Yeh Kaun Gira (2017)

Kaaba hai siyahposh falak mehwe buka hai
Ye gumbade aflaak se kyu shor utha hai
Kohram baqaiyya ki fizao me bapa hai - 2

Ye kaun gira - 2

Ye kaun gira reti per - 2

1. Tha waqte asr arshe moalla pe shor tha - 2
Wa hasrata ke zeen se zameen per koi gira
Kaapi zameen chashme malaaek ko yu laga
Quran rehle zeen se sare farsh gir pada - 2
Deeware kaaba bayth gayi arsh gir pada

2. Girte hi iske kaabe ki deewar gir gayi
Sar aasman ka jhuk gaya dastaar gir gayi
Insaniyat ki dehr me sarkaar gir gayi
Zakhmo se chur chur hai jhuk kar kamaan hai - 2
Hairaan hai maut khauf nahi itmenaan hai

3. Ye hogaya maalum ye khaasaane khuda hai
Ye aisa bashar hai jo zamane se juda hai
Qaunain me kyu iske liye hashr bapa hai
Kyu iske liye arshe moalla pe hai matam - 2
Rote hai nabi saare siyah posh hai adam

4. Ye marde khuda shahe arab aala nasab hai
Alhamd se wan naas talak iska hi sab hai
Baba ka nasab maa ka hasab iska hasab hai
Teero ke musalle pe jo sajde me gira hai - 2
Islam isi sar se madad maang raha hai

5. Aye shahe mashraqain hamara salam le
Haider ke zebo zayn hamara salam le
Zehra ke dil ka chayn hamara salam le
Insaniyat ke deen ka imaan ka salam - 2
Karle qubool sarwaro rehan ka salam

Comments