Alvida Alvida (2006)

alvida alvida ali akbar alvida
alvida alvida ali qasim alvida
alvida alvida aun muhammad alvida
alvida alvida ali asgar alvida
alvida alvida ya abbas alvida
alvida alvida ya shahide bekhata naaze dashte nainava 3
kar kabul behen ka salam ya hussain
qaid hoke ja rahi hu sham ya husain
dil me teri yaad hai aasra sajjad hai saath ibne saad hai mai hu berida
khatm ho gaye hai sare aasre akbaro abbas mere na rahe.
katilo ki bhid hai humari har taraf
jane ko tayyar ab hai kaidio ki saf
ibne shahe buturab ho gayi hu behijab laut aau kaamyaab de mujhe dua 
kya sunau dard fakhre panjetan chahe maine lakh hai kiye jatan
mai ridae innama bhai teri lash pe mai aa nai saki
aag thi qayam the jinme do imam the bacche tishnaqam the aati kis tarah
ab na jaae tera begunah lahu
jaarahi hu isliye maikhubakhu
taake mai bataungi tu bemisaal hai
tu baqaae deen hai tu lajawab hai
shahe benawa hai tu
ruhe laaela hai tu
fakhre ambiya hai tu
naaze kibriya
mai na rukne tera gham husain
mai na jhukne dungi ye alam husain
ahd kya kiya hai wo nibhake jaugi
mai husainiyat ko yu batake jaungi
hashr tak rahega tu
is tarah jiyega tu
aake khud kahega tu
behen shukriya
chodkar chala jo dashte karbala
malake hayat kaidi kafela
boli roke shah se dukhtare imran
tashnalab garib bhai mai tere kurban
dil ghamo se choor hai
aur sham door hai
jaana b zarur hia
bbhai alvida

Comments