Hogaye Zainab Se Khafa

hogaye zainab se khafa ay mere baba
kya beti se pyari thi khaza ay mere baba

ghar mera veraan kiya
ay mere baba
karti hoo aaho buka
ay mere baba
zulm ye kaisa hua
ay mere baba
sunte nahi meri sada kisko pukaroo
saaya hai mere sar se utha kisko pukaaroo
ay mere baba, ay mere baba

zarb ye kaisi lagi
ay mere baba
kaun tha aisa shakhi
ay mere baba
zulm ki hadh ho gayi
ay mere baba
rote hai hasnain zara aankhein to kholo
dil kabse hai bechain zara aankhein to kholo
ay mere baba, ay mere baba

kaisi hai gham ki sahar
ay mere baba
phatta hai mera jigar
ay mere baba
aapko yu dekh kar
ay mere baba
chalte hai kanjar mere seene pe alam ke
taqdeer ne dikhlaaye ye din kaise sitam ke
ay mere baba, ay mere baba

aankh se aansu rawaan
ay mere baba
seeno se utha dhuwaan
ay mere baba
dard ki chingaariya
ay mere baba
ay bine muljim ye bata tukjo mila kya
tune lahoo kisliye hyder ka bahaya
ay mere baba, ay mere baba

qatl namaazi huwa
ay mere baba
arsh se aayi sada
ay mere baba
hogaya mehshar bapa
ay mere baba
rotay hai jibreele ameen peet ke seena
naale koi karta hai koi, padta hai nowha
ay mere baba, ay mere baba

ya ali mushkil-kusha
ay mere baba
dekhiye uth kar zara
ay mere baba
nowha kuna hai fiza
ay mere baba
taygh-e-jafa aap-pe zaalim ne chalaayi
roti hai zameen aasmaan deta hai duhaai
ay mere baba, ay mere baba

kuch to kare guftagu
ay mere baba
badta hai sar se lahoo
ay mere baba
aap huwe to khuloo
ay mere baba
masjide kufa may bapa shoro buka hai
damaade nabi shere khuda qatl hua hai
ay mere baba, ay mere baba

rotay hai ehle aza
ay mere baba
hogayi majlis bapa
ay mere baba
dil bhi tadapne laga
ay mere baba
uthgaya dunya se madadgaar hamara
bewo ka yateemo ka aseero ka sahara
ay mere baba, ay mere baba

shabbar-o-shabbir par
ay mere baba
kijiyo uthkar nazar
ay mere baba
rote hai sar peet kar
ay mere baba
amma ki tara aap bhi ab ghar se sidhaare
ab haath rakhe kaun bhala sar pe hamaare
ay mere baba, ay mere baba

ashkon ka ye silsila
ay mere baba
jaari rahega sada
ay mere baba
kufa ho ya karbala
ay mere baba
nowha rehaan azmi ye maula ali ka
hai sab ke liye ukhba may bakshish ka sahara
ay mere baba, ay mere baba

Comments