nana bala ke bann me qayamat ka rann pada
bhai se bhai, baap se beta bichad gaya

4. Nana zameen karbobala laal hogayi
qasim ki laash ghodo'n se pamaal hogayi
nana katake shaano ko abbas margaye
ghurbat me bhaijaan ko be aas kar gaye

5. Nana aseer bara the aur ek thi rasan
bandhe gaye the misle gunahgaar e khastatan
nana hum apne haal pe rote the baar baar
nana hamarae haal pe haste the badd sheyaar

6. Itne me ek shaami ne nana ghazab kiya
saydani ko kaneezi me usne talab kiya
hoti thi laakh zillate hum dekhte rahe
has has ke taaziyane sitam jhelte rahe

7. Nana tabaah hoke hum aaye hai shaam se
ek daaghe no sakina ka laaye hai shaam se
ab tak hai neel rassi ke shaano ko dekhlo
nana hamare tann pe nishano ko dekhlo

8. Zainab jo roke karti thi qabr e nabi pe bayn
tharra raha tha roza e sultan e mashraqayn
bus khatm kar nisaar ye ghum naak daastaan
roye hai is alam mein zamee'n aur aasmaa'n


Comments