Mere Baba Khairiyat Se Ho

sughra ghash se chonk kar uthi, boli sar ko peet-ti hui
haay meri neend udgayi mere baba khairiyat se ho

dekha aaj maine kaisa khaab, rayth par padey hai kuch gulaab
chun rahe hai jinko bu-turaab, khoon ro raha hai aaftab
haye meri neend....

ek taraf alam hai khoon may tar, jhuk gayi hai shah ki kamar
ja rahi hai jis taraf nazar, bibiyan khadi hai nangey sar
haye meri neend....

haaye haay qasim-e-jawan, bain kar rahi hai jiski maa
hil gaye zameen-o-aasman, todi jab dulhan ne choodiyan
haye meri neend....

ek bachi seena-e-pidar, dhoondti rahi idhar udhar
baap so raha tha khaaq par, jis ke tan se kat chuka tha sar
haye meri neend....

qaid hai rasool-zaadiyan, haath may badhi hai rassiyan
be kajawa hai amariyaan, khoon ro raha hai saarban
haye meri neend....

khwaab yeh bada ajeeb tha, baad shaah-e-deen gareeb tha
kya yahi mera naseeb tha, be-kafan mera tabeeb tha
haye meri neend....

sarwar-o-rehaan ki dua, ho qabool shaah-e-karbala
koi beti aur is tarha, phir tadap ke yun na de sada
haye meri neend....

Comments

Post a Comment