Kehti Thi Zainab

kehti thi zainab haaye hussaina
hogayi barbaad ye behna, karbobala may
kehti thi zainab....

karbobala kuch na diya karbo aziyat ke siwa
mere daaman may bacha kya hai musibat ke siwa
karbala tujhse mila kya hai qayamat ke siwa
kehti thi zainab....

subhe ashoor azaane ali akbar ki qasam
mere bhai pe chale teer hazaaro payham
chup rahi karbobala hote rahe hum pe sitam
kehti thi zainab....

mera athara baras wala jiyaala akbar
khaagayi usko bhi ay karbobala teri nazar
maine dekha hai usi laal ka barchi may jigar
kehti thi zainab....

bhai athara thay do bete thay koyi na raha
ab to tanhaayi meri deti hai mujko pursa
kya bhara ghar tha mera kar diya mujko tanha
kehti thi zainab....

mere abbas pe kya guzri bataun kaise
mashk ek bharne may do baazu qalam hoke gire
uske marne se he mehroom behen chadar se
kehti thi zainab....

bekhata qatl huwa bhai mera jungal may
saynkdo zakhm kaleje pe lage ek pal may
aag pani ne laga di hai mere aanchal may
kehti thi zainab....

mere allah mujhe shaam talak jaana hai
koi bhi apna nahi shehr bhi begaana hai
teri kushnudi may rassi may mera shaana hai
kehti thi zainab....

ta qayamat rahe rehaan azaye sarwar
khoone dil behta rahe aankh se aansu bankar
ye sada kaano se takrati hai ab-bhi aksar
kehti thi zainab....

Comments