Abbas Alam Tera (2014)

Abbas Alam Tera Maqtal Sai Aaraha Hai
Shabbir ki Kamar ko hai Jukha raha hai

1 Yeh Alam Hussainiyat ki pehchan kerata
Yehi Yazeediat kai her farq ko batata
Koi Choomta hai aaker koi jala raha hai
Abbas Alam Tera Maqtal Sai Aaraha Hai x2

2 Deti thi dilatai main aayai ga abhi pani
Sab mil kai dua mangon Ghazi ki hai jawani
Kyun khaali alam baba khaimai mai la raha hai
Abbas Alam Tera Maqtal Sai Aaraha Hai x2

3 Mushkil kusha ka beta kerta hai yun qayazi
Kuch mang ker to dekho daita hai mera Ghazi
Hai hath alam per jo ghazi bula raha hai
Abbas Alam Tera Maqtal Sai Aaraha Hai x2

4 Zainab ki kiyadat sai avaz yeh hai ayi
chadar ka jo wada tha waapis hun lainai aayi
Tatheer ka hai zaman maqtal main ja raha hai
Abbas Alam Tera Maqtal Sai Aaraha Hai x2

5 Mamnun tera hun main likhna sikha diya hai
Sajjad tu is qabil mola bana diya hai
Teri wafa ki baatain sab ko suna raha hai
Abbas Alam Tera Maqtal Sai Aaraha Hai x2

Comments