Salam Bar Muharram (2017)

Ya aba abdillah..(2)
Hussain, hussain, hussain, hussain, hussain
hussain,hussain, hussain..(2)
Hussaina!!..(6)

Shabe awwal e moharram
meri ankho'n mein nami
qurbaa'n tere sog pe
mere maula har khushi
meri sanso mein azaa
meri dhadkan mein buka
tera ghum ghume karbala
keh rahi hai ye chashme namm
salam bar moharram..(4)

Tumhe to pata hai maula
gunahgaar hu mai maula
har ek waqt har ek lamha
khatao'n mein hu mai duba
magar jab moharram aaya
teri simt mai laut aaya
khatakaar hu mai beshak
magar hu mai banda tera
ye sab kuch teri hi ataa hai
hamein ye mahina mila hai
faqat ek aansoo pe hi
makaa'n khuld mein paaya hai
tera jo ghum mila
na koi ghum raha
ae shahe karbala
dil ne di ye sada
salam bar maahe hussaini
salam bar moharram..(2)
Hussaina..(6)
salam bar moharram..(2)

Juloos e aza e hussaini
jaha'n mein bapa hai paiham
alamdaar e karbobala ka
qayadat hai karta parcham
mukhalif tha saara aalam
ruke na azaa aur matam
hui  chauda(14) sadiya'n lekin
hai jaari raha ye moharram
azadar e sheh ka jazba
ye saare jaha'n ne dekha
ke kamsin se baccho ne bhi
kafan ko saro'n pe bandha
ashiq e karbala
sehte rahe jafa
jaanein huee fida
rukna saki azaa
salam bar azadaar!!!
salam bar moharram..(2)
Hussaina..(6)
salam bar moharram..(2)

Moharram ki aamad hai aur
ye nazrein jidhar jaati hai
sajein hai azakhane aur
sabeele nazar aati hai
libaase siyaah bacho'n ko
ye maaein jo pehnati hai
azaa ke saleeqe yehi
zamane ko samjhati hai
alam mashk aur kayaley
ya ho hathkadi ho bedi
ye sab ishq ki hai daleelein
nahi rasm samjhein koi
saramaya e azaa
samjho to ba khuda
ishq ki ibteda
ishq ki inteha
salam bar ishq e hussaini!!!
salam bar moharram..(2)
Hussaina..(6)
salam bar moharram..(2)

Karo yaad iksath(61) hijri
moharram ka wo ashura
mohammad ke kunbe par jo
qayam hui thi barpa
musalle pe teero ke tha
shahe karbala ka laasha
buka kar rahi thi ran mein
arey baal khole zahra
ye ghum karbala ka ghum hai
bapa isliye matam hai
nabi o ali zahra ki
hui aankh ismein nam hai
qatl e shahe umamm
kaisa hua sitam
ta hashr bhi ye ghum
na ho sakega kam
salam bar ghum e karbala!!!
salam bar moharram..(2)
Hussaina..(6)
salam bar moharram..(2)

Moharram ka aisa asar hai
zehen mein wohi manzar hai
hai behta hua ek darya
to pyaasa koi lashkar hai
ke bikhri hui laashe hai
to chinti hui chadar hai
jala fatima ka ghar hai
jaha'n mein bapa mehshar hai
kahi pe kate bazu hai
lahu mein kahi gesu hai
ye ujde hue pardesi
har ek aankh mein aansu hai
kaisi hui jafa
zehra ka ghar luta
usi ki yaad mein
jaari hai silsila
salam bar aale sayyada!!!
salam bar moharram..(2)
Hussaina..(6)
salam bar moharram..(2)

Jo makhdooma e aalam ne
dua ko hai haath uthaya
azaa o buka ki khatir
khuda ne hamein hai banaya
hai "salman" o "meesum" ham pe
bine sayyada ka saaya
hume naaz hai ke humne
inhi ka to sadqa khaya
bohot fakhr hum ko ispar
ke hum hai ghulam e haider
hai buss zindagi ka maqsad
hamari aza e sarwar
shaer o nauhakhwan
jab tak rahegi jaa'n
denge is tarha
nauho ki ham azaaa'n
salam bar dua e zahra!!!
salam bar moharram..(2)
Hussaina..(6)
salam bar moharram..(2)
Hussaina..(6)

Comments