Abbas Ke Marne Ki Khabar Se (2016)

Ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai
sakte mein abbas ki marne ki khabar se..(2)
ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai
pyaaso ne giraya hai yu paani ko nazar se
ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai
sakte mein abbas ki marne ki khabar se
ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai

1. Kya jaane ke kis mod pe le aayi hai qismat
ab mashk uthane ki bhi karte nahi zehmat
sab kooze lagaye hue baithe hai jigar se
ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai

2. Beyaaro madadgar hai ab shahe madina
sar apna jhukaye hue roti hai sakina
zainab hai pareshaan rida chinne ke darr se
ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai

3. Fizza bhi kisi bibi ko kab tak de dilase
darr hai ke na dum tod de seh roz ke pyaase
abbas e dilawar ki shahadat ke asar se
ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai

4. Begoro kafan laashe shohada ke pade hai
shabbir sue dasht e bala dekh rahe hai
zakhmi hai koi teer se aur koi tabar se
ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai

5. Pal bhar ke liye chayn nahi paati hai kulsoom
ek laashe ke manind nazar aati hai kulsoom
nikli thi dilawar ke bharose pe jo ghar se
ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai

6. Jin bachho ne paani ko sakina se kaha tha
jin bachho ne sookha hua mashkiza diya tha
nazre wo milate nahi bachhi ki nazar se
ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai

7. Ye baat alag hai ke sulagta hai kaleja
paani ka magar koi bhi shikwa nahi karta
karte hai bayaa'n haale jigar deeda e tarr se
ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai

8. Asif sare maidan e sitam rote hai pyaase
maahum jinhe deta bhi nahi koi dilaase
sehme hue masoom hai sab baaniye se
ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai

sakte mein abbas ki marne ki khabar se..(2)
ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai

Comments