Alwida, alwida, alwida..(4)
Aye musafir, be kafan tu,
khaak par wa hasrata
Mai musafir shaam ki hu,
dushmano mein berida
Alwida, alwida, alwida..(2)
Ae musafir..
1. Boli zainab, ae mere maa
jaye ye kya haal hai
kaise pehchanu tera laasha
bohot pamaal hai
aah re anta akhi kya, hai tu
hi bhaiyya mera
mai musafir shaam ki hu, dushmano mein berida
Aye musafir, be kafan tu, khaak par wa hasrata
2. Kya tumhi ho ibne zehra,
kya tumhi ibne ali
kya tumhi bhai hasan ke, aur
jaane zainabi
ae gule baagh e mohammad,
haal ye kya hogaya
mai musafir shaam ki hu, dushmano mein berida
3. Na rahi nalayn, na
malboos, na dastaaar hai
ae ghareeb e fatima, tu khuld
ka sardaar hai
ae tane uryaa’n tera to, aaj
sab kuch lut gaya
mai musafir shaam ki hu, dushmano mein berida
Aye musafir, be kafan tu, khaak par wa hasrata
4. Mai rasan basta chali,
waada nibhane ke liye
ghar me qatil ke teri, masnad
bichane ke liye
kal yahi masnad banadungi,
teri farshe azaa
mai musafir shaam ki hu, dushmano mein berida
Aye musafir, be kafan tu, khaak par wa hasrata
5. Bhai, amma, aur nana ka,
padar ka waasta
baat kar mujh se baradar,
kholde aankhein zara
dekh to chehra behan ka, kis
qadar murjha gaya
mai musafir shaam ki hu, dushmano mein berida
Aye musafir, be kafan tu, khaak par wa hasrata
6. Laasha e besar tadapkar ye
sada dene laga
ae behan waada nibhake, mai
to maqtal se chala
thi sadaa rehan o sarwar,
haaye khwahar alwida
Mai musafir shaam ki hu,
dushmano mein berida
Aye musafir, be kafan tu,
khaak par wa hasrata
Mai musafir shaam ki hu,
dushmano mein berida
Alwida, alwida, alwida..(4)
Comments
Post a Comment