Gayi Darbar Mein Zainab

Gayi darbar mein zainab, qayamat kyu nai aayi (2)
Yeh kaisa, garb hai ya rab,
Qayamat kyu nahi aayi,
Gayi darbar mein zainab, qayamat kyu nahi aayi (2)

Kata sajde mein sheh ka sar (2)
Jale khaime chini chadar  (2)
Yeh sab kuch hogaya ya rab,
Qayamat kyu nahi aayi (2),
Gayi darbar mein zainab, qayamat kyu nai aayi (2)

Hai ab tak fikr uljan mein (2)
Sakina teri gardan mein (2)
Rasan baandhi gayi thi jaan,
Qayamat kyu nahi aayi ( 2 )
Gayi darbar mein zainab, qayamat kyu nai aayi ( 2 )

Khule bazaaro mein ya rab (2)
Bhare darbaro mein ya rab (2)
Tamasha ban gayi Zainab,
Qayamat kyu nahi aayi ( 2 )
Gayi darbar mein zainab, qayamat kyu nai aayi ( 2 )

Salasil touq mein jakra (2)
Imam aahista aahista (2)
Sare darbar pohoncha jab,
Qayamat kyu nahi aayi ( 2 )
Gayi darbar mein zainab, qayamat kyu nai aayi ( 2 )

Laeen beyta hai masnad par (2)
Hai neeche shaahe deen ka sar (2)
Charri ki zad pe sheh ke laal,
Qayamat kyu nahi aayi ( 2 )
Gayi darbar mein zainab, qayamat kyu nai aayi ( 2 )

Paye kushnu diye hakim (2)
Bhare darbar mein zaalim (2)
Sare Asghar ko laaya jab,
Qayamat kyu nahi aayi ( 2 )
Gayi darbar mein zainab, qayamat kyu nai aayi ( 2 )

Bada gham hai zamaane par (2)
Muhammad ke gharaane par (2)
Tabaahi aagayi yaa rab,
Qayamat kyu nahi aayi ( 2 )
Gayi darbar mein zainab, qayamat kyu nai aayi (2)

Comments