Khoon Barsa (2017)

Khoon barsa, khoon barsa..(3)
Khoon barsa na barasna tha na badal barse
ek ek qatre ko paani ke shahe dee'n tarse

Khoon barsa, khoon barsa
Khoon barsa na barasna tha na badal barse

1. Pyaas jab hadse badhi roke sakinaa ne kaha..(2)
door kitni hai chacha nehr batao ghar se
Khoon barsa, khoon barsa
Khoon barsa na barasna tha na badal barse

2. Ab kaha'n khaak pe baithi ho sakina uttho..(2)
kaun aaya hai palat kar jo gaya rann se
Khoon barsa, khoon barsa
Khoon barsa na barasna tha na badal barse

3. Ghudkiya'n shimr ki khaayi to kiya aap ko yaad..(2)
kaan ke dard se royi to tamache barse
Khoon barsa, khoon barsa
Khoon barsa na barasna tha na badal barse

4. Abhi shabbir hai zinda wahi thehro zainab..(2)
tumko akbar ki qasam tum na nikalna ghar se
Khoon barsa, khoon barsa
Khoon barsa na barasna tha na badal barse

5. Mere nana ke madine tujhe zainab ka salam..(2)
thokare khake palat aayi hu mai dar dar se
Khoon barsa, khoon barsa
Khoon barsa na barasna tha na badal barse

6. Haq o batil ka ho takraao to dil ladte hai..(2)
jung ye jeeti nahi jaati kabhi lashkar se
Khoon barsa, khoon barsa
Khoon barsa na barasna tha na badal barse
ek ek qatre ko paani ke shahe dee'n tarse

Khoon barsa, khoon barsa
Khoon barsa na barasna tha na badal barse
Khoon barsa, khoon barsa

Comments