Qadam Qadam Pe Ali Ko

qadam qadam pe ali ko pukarte rehna

rawan hai kashti e emaan isi sahare se
na ruk sakegi ye zulm o sitam ke dharey se
ali ke naam pe lag jayegi kanare se
har ek mauj se saahil ubharte rehna
qadam qadam pe....

rahe hayat may manzil ko dhoondne walon
talashe haq may na dar dar ki thokare khao
hamari mano to suye najaf chale aao
is aasthane pe kismat sawarte rehna
qadam qadam pe....

ali hai name khuda aur ibne adam hai
yehi wo naam hai jispar baqa e aalam hai
khuda ke ghar may jo ubhra wo naqsh mohkam hai
ye naqsh dil may har ek ke utarte rehna
qadam qadam pe....

nabi gawah hai zikre ali ibadat hai
amal ye nayk hai sabse badi sa-adat hai
ali ke naam pe maut aaye to shahadat hai
nazha ke waqt bhi usko pukarte rehna
qadam qadam pe....

na koi ghazwa e kyber may jabke kaam aaya
rasool e paak ke lab par ali ka naam aaya
idhar zaban hili thi udhar imam aaya
ke jiska kaam hai bigdi sawarte rehna
qadam qadam pe....

kabhi jo maareka e haq ki baat aayegi
nigah e fikr hunar aap par bhi jayegi
hunanin o badr o ohad karbala batayegi
likha hai kiske muqaddar may haarte rehna
qadam qadam pe....

bataye sochke wo hifz jinko quran hai
ke jo ali ka maane wo kab musalman hai
mujahid apna to nad e ali pe emaan hai
isi sahare se hasti guzarte rehna
qadam qadam pe....

Comments