Ghabraey Gi Zainab

Ghabraey Gi Zainab
Bhaiya tumhain ghar, ja ke Kahan paey gi Zainab
Ghabraey Gi Zainab

Pardes hai gurbat hai (2)
Kaha jaayegi zainab,
Ghabraey Gi Zainab

Tum Saaniye zahra ki yeh, gharibi ko samajhna,
Ghazi ki kasam hai tumhe, bhaayi na tadapna,
Be parda tere laash pe, jab aayegi zainab
Ghabraey Gi Zainab  (2)

Jis tarha guzarungi, qayamat ka woh lamha,
Jab shaam e ghareebaan mein, mera saamna hoga,
Baba se nigaahein na, mila paayegi zainab,
Ghabraey Gi Zainab  (2)

Insaaf karo kaisi, behen dil ko sambhaale,
Isi tanze ka ehsaas, mujhe maare na daale
Baaghi ki behen shaan mein, kehlaayegi zainab
Ghabraey Gi Zainab  (2)

Tum meri tarha gham yeh, akele hi sahoge,
Vaada karo yeh baat, na bano se kahoge,
Zindaan sakina ko (2) joh dafnaayegi zainab,
Ghabraey Gi Zainab  (2)

Dekhi nahi jaayenge, woh mayoos nighaaein,
Sughra joh usse deti, hai jeene ki duaen,
Akbar ke bina jab bhi, watan jaayegi zainab
Ghabraey Gi Zainab  (2)

Kya kya howa bazaar mein, batlaa ungi kaise,
Abdulah-e- jafar ko, main samjhaungi kaise,
Jab neel rasan pe unhe, dikhlaayegi zainab,
Ghabraey Gi Zainab  (2)

Comments